⬅️⬅️⬅️ ISLAM MEIN KHADIMON KE HOQOOQ➡️➡️➡️


Islam Mein Khadimon Ke Hoqooq Aur Nabi ﷺ Ka Un Se Bartao
📝 Tehreer: Sheikh Maqbool Ahmad Salafi / Jeddah Dawah Center, Al-Salamah, KSA.
Romanised By : Umm Abdur Rahman(https://imsjeddah.com)

Allah Rabbul-Izzat ne Muhammad ﷺ ki zat-e-gerami ko sari insaniyat ke liye rahmat bana kar bheja hai, Aap ﷺ ki mukamal zindagi rahmat-o-shafqat se ibaarat hai. Aap ﷺ bat cheet, len den, kam-o-kaj aur jumla qism ke mo’aamalaat mein husan-e-t'aamul se pesh aate thay. Aap ﷺ ki zindagi mein Allah T'aala ne behtareen “Uswa” rakha hai. Is Uswa ka akas-o-partau hamein Makki-wa-Madani zindagi ke donaun adwaar mein ba'darja-e-atam, wa-ba'intiha-e-kamal nazar aata hai.
Is tehreer mein Nabi Kareem ﷺ ki zat-e-gerami ke us pahloo ko janengay keh apne khadimon ke sath Aap ﷺ ka bartao kaisa tha? Is mozoo se mutaliq Kitab-o-Sunnat mein teen qism ke logon ka tazkira hai jin mein, kai qism ke farq hein, taaham un teenon ka ta’alluq kam-o-khidmat se hai, is liye teenon qisam ke nosoos ko minjumla is mazmoon mein darj karoon ga, taakeh khidmat gaaron ke sath husn-e-ta'aamul ka unsur aap ke samne aa sake.
Aik hai ghulam-o-londi jo jangon mein maal-e-ghaneemat ke tor par musalmanon ke hath aate hein, yeh aazad nahin hote balkeh apne maalik ke ghulam hote hein. Doosra hai khadim jo ujrat ya ba'tor ehsan beghair ghulami ke kisi ki khidmat par mamoor ho. Teesra hai mazdoor jo mahdood muddat ke liye ujrat par kisi ka koi kam ya koi khidmat anjam deta hai.
In teenon ka samaj ke khidmat garon mein shumar hota hai aur is waqat ghulami ka daur nahin hai jabkeh do qism ke khidmat gaar ( khadim-o-mazdoor ) to hamesha rahein gay.

Un ke ta’alluq se pahle aap ke samne taleemaat-e-Muhammadiya ﷺ ki roshani mein se khadimon ke hoqooq paish karta hoon pir Aap ﷺ ka amli namoona paish karoon ga.

1=)
Jo khadim ujrat par mamoor ho us ki taye shuda ujrat ki adaaigi mein takheer na ki jaye balkeh waqat par ada kar di jaye. Abdullah Bin Umar رضی اللہ عنہ kehte hein keh Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
{ أعطوا الأجيرَ أجرَهُ قبلَ أن يجفَّ عرقُهُ }​
(Sahih Iban-e-Majah:1995)
Tarjuma:
" Mazdoor ko us ka paseena sookhane se pehle us ki mazdoori de do."

2=) Khadimon ki taye shuda ujrat na dena ya us mein kami karna qayamat mein Allah ki narazgi ka Sabab hai, Abu Horaira رضی اللہ عنہ ne Riwayat kiya hai keh Nabi Kareem ﷺ ne batlaya:
{ قالَ اللَّهُ تَعالَى: ثَلاثَةٌ أنا خَصْمُهُمْ يَومَ القِيامَةِ، رَجُلٌ أعْطَى بي ثُمَّ غَدَرَ، ورَجُلٌ باعَ حُرًّا فأكَلَ ثَمَنَهُ، ورَجُلٌ اسْتَأْجَرَ أجِيرًا فاسْتَوْفَى منه ولَمْ يُعْطِهِ أجْرَهُ }​
( Sahih-ul-Bukhari: 2270 )
Tarjima:
"Allah T'aala ka farman hai keh teen qism ke log aise hein jin ka qayamat mein Main khud muddai banoon ga. Aik to woh shakhs jis ne Mere nam pe Ahad kiya aur phir wada khilafi ki, doosra woh jis ne kisi aazad aadmi ko bech kar us ki qeemat khai aur teesra woh shakhs jis ne kisi ko mazdoor kiya aur phir kam to us se poora liya lekin us ki mazdoori na di.

3=) Baz khidmatgaron ka kam motayyan hota hai, baz ka kam motayyan nahin hota, taham Islam hamein hukm deta hai keh khadimon ko un ki taqat se ziyada bojh wala kam na do,agar bojhal kam apne nokaron ke zimmah dete hein to hamein un ki madad karna chahiye. Abu Zar رضی اللہ عنہ kahte hein keh Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
{ إخوانُكم جعلَهمُ اللَّهُ فتيةً تحتَ أيديكم فمن كانَ أخوهُ تحتَ يدِهِ فليطعمْهُ من طعامِهِ وليلبسْهُ من لباسِهِ ولاَ يُكلِّفْهُ ما يغلبُهُ فإن كلَّفَهُ ما يغلبُهُ فليعنْهُ}​

( Sahi-ul-Tirmazi:1945 )
Tarjuma:
" Tumhare khadim tumhare bhai hein, AllahT'aala ne un ko tumhare zer-e-dasat kar diya hai, lihaza jis ke tehat mein us ka bhai ( khadim ) ho, woh usay apne khane mein se khilaye, apne kapdon mein se pahnaye aur usay kisi aisa kam ka mokallaf na banaye jo usay aajiz kar de, aur agar usay kisi aise kam ka mokallaf banata hai, jo usay aajiz kar de to us ki madad kare.

