Kya Rasoolullah ﷺ , Hazrat Abu Bakar Razi Allahu Anhu Aur Hazrat Umar Razi Allahu Anhu Sirf Shuru Namaz Mein Rafadain Karte ?


Abdul Adil

Member
Kya Rasoolullah ﷺ , Hazrat Abu Bakar Razi Allahu Anhu Aur Hazrat Umar Razi Allahu Anhu Sirf Shuru Namaz Mein Rafadain Karte The Ahnaaf Ke Dalail Ka Tahqeeqi Jayezah

۞ Imam Daraqutni Rahimahullah Kahte Hai :

حَدَّثَنَا أَبُو عُثْمَانَ سَعِيدُ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ أَحْمَدَ الْحَنَّاطُ وَعَبْدُ الْوَهَّابِ بْنُ عِيسَى بْنِ أَبِى حَيَّةَ قَالاَ حَدَّثَنَا إِسْحَاقُ بْنُ أَبِى إِسْرَائِيلَ حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ جَابِرٍ عَنْ حَمَّادٍ عَنْ إِبْرَاهِيمَ عَنْ عَلْقَمَةَ عَنْ عَبْدِ اللَّهِ قَالَ صَلَّيْتُ مَعَ النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- وَمَعَ أَبِى بَكْرٍ وَمَعَ عُمَرَ رضى الله عنهما فَلَمْ يَرْفَعُوا أَيْدِيَهُمْ إِلاَّ عِنْدَ التَّكْبِيرَةِ الأُولَى فِى افْتِتَاحِ الصَّلاَةِ. قَالَ إِسْحَاقُ بِهِ نَأْخُذُ فِى الصَّلاَةِ كُلِّهَا . تَفَرَّدَ بِهِ مُحَمَّدُ بْنُ جَابِرٍ - وَكَانَ ضَعِيفًا - عَنْ حَمَّادٍ عَنْ إِبْرَاهِيمَ وَغَيْرُ حَمَّادٍ يَرْوِيهِ عَنْ إِبْرَاهِيمَ مُرْسَلاً عَنْ عَبْدِ اللَّهِ مِنْ فِعْلِهِ غَيْرَ مَرْفُوعٍ إِلَى النَّبِىِّ -صلى الله عليه وسلم- وَهُوَ الصَّوَابُ.

Hazrat Abdullah Ibne Masood Razi Allahu Anhu bayan karte hai : Maine Nabi E Kareem ﷺ Ki Iqteda'a mein , Hazrat Abu Bakar Razi Allahu Anhu Ki Iqteda'a mein , Hazrat Umar Razi Allahu Anhu Ki Iqteda'a mein Namaze ada ki , Ye Hazraat Sirf Namaz Ke Aagaz mein pahli takbeer ke sath Rafadain kiya karte the.

Ishaak naami raawi ne ye baat bayan ki hai : Ham namaz padhne ke tareeke ke bare mein is riwayat ko ikhtiyar karenge. Is Riwayat ko nakal karne mein Muhammad Bin Jabir Naami raawi munfarid hai aur ye sahab zaeef hai. Muhammad Bin Jabir Ne Ise Hammad naami raawi ke hawale se Ibrahim Nakhayi Se nakal kiya hai , Jabki Hammad ke alawa deegar raawiyon ne ise Ibrahim Nakahyi se Mursal Riwayat ke taur par Hazrat Abdullah Ibne Masood Razi Allahu Anhu se unke Apne feyl ke tareeke ke taur par nakal kiya hai unhone ise Marfua'a Hadees ke taur par nakal nahi kiya hai Jo Nabi ﷺ Ke bare mein manqool ho aur Yahi riwayat durust hai

[Sunan Daraqutni Jild - 1 , Safa Number : 380 , Hadees Number : 1133]

Scan 👇

83


Ye Hadees Sunan Al Kubra Lil Baihaqi mein bhi hai dekhiye

[Sunan Al-Kubra Baihaqi Jild : 2 , Page : 79]

۞ Muhammad Bin Jabir Muhaddiseen Ki Adalat Mein :

⓵ Hafiz Haishmi Rahimahullah Likhte hai :

Jamhoor Muhaddiseen ne ise Zaeef kaha hai

[Mazmua'a Al Zawaid : 5/191]

⓶ Imam Ahmad Bin Hambal Rahimahullah is Riwayat ke bare mein farmate hai :

Ye Riwayat munkir hai .

[Al-Ilal : 1/144 , Raqam : 701]

⓷ Is Hadees Ke Bare mein Amirul Momineen Fil Hadees Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha :


Muhammad Bin Jabir Ne Sufiyan Sori Rahimahullah ki mukhakifat ki hai.

[Juz Rafadain Hadees Number : 120]

Note : Muhammad Bin Jabir Ka Akhiri Umar Mein Hafiza Kharab Ho gaya tha.
 

Similar threads


Top