BACHCHE KE HAAFIZ E QUR'AN HONE PAR KHUSHI MANAANE WALO KE LIYE


BACHCHE KE HAAFIZ E QUR'AN HONE PAR KHUSHI MANAANE WALO KE LIYE.

FAZILATUSH SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAH
JEDDAH DA'WA CENTER HAIYYIS SALAMA,SAUDI ARAB
Romananised By Khadija Muhammadi
Kisi Ke Ghar Me Bachcha Haafiz E Qur'an Ho Jaae To Yaqeenan Yah Us Bachche Ke Liye Badi Sa'adat Ki Baat Hai Aur Kuy Na Ho Ke Moamin Ki Zindagi Ka Dastoor Yahi Kitaab Hai, Isi Ki Tableeg Aur Isha'at Ke Liye Muhammad Sallallahu Alyhi Wasallam Ko Bheja Gaya. Bachcha Ke Sath Qur'an Hifz Karwane Wale(Teacher) Aur Qur'an Ke Hifz Ki Taraf Rehnumaai Karne Wale (Walaidain) Sab Ko Ajr Mile Ga. Yaha Yah Baat Zehan Me Rahe Ke Qur'an Ke Nuzool Ka Asal Maqsad Qur'an Ki Ta'leem Ko Jaanna Aur Us Par Amal Karna Hai. Fuzail RH. Farmate Hai Ke Qur'an Is Liye Naazil Kiya Gaya Ke Uske Mutaabiq Amal Kiya Jaae Jabke Logo Ne Iski Tilaawat Hi Ko Amal Bana Liya Hai. (Is Baat Me Hamare Liye Badi Ibrat Hai).
Ab Sawaal Yah Hai Ke Kisi Ka Bachcha Haafiz e Qur'an Ban Gaya Hai To Walaidain Ko Lamahala Khushi Hogi Fir Woh Bachche Ke Haafiz E Qur'an Banne Ki Khushi Me Kiya Ahtimaam Kare Ya Kis Tarah Apni Khushi Ka Ahtimaam Kare?
Is Sawaal Ke Jawaab Me Pehle Yah Arz Kar Du Ke Khushi Ke Mauqe Par Khush Hona Aur Khushi Ka Izhaar Karna Islaam Me Mana Nahi Hai Magar Khushi Ke Izhaar Ka Tariqah Kitaab Aur Sunnat Ke Khilaaf Na Ho. Uske Sath Yaha Yah Baat Bhi Jaan Lete Hai Ke Qur'an To Rasool Sallallahu Alyhi Wasallam Ke Zamane Se Chala Aa Raha Hai, Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ke Sath Kitne Sahaba Aur Sahaabiyaat Qur'an Ke Haafiz The. Kiya Woh Log Qur'an Hifz Hone Par Izhaar E Khushi Me Kisi Qism Ka Amal Anjaam Dete The? Aaj Hamare Yaha Haafiz E Qur'an Hone Par Dawati Taqreeb Munaqid Ki Jati Hai, Badi Mehfil Sajaai Jati Hai,Mithaai Taqseem Ki Jati Hai,Logo Ki Taraf Se Gifts Paish Kiye Jate Hai Aur Bachche Ko Phul Pehnae Jaate Hai. Kiya Is Qism Ka Koi Amal Ham Apne Aslaaf Ki Zindagi Me Paate Hai? Nahi,Paate Hai.
Fir Ham Deen Me Apne Aslaaf Se Kuy Aage Badna Chaahte Hai, Qur'an To Deen Ki Kitaab Hai, Pure Deen Ki Imaarat Isi Par Qaaim Hai Aur Deen Par Amal Karne Ke Liye Hamare Paas Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Behtareen Namoona Aur Aap Ke Piyare Ashaab Ki Misaale Maujood Hai. Aap Ka Bachcha Haafiz E Qur'an Hota Hai To Bilashuba Aap Ko Khushi Hogi Aur Har Musalmaan Ko Is Baat Par Khushi Hogi, Is Mauqe Se Bachche Ko Aap Apni Taraf Se Koi Gift Ya Qeemti Tohfa De Kar Uski Hosla Afzaai Karte Hai Ya Madrasa Wale Cartificet Ya Inaam De Kar Takreem Karte Hai To Isme Koi Harj Nahi Hai Magar Aaj Kal Haafiz E Qur'an Banne Par Bachche Ke Ghar Walo Ki Taraf Se Jo Manzar Dekhne Ko Mil Raha Hai Bada Afsosnaak Hai. Dekha Dekhi Ab Aam Log Yahi Samjhne Lage Ke Haafiz E Qur'an Hone Par Laaziman Dawat Ka Ahtimaam Karna Hai Aur Khushi Ki Mehfil Qaim Karni Hai Fir Isme Door Aur Nazdeek Ke Rishtedaar Aur Gaao Ke Bahut Se Afraad Ko Bulaya Jata Hai Jo Bachche Ko Gifts Paish Karte Hai, Mala Pehnaate Hai Aur Dawat Khate Hai.