4=) Mazkoora bala Hadees se aik aham bat yeh maloom hoti hai keh khadim-o-nokar hamare bhai hein, un ke sath hamein bhai chaargi ka mo’aamla karna chahiye aur aise bartao-wa-solook se bachna chahiye jo maatehton ko naagawaar guzre.

5=) Hamein apne khadimon ke sath husn-e-ta'aamul se pesh aana chahiye, yani un ke sath mo’aamla karte waqt akhlaq-o-kirdar aala rakhna chahiye, hatta keh khadim-o-nokar ka solook bura ho tab bhi hamein apna akhlaq buland rakhna chahiye aur afwo darguzar se kam lena chahiye.
Nabi ﷺ ka farman hai:
{ إنْ أحسَنوا فاقبَلوا ، وإنْ أساؤوا فاعفُوا ، وإنْ غلَبوكُم فَبيعوا }​
( Sahih-ul-Targheeb:2283 )
Tarjuma:
" Agar ghulam tumhare sath achha solook kare to usay qobool karo aur bura solook kare to mo’aaf kar do aur woh tum par ghalib aa jaye to bech do."

6=) Jab ghulam-o-khadim se kisi kam mein ghalti sarzad ho jaye to us ko mo’aaf kar dena chahiye, mo’aaf karne ke liye hamara dil is qadar kushaada ho keh din mein sattar sattar matabah bhi mo’aaf kar sakein. Abdullah Bin Umar رضی اللہ عنہ kehte hein:
{ جاءَ رجلٌ إلى النَّبيِّ صلى الله عليه وسلم فقالَ: يا رسولَ اللَّهِ كم أعفو عنِ الخادمِ فصمتَ عنه رسولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ثمَّ قالَ يا رسولَ اللَّهِ كم أعفو عنِ الخادمِ فقالَ: كلَّ يومٍ سبعينَ مرَّةً}​
( Sahih-ul-Tirmizi:1948 )
Tarjuma:
" Nabi Akram ﷺ ke pas aik aadmi ne aa kar poochha: Aye Allah ke Rasool ﷺ ! main apne khadim ki ghaltiyon ko kitni bar mo’aaf karoon ? Aap ﷺ us shakhs ke us sawal par khamosh rahe, us ne phir poochha: Allah ke Rasool ﷺ! main apne khadim ki ghaltiyon ko kitni bar mo’aaf karoon? Aap ﷺ ne farmaya: " Har din 70 (sattar) bar mo’aaf karo."
Ghulam-o-khadim ko maarne aur sataane se bhi Rasoolullah ﷺ ne manaa farmaya:
{ من لاءَمَكم مِن مملوكيكم فأطْعِموه مما تأكلون، واكسُوه مما تَلْبَسون ، ومَن لم يلائَمْكم منهم فبِيعوه ولا تعذِّبوا خلقَ اللهِ}​
( Sahih Abi Daood:5161 )
Tarjuma:
" Tumhare ghulamon aur londiyon mein se jo tumhare mowafiq hon to unhein wohi khilao jo tum khate ho aur wahi pahnao jo tum pahante ho, aur jo tumhare mowafiq no ho unhein bech do awr Allah ki makhlooq ko satao nahi.
Aur isi tarah Sahih Muslim ( 1659 ) mein hai keh Hazrat Abu Masood Badri رضی اللہ عنہ ne apne ghulam ko mara to Aap ﷺ ne unhein tanbeeh kiya aur farmaya:
{ أنَّ اللَّهَ أَقْدَرُ عَلَيْكَ مِنْكَ علَى هذا الغُلَامِ، قالَ: فَقُلتُ: لا أَضْرِبُ مَمْلُوكًا بَعْدَهُ أَبَدً}​
( Is ghulam par tumhein jitna ikhteyar hai us ki nisbat Allah tum par ziyada ikhteyar rakhta hai ) Is ke bad Masood ne kabhi ghulam ko nahin mara. Balkeh aik doosri riwayat mein Aap ﷺ ne yahan tak farmaya:
" Agar tum us ghulam ko aazad na karte to aag tumhei lipat jati ya aag tumhein chhoo leti."
( Sahih Abi Daood: 5159 )
Yahan yeh bhi yad rahe keh ghulam ko marne ka kaffara us ko aazad karna hai. Agar Jaaiz moqa par ghulam ko marne ki nobat aa jaye to chehre ko chhod kar mara jaye, Nabi ﷺ farmate hein:
{ إذا ضرب أحدُكم خادمَه ، فلْجَتَنِبِ الوجْه}​
( Sahihul-adab Al-mufrid: )
Tarjuma:
" Agar kisi ko apne khadim ko marne ki nobat aa jaye to chehre par na mare."

7=) Khadimon ke sath husn-e-mo’aamla to karna hi hai, is se badh kar un ko pukarne mein bhi haqaarat wale alfaaz se bachne ki Islam taleem deta hai, ma qabal Islam ghulam apne malik ko mera Rabb aur Aaqa apne ghulam ko mera banda kehta tha, jis se Islam ne mana kar diya, Hazrat Abu Horaira رضی اللہ عنہ se Riwayat hai keh Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
{ لا يَقُولَنَّ أحَدُكُمْ: عَبْدِي، فَكُلُّكُمْ عَبِيدُ اللهِ، ولَكِنْ لِيَقُلْ: فَتايَ، ولا يَقُلِ العَبْدُ: رَبِّي، ولَكِنْ لِيَقُلْ: سَيِّدِي}​
( Sahih Muslim:2249 )
Tarjuma:
Tum mein se koi shakhas ( kisi ghulam ko ) mera banda na kahe, pas tum sab Allah ke bande ho, albatta yeh kaha ja sakta hai mera jawan aur na ghulam yeh kahe: mera Rabb ( Paalne wala ) albatta mera sayyad ( mera aaqa ) keh sakta hai.

8=) Is se badh kar Islam ka husn keya ho ga keh woh hamein apne khadimon ke sath beth kar khane ki taleem deta hai, Hazrat Abu Hurera رضی اللہ عنہ bayan karte hain keh Rasoolullah ﷺne farmaya:
{ إذا صَنَعَ لأَحَدِكُمْ خادِمُهُ طَعامَهُ، ثُمَّ جاءَهُ به، وقدْ ولِيَ حَرَّهُ ودُخانَهُ، فَلْيُقْعِدْهُ معهُ، فَلْيَأْكُلْ، فإنْ كانَ الطَّعامُ مَشْفُوهًا قَلِيلًا، فَلْيَضَعْ في يَدِهِ منه أُكْلَةً، أوْ أُكْلَتَيْنِ }​
( Sahih Muslim: 1663 )
Tarjuma:
" Jab tum mein se kisi ka khadim us ke liye khana tayyar kare, phir woh us ke samne pesh kare aur woh us ke pakane aur tayyar karne mein, us ki garmi aur dhuwaan bardashat kar chuka hai, to Aaqa ko chahiye usay apne sath bethaye, ta keh woh bhi sath kha sake, agar ( kabhi ) khana kam ho aur donon ke liye kafi na ho sake, to wah us ke hath mein us se aik do niwale de de.
Kadimon ke sath khana motawaze hone ki alamat hai, chunancheh Sayyidina Abu Horaira رضی اللہ عنہ bayan karte hein keh Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
{ ما اسْتَكْبَرَ مَنْ أكلَ مَعَهُ خَادِمُهُ ، و رَكِبَ الحِمارَ بِالأَسْوَاقِ ، و اعْتَقَلَ الشَّاةَ فَاحْتَلَبَها }​
( Al-silsilatul-Sahihah: 2218 )
Tarjuma:
" Woh shakhs motakabbir nahin hai, jis ke sath us ke khadim ne khana khaya aur woh bazaron mein gadhe par sawar huwa aur bakri ki tangon ko bandh kar us ko duha.

9=) Nokar-o-khadim par ilzam lagana bahut aasan hota hai kiyoun keh woh samaj ka kamzor tabqa aur malik ke zer-e-nigrani hota hai magar Islam ne ghulam-o-khadim ke tahafuz-e-ismat ke tehat us par ilzam tarashi ke ta’alluq se sakht hukm diya hai. Abu Hurera رضی اللہ عنہ ne bayan farmaya hai keh main ne Abul-Qasim ﷺ se suna, Aap ﷺ ne farmaya:
{ مَن قَذَفَ مَمْلُوكَهُ، وَهو بَرِيءٌ ممَّا قالَ، جُلِدَ يَومَ القِيَامَةِ، إِلَّا أَنْ يَكونَ كما قالَ}​
( Sahihul-Bukhari:6858 )
Tarjuma:
" Jis ne apne ghulam par tohmat lagai halankeh ghulam us tohmat se bari tha to qayamat ke din usay kode lagaye jayen gay, siwaye is ke keh us ki bat sahih ho. "

10=) Khadimon ke hoqooq mein se aik haq yeh bi hai keh un par sadqa kiya jaye. Abu Hurera رضی اللہ عنہ kehte hein:
{ أمرَ النَّبيُّ صلَّى اللَّهُ علَيهِ وسلَّمَ بالصَّدقةِ ، فقالَ رجلٌ : يا رسولَ اللَّهِ ، عِندي دينارٌ ، فقالَ : تصدَّق بِهِ على نفسِكَ ، قالَ : عِندي آخرُ ، قالَ : تصدَّق بِهِ على ولدِكَ ، قالَ : عندي آخرُ ، قالَ : تصدَّق بِهِ على زوجتِكَ أو قالَ : زوجِكَ ، قالَ : عندي آخرُ ، قالَ : تصدَّق بِهِ على خادمِكَ ، قالَ : عندي آخرُ ، قالَ : أنتَ أبصَرُ }​
( Sahih Abi Daood: 1691 )
Tarjuma:
Nabi Akram ﷺ ne sadqa ka hukm diya to aik shakhs ne kaha: Allah ke Rasool ﷺ! mere pas aik dinar hai, Aap ﷺne farmaya: usay apne kam mein le aao, to us ne kaha: mere pas aik aur hai, Aap ﷺ ne farmaya usay apne bete ko dedo, us ne kaha: mere pas aik aur hai, Aap ﷺ ne farmaya: usay apni bivi ko dedo, us ne kaha: mere pas aik aur hai, Aap ﷺ ne farmaya: usay apne khadim ko dedo, us ne kaha: mere pas aik aur hai, Aap ﷺ ne farmaya: ab tum ziyada behtar jante ho (keh kise diya jaye ).
Aik doosri Hadees mein Miqdaqm Bin Maad karb Zubaidi رضی اللہ عنہ kehte hein keh Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
{ما كسبَ الرَّجلُ كَسبًا أطيبُ من عملِ يدِه وما أنفقَ الرَّجلُ على نفسِه وأهلِه وولدِه وخادِمِه فهو صدَقةٌ}​
( Sahih Iban-e-Majah:1752 )
Tarjuma:
" Aadmi ki koi kamai us kamai se behtar nahin jise us ne apni mehnat se kamaya ho, aur aadmi apni zaat, apni bivi, apne bachon aur apne khadim par jo kharch kare woh sadqa hai.