Aap Jaante Hai Shadi Me Baaraat Ki Rasam Kisi Ek Aadmi Ne Jari Ki Hogi Aur Aaj Shadi Ka Juz Layunfak Ban Gai Hai, Yahi Haal Haafiz Banne Par Da'wat Karne Ka Ho Gaya Hai. Paise Walo Ke Liye Dawat Ka Ahtimaam Karna Koi Badi Baat Nahi Hai Lekin Jab Gareeb Ka Bachcha Haafiz E Qur'an Bane Ga Aur Woh Da'wat Nahi Kar Sake Ga To Us Gareeb Ko Dukh Hoga Ke Ham Ameero Ki Tarah Khushi Nahi Mana Sakte Hai. Khudara! Deen Ke Naam Par Ya Khushi Ke Izhaar Me Aysa Kaam Na Kare Jo Kitaab Aur Sunnat Me Na Ho Aur Ummat Ke Liye Dushwari Ka Bais Ho. Aap Ka Bachcha Haafiz E Qur'an Bana Hai To Aap Kiya Karenge?
Is Mauqe Se Taqreeb Aur Mehfil Ka Iniqaad Karne Ki Zaroorat Nahi Hai Balke Bachche Ka Hosla Badhane Aur Usko Dua Dene Ki Zaroorat Hai. Hosla Afzaai Is Liye Ke Bachche Ne Mehnat Ki Hai Aur 30 Pare Seene Me Mehfooz Kiya Hai. Aap Hosla Afzaai Me Use Mithaai Khilaae, Paise De, Gadi Aur Cycle Jo Maiyssar Ho Use De Isme Koi Harj Nahi Hai, Yah Walaidain Aur Bachche Ke Darmiyaan Ka Mamla Hai. Dusri Baat Yah Hai Ke Qur'an Hifz Kar Lena Hi Kaafi Nahi Hai Uski Ta'leem Haasil Karna Aham Hai Jis Maqsad Se Qur'an Naazil Hua Hai, Us Par Amal Karna Aur Uski Tableeg Karna Bhi. Nez Qur'an Yaad Karna Aasaan Hai Magar Usko Hamesha Yaad Rakh Pana Koi Aasaan Kaam Nahi Hai Balke Qur'an Bhulna Gunaah Ka Bais Hai. Un Surto Me Zaroorat Is Baat Ki Hai Ke Bachche Ke Haafiz E Qur'an Hone Par Allah Ka Shukriya Baja Lane Ke Sath Us Se Bahut Sab Yah Dua Kare Ke Umar Bhar Uska Haafiza Baqi Rahe, Is Bachche Ko Jaise Pura Qur'an Hifz Ho Gaya, Usi Tarah Pure Quran Ke Ma'ni Aur Ahkaam Jaanne Ki Taufeeq De, Qur'an Ke Mutaabiq Amal Karne Aur Uski Tableeg Karne Ki Taufeeq De. Bachche Ko Is Waqt Duao Ki Zaroorat Hai. Jab Aap Ka Bachcha Haafiz E Qur'an Hone Ke Sath Uske Uloom Aur Ahkaam Ko Bhi Seekh Le Ga Aur Us Par Amal Kare Ga To Aap Ke Liye Bashaarat E Nabawi Hai.
من قرأ القرآن وتعلمه وعمل به؛البس والداه يوم القيامة تاجا من نور.(صحيح الترغيب:1434)
Tarjumah: Jis Ne Qur'an Parha,Use Seekha Aur Us Par Amal Kiya To Uske Walaidain Ko Qayamat Ke Din Noor Ka Taaj Pehnaya Jaae Ga.
Qur'an Hifz Karne Ka Marhala Ibtidaai Hai, Abhi Qur'an Sikhne Aur Amal Karne Ka Marhala Baqi Hai,Jab Aap Ka Bachcha In Maraahil Ko Paar Kar Le To Aap Qaabil E Mubaarakbaad Hai Aur Aap Ke Liye Bashaarat E Nabawi Hai, Qayamat Me Maa Baap Dono Ko Noor Ka Taaj Pehnaya Jaae Ga. Yaad Rahe Bagair Ilm Aur Bagair Amal Ke Yah Fazeelat Haasil Nahi Hogi.
 
Top