11=) Jis tarah hamare ghar ke apne bache hein unko Bad Duwa nahin dena chahiye isi tarah khadimon ko bhi Bad Duwa nahin dena chahiye, Jabir Bin Abdullah رضی اللہ عنہ kahte hein keh Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
{ لا تَدعوا علَى أنفسِكُم ولا تَدعوا علَى أولادِكُم ولا تَدعوا علَى خدَمِكم ولا تَدعوا علَى أموالِكُم لا تُوافقوا منَ اللَّهِ تبارَك وتعالى ساعةَ نَيلٍ فيها عَطاءٌ فيَستجيبَ لَكُم }​
(Sahih Abu Daood:1532)
Tarjuma:
Tum log na apne liye Bad Dua karo na apni aulad ke liye, na ape khadimon ke liye aur na hi apne amwaal ke liye, kahin aisa na ho keh woh ghadi aisi ho jis mein Dua qobool hoti ho aur Allah tumhari Bad Dua qobool kar le. Aik martabah ka waqia hai keh jab Abdul Malik Bin Marwan ne khadim se mamooli der hone par usay la'an-o-ta'an kiya to sun kar Umm-e-Darda رضی اللہ عنہا ne kaha ke main ne Hazrat Abu Darda رضی اللہ عنہko yeh kehte huaye suna tha keh Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
{ لَا يَكُونُ اللَّعَّانُونَ شُفَعَاءَ وَلَا شُهَدَاءَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ }​
( Sahih Muslim: 2598 )
Tarjuma:
" Ziyada lanat karne wale Qayamat ke din na shifa'at karne wale hongay, na gawah banein gay,

12=) Nabi ﷺ jab duniya se rukhsat ho rahe thay to Aap ﷺ ne akhari Wasiyyat ke tor par ghulam ke sath husn-e-ta'aamul se pesh aane ka hukm diya tha. Jis se ghulam-o-khadim ka Islam mein maqam-o-martaba wazeh hota hai.
Ali رضی اللہ تعالی kehte hein:
{ كَانَ آخِرُ كَلَامِ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الصَّلَاةَ الصَّلَاةَ اتَّقُوا اللَّهَ فِيمَا مَلَكَتْ أَيْمَانُكُمْ }​
( Sahih Abu Daood:5156 )
Tarjuma:
" Rasoolullah ﷺ ki aakhiri bat (inteqal ke moqa par ) yeh thi keh Namaz ka khayal rakhna,Namaz ka khayal rakhna, aur jo tumhari milkiyat mein ( ghulam aur londi )hein un ke mo’aamlaat mein Allah se darte rehna.
Khadimon ke ta’alluq se yeh chand aham hoqooq bayan kiye gaye, aur yeh sare bayan karda hoqooq Muhammad ﷺ ke farmoodaat mein se hein, Goya khadimon ke in sunahre aur pakeeza hoqooq se maloom hota hai keh hamare Rasool Hazrat Muhammad ﷺ apne khadimon ke sath aise hi bartao bhi karte thy, kiyoun keh Aap ﷺ ki zindagi mein hamare liye behtareen namoona hai, Aap ﷺ jo farmate thay us par khud amal kar ke dikhate thay. Ab baaqaidah Aap ﷺ ki zindagi se khadimon ke sath husn-e-solook aur behtareen bartao ke ama’li namoone bhi pesh karta hoon takeh Mauzoo ki achhi tarah wazahat ho sake.
Qabal is ke keh main khadimon ke sath Nabi ﷺ ka bartao likhoon Shaikhul-Islam Iban-ul-Qayyam رحمہ اللہ ki kitab Zaadul-Ma’aad se Rasoolullah ﷺ ke khadim ke nam paish karna munasib samajhta hoon neez ghulam-o-kaneez ka zikar nahin kar raha hoon kiyoun keh asal mauzoo khadim se mota’alliq hai, Aap ﷺ ke khadimon mein Anas Bin Malik, Abdullah Bin Masood, Uqba Bin Aamir Johani, As’la Bin Shareek, Abu Zar Ghefari, Aiman Bin Ubaid, Umme Aiman, Bilal Bin Rabaah aur Saad thay.
Deegar seerat nigaron ne aur bhi naam bataye hein, un mein se aik eham naam jin se mota’alliq aagay Hadees bi aaye gi woh Rabia Bin Kaab Aslami hein.

*** Ab Ham Rasoolullah ﷺ Ka Apne Khadimon Ke Sath Bartao Dekhte Hein.

1=)
Aap ﷺ apne khadimon ka is qadar khayal karte thay keh khidmat karne wala Aap ﷺ ko chhor kar jana pasand nahin karta, is silsila mein aik waqia mulahiza farmaien. Zaid Bin Harisa رضی اللہ عنہ ke bhai Jabla Bin Harisa رضی اللہ عنہ ka bayan hai:
{ قَدِمْتُ على رسولِ اللَّهِ صلَّى اللَّهُ علَيهِ وسلَّمَ فقُلتُ: يا رسولَ اللَّهِ ابعَث معي أخي زيدًا قالَ: هوَ ذا، فإن انطلقَ معَكَ لم أمنَعهُ. قالَ زيدٌ: يا رسولَ اللَّهِ، واللَّهِ لا أختارُ عليكَ أحدًا، قالَ: فرأيتُ رأيَ أخي أفضلَ مِن رأيي }​
( Sahih-ul-Tirmazi:3815 )
Tarjuma:
" Main Rasoolullah ﷺ ke pas aaya aur main ne arz kiya: Allah ke Rasoo ﷺ! mere bhai ko mere sath bhej dijiye, Aap ﷺ ne farmaya: Woh maujood hein agar tumhare sath jana chah rahe hein to main unhein nahin rokoon ga. Yeh sun kar Zaid ne kaha: Allah ke Rasool ﷺ! qasam Allah ki ! main Aap ﷺ ke moqabila mein kisi aur ko ikhteyar nahin kar sakta, Jabla kehte hein: to main ne dekha keh mere bhai ki raaye meri raaye se afzal thi. "

2=) Aap ﷺ jo khate peete , us mein se apne khadim ko bhi dete. Sahih Muslim mein hai keh Aap ﷺ ke liye jo Nabeez banai jati Aap ﷺ us mein se apne khadim ko bhi pilate. ( Sahih Muslim:2004 ).

3=) Aap ﷺ ne apne khadim ko na kabhi dant dapat ki aur na unhein kabhi mara. Ummul-Momineen Hazrat Ayesha رضی اللہ عنہا kahti hein:
{ ما ضربَ رسولُ اللهِ صلى الله عليه وسلم، خادمًا، ولا امرأةً قطُّ}​
( Sahih Abi Daood:4786 )
Tarjuma:
" Rasoolullah ﷺ ne na kisi khadim ko mara,aur na kbhi kisi aurat ko."

4=) Aap ﷺ apne khadimon ko Dua dete thay. Anas رضی اللہ عنہ se Riwayat hai:
{ قَالَتْ أُمِّي: يا رَسولَ اللَّهِ، خَادِمُكَ أنَسٌ، ادْعُ اللَّهَ له، قَالَ: اللَّهُمَّ أكْثِرْ مَالَهُ، ووَلَدَهُ، وبَارِكْ له فِيما أعْطَيْتَهُ}​
( Sahih-ul-Bukhari:6344 )
Tarjuma:
" Meri walida ( Umm-e-Solaim رضی اللہ عنہ ) ne kaha: Ya Rasoolullah ﷺ! Anas رضی اللہ عنہ Aap ﷺ ka khadim hai us ke liye Dua farma dein, Nabi Kareem ﷺ ne Dua ki keh aye Allah! is ke maal-o-aulad ko ziyada kar aur jo kuch Tu ne usay diya hai us mein Barkat ata farma.

5=) Aap ﷺ khadimon ki zarooriyaat ka khayal karte aur un ke bare mein puchha karte thay, Nabi Kareem ﷺ ke khadim ya khadimah se Riwayat hai, woh kehte hein:
{كان ممَّا يقولُ للخادمِ : ألكَ حاجةٌ ؟ قال : حتى كان ذاتَ يومٍ فقال : يا رسولَ اللهِ ! حاجتي ، قال : و ما حاجتك ؟ قال : حاجَتي أن تشفعَ لي يومَ القيامةِ قال : و من دلَّكَ على هذا ؟ قال : ربِّي ، قال : أما لا ، فأعنِّي بكثرةِ السجودِ }​
( Al-silsilatul-Sahihah:2102 )
Tarjuma:
" Aap ﷺ khadim ko jo kuch kaha karte thay,.us mein se aik bat yeh thi: ( Aap ﷺ puchhte ) keya teri koi zaroorat hai? bil'aakhir aik din khadim ne kaha: aye Allah ke Rasool ﷺ! meri aik hajat hai, Aap ﷺ ne puchha: teri keya hajat hai? Us ne kaha: meri hajat yeh hai keh Aap ﷺ Roz-e-Qayamat meri Shifa'at farmaein. Aapﷺ ne farmaya: is ( mutaliba par ) teri rahnumai kis ne ki ? us ne kaha: mere Parwardigaar ne, Aap ﷺ ne farmaya: kiyoun nahin ! phir tu sajdon ki kasrat se meri madad kar."
Pahle ke khadim bhi kitne achhe hote keh duniya ki fikr na karte balkeh aakhirat ke liye sochte, phir Aap ﷺ ki refaqat bhi to naseeb hui thi. Is mani ki ek Hadees yoon aai hai. Hazrat Rabia Bin Kaab (Bin Malik) Aslami رضی اللہ عنہ ne kaha:
{ كُنْتُ أبِيتُ مع رَسولِ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عليه وسلَّمَ فأتَيْتُهُ بوَضُوئِهِ وحَاجَتِهِ فَقالَ لِي: سَلْ فَقُلتُ: أسْأَلُكَ مُرَافَقَتَكَ في الجَنَّةِ. قالَ: أوْ غيرَ ذلكَ قُلتُ: هو ذَاكَ. قالَ: فأعِنِّي علَى نَفْسِكَ بكَثْرَةِ السُّجُودِ}​
( Sahih Muslim: 489 )
Tarjuma:
" Main (khidmat ke liye) Rasoolullah ﷺ ke sath ( Suffa mein Aap ﷺ ke qareeb ) rat guzara karta tha. ( Jab Aap ﷺ Tahajjud ke liye uth'te to ) main Wozu ka pani aur doosari zarooriyaat le kar Aap ﷺ ki khidmat mein hazir hota. (Aik martaba) Aap ﷺ ne mujhe farmaya: (kuch) mango, to main ne arz ki: main Aap ﷺ se yeh chahta hoon keh Jannat mein bhi Aap ﷺ ki refaaqat naseeb ho, Aap ﷺ ne farmaya: ya is ke siwa kuch aur ? main ne arz ki: bus yehi, to Aap ﷺ ne farmaya: tum apne mo’aamle mein sajdon ki kasrat se meri madad karo."
Rabia kis tarah Aap ﷺ ki khidmat karte zara is ki tafseel doosari Hadees se jan lein, Ta keh hamare ander bhi muhabbat-e-Rasool ﷺ ka jazba bedar ho. Rabia beyan karte hein:
{ كُنتُ أخدُمُ رَسولَ اللهِ صلَّى اللهُ عليه وسلَّمَ وأقومُ له في حَوائِجِه نَهاري أجمَعَ، حتى يُصلِّيَ رَسولُ اللهِ صلَّى اللهُ عليه وسلَّمَ العِشاءَ الآخِرةَ، فأجلِسَ ببابِه إذا دَخَلَ بَيتَه، أقولُ: لَعَلَّها أنْ تَحدُثَ لِرسولِ اللهِ صلَّى اللهُ عليه وسلَّمَ حاجةٌ؛ فما أزالُ أسمَعُه يَقولُ رَسول اللهِ صلَّى اللهُ عليه وسلَّمَ: سُبحانَ اللهِ، سُبحانَ اللهِ، سُبحانَ اللهِ وبَحمْدِه، حتى أمَلَّ فأرجِعَ، أو تَغلِبَني عَينيَّ، فأرقُدَ}​
( Irwa-ul- Ghaleel:208/2 wa qala Al-Bani asnadohu hasan )
Tarjuma:
" Main Nabi Kareem ﷺ ki khidmat kiya karta tha aur sara sara din Aap ﷺ ki zarooriyaat poori kiya karta tha, yahan tak keh Rasoolullah ﷺ Isha ki Namaz ada farma lete, Namaz-e-Isha ke bad Aap ﷺ apne ghar tashreef le jate to main Aap ﷺ ke darwaze par beth rahta, main sochta keh ho sakta keh Aap ﷺ ko koi zaroorat pesh aa jaye, main kafi der tak Aap ﷺ ki aawaz sunta rahta keh Aap ﷺ
سُبْحَانَ اللّٰہِ، سُبْحَانَ اللّٰہِ، سُبْحَانَ اللّٰہِ وَبِحَمْدِہِ​
ke alfaaz ada karte rahte, yahan tak keh main hi thak kar wapas aa jata, ya mujh par aankhein ghalba pa letien aur main so jata. "

6=) Hazrat Anas رضی الل عنہ ne das saal Aap ﷺ ki khidmat ki aur aap ne das sala khidmat ka tajarba bataya keh Muhammad ﷺ ne hamein kabhi yeh na kaha keh yeh kaam aise kiyoun kiya ya yeh kaam kiyoun nahin kiya? Khadim-e-Rasool Anas رضی اللہ عنہ ka bayan khud un ki zubani sunein, aap bayan karte hein:
{ قَدِمَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الْمَدِينَةَ لَيْسَ لَهُ خَادِمٌ، فَأَخَذَ أَبُو طَلْحَةَ بِيَدِي، فَانْطَلَقَ بِي إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَقَالَ: يَا رَسُولَ اللَّهِ، إِنَّ أَنَسًا غُلَامٌ كَيِّسٌ فَلْيَخْدُمْكَ، قَالَ: فَخَدَمْتُهُ فِي السَّفَرِ وَالْحَضَرِ، مَا قَالَ لِي لِشَيْءٍ صَنَعْتُهُ لِمَ صَنَعْتَ هَذَا هَكَذَا، وَلَا لِشَيْءٍ لَمْ أَصْنَعْهُ لِمَ، لَمْ تَصْنَعْ هَذَا هَكَذَا}​
(Sahih-ul-Bukhari:2768)
Tarjuma:
" Rasoolullah ﷺ Madina tashreef laaye to Aap ﷺ ke sath koi khadim nahin tha, is liye Abu Talha ( jo mere sautele baap thay ) mera hath pakad kar Aap ﷺ ki khidmat mein le gaye aur arz kiya keh ya Rasoolullah ﷺ! Anas samajhdar bacha hai, yeh Aap ﷺ ki khidmat kiya kare ga. Anas رضی اللہ عنہ kahte hein keh main ne Ap ﷺ ki safar aur hazar mein khidmat ki, Aap ﷺ ne mujh se kisi kaam ke bare mein jise main ne kar diya ho, yeh nahin farmaya keh yeh kaam tum ne is tarah kiyoun kiya, isi tarah kisi aise kaam ke mota’alliq jise main na kar saka hoon Aap ﷺ ne yeh nahin farmaya keh tu ne yeh kaam is tarah kiyoun nahin kiya."
Uswa-e-Rasool ﷺ se Sayyidona Anas رضی اللہ عنہ ke bare mein aik waqia se bhi andaza lagaiyen keh Aap ﷺ apne khadim se kaam lene mein kis qadar haseen-o-jameel akhlaq wala meharban, narm dil aur shafiq thay, Hazrat Anas رضی اللہ عنہ bayan karte hein:
{كانَ رَسولُ اللهِ صلَّى اللَّهُ عليه وسلَّمَ مِن أَحْسَنِ النَّاسِ خُلُقًا، فأرْسَلَنِي يَوْمًا لِحَاجَةٍ، فَقُلتُ: وَاللَّهِ لا أَذْهَبُ، وفي نَفْسِي أَنْ أَذْهَبَ لِما أَمَرَنِي به نَبِيُّ اللهِ صلَّى اللَّهُ عليه وسلَّمَ، فَخَرَجْتُ حتَّى أَمُرَّ علَى صِبْيَانٍ وَهُمْ يَلْعَبُونَ في السُّوقِ، فَإِذَا رَسولُ اللهِ صلَّى اللَّهُ عليه وسلَّمَ قدْ قَبَضَ بقَفَايَ مِن وَرَائِي، قالَ: فَنَظَرْتُ إلَيْهِ وَهو يَضْحَكُ، فَقالَ: يا أُنَيْسُ، أَذَهَبْتَ حَيْثُ أَمَرْتُكَ؟ قالَ: قُلتُ: نَعَمْ، أَنَا أَذْهَبُ يا رَسولَ اللَّهِ }​
(Sahih Muslim:2310)
Tarjuma:
" Rasoolullah ﷺ tamam insanon mein akhlaq ke sab se achhe thay, Aap ﷺne aik din mujhe kisi kaam se bheja, main ne kaha: Allah ki qasam! main nahin jaoon ga, halankeh mere dil mein yeh tha keh Nabi ﷺ ne mujhe jis kaam ka hukm diya hai main us ke liye zaroor jaoon ga, to main chala gaya, hatta keh main chand ladkon ke pas se guzra, woh bazar mein khel rahe thay, phir achanak ( main ne ) dekha Rasoolullah ﷺ ne piche se meri guddi se mujhe pakad liya, main ne Aap ﷺ ki taraf dekha to Aap ﷺ hans rahe thay, Aap ﷺ ne farmaya: aye chhote Anas! keya tum wahan gaye thay jahan (jane) ko main ne kaha tha? main ne kaha: ji han! Allah ke Rasool ﷺ! main ja raha hoon."

7=) Kabi Aap ﷺ apne khadim ke ghar bhi jate, agar koi khadim bimar pad jata to us ki iyadat ko bhi jate, Anas Bin Malik رضی اللہ عنہ ne bayan kiya:
{ كانَ غُلَامٌ يَهُودِيٌّ يَخْدُمُ النبيَّ صَلَّى اللهُ عليه وسلَّمَ، فَمَرِضَ، فأتَاهُ النبيُّ صَلَّى اللهُ عليه وسلَّمَ يَعُودُهُ، فَقَعَدَ عِنْدَ رَأْسِهِ، فَقالَ له: أسْلِمْ، فَنَظَرَ إلى أبِيهِ وهو عِنْدَهُ فَقالَ له: أطِعْ أبَا القَاسِمِ صَلَّى اللهُ عليه وسلَّمَ، فأسْلَمَ، فَخَرَجَ النبيُّ صَلَّى اللهُ عليه وسلَّمَ وهو يقولُ: الحَمْدُ لِلَّهِ الذي أنْقَذَهُ مِنَ النَّارِ}​
(Sahih-ul-Bukhari:1356)
Tarjuma:
" Aik Yahoodi ladka ( Abdul-Quddoos )Nabi ﷺ ki khidmat kiya karta tha, aik din woh bimar ho gaya, Aap ﷺ us ka mizaj maloom karne ke liye tashreef laaye aur us ke sirhane beth gaye aur farmaya keh Musalman ho ja, us ne apne bap ki taraf dekha, bap wohien maujood tha, us ne kaha: ( kya muzaiqa hai ) Abul-Qasim ﷺ jo kuch kahte hein man le, chunancheh woh bacha Islam le aaya. Jab Nabi Kareem ﷺ bahar nikle to Aap ﷺ ne farmaya: Shukr hai Allah Paak ka jis ne is bachy ko Jahannam se bacha liya."

8=) Aap ﷺ khadim ke sath adal-o-moruwat se pesh aate, aik martabah ka waqia hai keh Nabi ﷺ Ayesha رضی اللہ عنہا ke ghar thay us dauran khadim Zanib Bint-e-Jahash رضی اللہ عنہا ke ghar se aik piyale mein koi cheez laya, Sayyida Ayesha رضی اللہ عنہا ne ghussa mein ghulam ke hath par mara jis se piyala toot gaya, Nabi ﷺ ne khud se katore ka tukda aur jo khana gira tha jama kiya phir jis ghar mein katora toota us ghar se naya katora mangwaya aur us ghar ko bhejwa diya jahan se aaya tha aur toota huwa usi ghar mein rahne diya.
( Bkhari:5225 )

9=) Nokar chakar bhi samaj ka aik hissa hai, Aap ﷺ un ko bhi izzat-o-ehtaram se dekhte aur qadar kiya karte thay,
{كانَ رَسولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عليه وسلَّمَ إذَا صَلَّى الغَدَاةَ جَاءَ خَدَمُ المَدِينَةِ بآنِيَتِهِمْ فِيهَا المَاءُ، فَما يُؤْتَى بإنَاءٍ إلَّا غَمَسَ يَدَهُ فِيهَا، فَرُبَّما جَاؤُوهُ في الغَدَاةِ البَارِدَةِ، فَيَغْمِسُ يَدَهُ فِيهَا}​
(Sahih Muslim:2324)
Tarjuma:
" Rasoolullah ﷺ jab subah ki namaz se farigh hote to Madina ke khadim (ghulam) apne bartan le aate jin mein pani hota jo bhi bartan Aap ﷺ ke samne laya jata Aap ﷺ apna dasat-e-mubarak us mein dubo dete, basa auqaat sakht thandi subah mein bartan laaye jate to Aap ﷺ (phir bhi) un mein apna hath dubo dete."
Isi tarah aik doosari Hadees mein hai Anas Bin Malik رضی اللہ عنہ bayan karte hein keh Rasoolullah ﷺ ke akhlaq-e-fazila ka yeh hal tha:
{ إنْ كَانَتِ الأمَةُ مِن إمَاءِ أهْلِ المَدِينَةِ، لَتَأْخُذُ بيَدِ رَسولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عليه وسلَّمَ فَتَنْطَلِقُ به حَيْثُ شَاءَتْ}​
(Sahih-ul-Bukhari: 6072)
" Aik londi Madina ki londiyon mein se Ap ﷺ ka hath pakad leti aur apne kisi bhi kaam ke liye jahan chahti Aap ﷺ ko le jati. "
Guzashta kalam ka lubb-e-lubab yeh hai keh khadim bhi samaj ka aik hissa hai us ko bhi wahi maqam milna chahiye jo doosre tabqon ko hasil hai yehi wajah hai keh Islam ne khadimon ko bhi aala maqam ata kiya hai, un ke hoqooq mota'ayyan kiye hain aur Aap ﷺ ne khadimon ke sath achha bartao kar ke duniya walon ke liye aik behtareen misaal qaayem ki hai,insan ki khubi ka us waqat pata chalta hai jab woh kamzoron aur ma'tehton ke sath husn-e-solook kare aur ma'tehti jab apne malik ki khoobi bayan karein to yeh aur bhi badi bat hoti hai. Nabi ﷺ buland akhlaq ke me,ayar par faaiz thay aur Aap ﷺ to akhlaqi qadron ki takmeel ke liye aaye thay, ba’ein sabab jahan Aapﷺ apne ghar walon aur apne Sahaba رضی اللہ عنہم ke sath husn-e-solook kiya wahin apne khadimon ke sath bhi behtar se behtar solook pesh kiya, is jagah thehar kar hamein yeh bhi sochna hai keh hum apne matehton ke sath kesa solook karte hein? Nabi ﷺ ke uswa-e-hasana se hamara kirdar kis qadar mail khata hai? agar hamare kirdar mein khot hai aur yaqinan hoga to apni islah karein aur Uswa-e-Rasool ﷺ ko apnaen, khadim-o-ghulam ke sath ghar ke tamam afraad, jumla rishta dar, dosat-o-ahbab, samaj-o-muhalla, sahib-e-ilm-o-fun, bimar-o-mohtaj, faqeer-o-miskeen sab ke sath husn-e-solook se pesh aaein hatta keh Ghair Muslimon ke sath bhi hamara rawaiya insaniyat nawazi ka ho ta keh hamare husn-e-akhlaq aur buland kirdar se un ke dilon mein Islam ka joat jag sake.

Aakhir mein khadimon se mutaliq awam mein phaile kuch zaeef Ahadees ka zikar kiya ja raha hai ta keh ham un zaeef Ahadees ke beyan karne se bachen.

1=)
Abu Saeed Khudri رضی اللہ عنہ kahte hein keh Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
{ إذا ضربَ أحدُكُم خادمَهُ فذَكَرَ اللَّهَ فارفَعوا أيديَكُم }​
( Zaeeful-Tirmazi:1950 )
Tarjuma:
" Jab tum mein se koi apne khadim ko mare aur woh (khadim) Allah ka nam le le to tum apne hathon ko rok lo."

2=)
{ نهَى عن استئجارِ الأجيرِ حتَّى يبيِّنَ لهُ أجرُهُ }​
( Zaeeful-Jame:6030 )
Tarjuma:
" Mazdooron se us ki mazdoori ke ta'ayyun se qabal kaam lene se mana farmaya.

3=)
{لا تضرِبوا إماءَكم علَى كسرِ إِنَّائكم ، فإِنَّ لِها آجالًا كآجالِ الناسِ }​
( Zaeeful-Jame:6240 )
Tarjuma:
" Bartanon ke tootane par mulazimon-wa-khadimon ko mat maro! kiyoun keh logon ki tarah bartanon ka bhi aik waqat moqarar hai.
Albani ne isay mozoo kaha hai.

4=) Hazrat Amar Bin Horais رضی اللہ عنہ beyan karte hein keh Nabi Akram ﷺ ne farmaya
{ ما خفَّفتَ عن خادمِك من عملهِ ؛ فهو أجرٌ لك في موازينِك يومَ القيامةِ }​
( Al-silsilatul-zaeefa:4437 )
Tarjuma:
" Tum apne khadim ki zimmadariyon mein jitni takhfeef karo gay, us ke badla mein tumhara nama-e-amaal ke palre mein us ka ajar ho ga.

5=) Nabi ﷺ farmate hein:
{ حسن الملكة يمن، وسوء الخلق شؤم}​
( Zaeef Abi Daood:5163 )
Tarjuma:
" Ghulam aur londi ke sath achha bartao karna barkat, aur bad khulqi karna nahoosat hai."

6=) Abu Bakar رضی اللہ عنہ se riwayat hai keh Nabi Akram ﷺ ne farmaya:
{ لَا يَدْخُلُ الْجَنَّةَ سَيِّئُ الْمَلَكَةِ}​
(Zaeeful-Tirmizi:1946)
Tarjuma:
" Woh shakhs Jannat mein dakhil nahin ho ga jo khadimon ke sath bura solook karta hai."

7=)
{ الأكلُ مع الخادمِ من التواضُعِ}​
( Zaeeful-Jame:2291 )
قال البانی: موضوع
Tarjuma:
" Khadim ke sath khana tawazo mein se hai. "

8=)
{ الخادمُ في أمانِ اللهِ عزَّ وجلَّ ، ما دامَ الخادمُ في خدمةِ المؤمنِ }​
( Lisanul-Meezan:191/4 )
قال ابن الحجر عسقلانی: موضوع
Tarjuma:
" Jab tak khadim momin ki khidmat mein hota hai woh Allah ke amaan mein hota hai. "

9=)
{ الأكلُ مع الخادِمِ من التواضعِ، فمن أكل معه اشتاقت إليه الجنةُ}​
(Al-silsilatul-Zaeefah:612)
قال البانی:موضوع
Tarjuma:
" Khadim ke sath khana tawazo mein se hai pas jis ne us ke sath khaya to Jannat us ki mushtaq ho jati hai. "

10=)
{ إذا ابتاعَ أحدُكُم الخادِمَ ، فليكُن أوَّلُ شيءٍ يُطعِمُهُ الحلوَى ، فإنَّهُ أطيَبُ لنفسِهِ }​
( Zaeeful-Jame:272 )
Tarjuma:
" Jab tum mein se koi naukar ( ghulam ) khareede to us ko sab se pahle meethi cheez khilaye kiyoun keh yeh naf’s ke liye pakeeza hai.
Aik dosari zaeef riwayat mein hai:
{ إذا اشْتَرَى أحدُكُمْ الجارِيةَ ، فلْيكُنْ أوَّلَ مايُطعِمُها الحُلْوُ ، أطْيبُ لنفْسِها }​
( Zaeeful-Jame:369 )
Tarjuma:
" Tum mein se jo Londi khareede to pahle pahal us ko meethi cheez khilaye kiyoun keh naf’s ke liye pasandeeda hai.

******

⬅⬅⬅⬅⬅➡➡➡➡➡
 
Top