Western culture (Maghribi Tahzeeb) Ka Aurton Par Asar


Ibnatu Ali

Member
Western culture (Maghribi Tahzeeb) Ka Aurton Par Asar

Tehreer: Umar Asari

Jab Islam Ke Dushmano Ne Dekha Ki Islam Poori Dunya Mein Phail Raha Hai or Uski Roshni Se Sab Hidayat Paa Rahe Hain To Unki Raaton Ki Neend Ud Gai Or Unka Sukun Khatm Ho Gaya or Wo Islam Ko Mitaaney Ke Liye Tarah Tarah Ki Koshish Karne Lage.

Unki Koshishon Mein Se Ek Koshish Ye Thi Ke Wo Islamic Culture Ko Badal Den Taaki Musalmaan Apne Culture Ko Chor Kar Unke Culture Ko Apna Len Or Is Tarah Islam Mit Jaye. Or Wo Ismein Kaamyaab Bhi Hue Or Aaj Bhi Ho Rahe Hain.

Lihaza Aaj Hum Dekhtey Hain Ki Muslmaan Bina Sooche Samjhey Western Culture Ko Apnate Chaley Jaa Rahey Hain. Khaas Taur Se Hamari Bahnen Western Culture Ko Aankhen Band Karke Follow Karti Hain.

Afsoos Ka Maqaam Hai! Hamari Musalmaan Bahnen Islami Ahkaam or Rab Ke Farmaan Se Ghafil Hain.

Aaj Musalmaan Bahno Ne Apni Tahzeeb Bhula Di Hai Unho Ne Maghribi Tahzeeb Ko Hi Apni Tahzeeb Bana Liya Hai.

Haye Afsoos! Jab Musalman Bahnen Bahar Nikalti Hain To Chust Kapdey Pahney Hue Hoti Hain Jisse Unka Jism Zahir Hota Hai. Or Unka Ye Libaas Behayai Ka Libas Hai. Aisi Hi Aurton Ke Silsiley Mein Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Tha:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : صِنْفَانِ مِنْ أَهْلِ النَّارِ لَمْ أَرَهُمَا ، قَوْمٌ مَعَهُمْ سِيَاطٌ كَأَذْنَابِ الْبَقَرِ يَضْرِبُونَ بِهَا النَّاسَ ، وَنِسَاءٌ كَاسِيَاتٌ عَارِيَاتٌ مُمِيلاَتٌ مَائِلاَتٌ ، رُؤُوسُهُنَّ كَأَسْنِمَةِ الْبُخْتِ الْمَائِلَةِ لاَ يَدْخُلْنَ الْجَنَّةَ ، وَلاَ يَجِدْنَ رِيحَهَا ، وَإِنَّ رِيحَهَا لَيُوجَدُ مِنْ مَسِيرَةِ كَذَا وَكَذَا​
Tarjumah: Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se Riwayat Hai Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:
Dozakh Walon Ki Do Qismein Aisi Hain Ki Jinhein Meine Nahi Dekha, Ek Qism To Un Logon Ki Hai Ke Jinke Paas Gayon Ki Dumon (Tails) Ki Tarah Kode (Whips) Hain Jisse Wo Logon Ko Maartey Hain.
Or Doosri Qism Un Aurton Ki Hai Jo Libaas pahenne Ke Bawjood Nangi Hain Wo Seedhey Raastey Se Bahkaaney Wali or Khud Bhi Bhatki Hue Hain Unkey Sar (Head) Oont (Camel) Ke Kohaan (Humps) Ki Tarah Ek Taraf Jhukey Hue Hongey Wo Aurtein Jannat Mein Dakhil Nahi Hongi or Na Hi Jannat Ki Khushbu Paa Sakengi (Halanki) Jannat Ki Khushbu Itni Itni Masaafat (Doori) Se Mahsoos Ki Jaa Sakti Hai.
(Sahih Muslim: 2128)

Gaur Karen Is Hadees Mein Kitni Sakht Baat Kahi Gayi Hai. Kya Aaj Kal Ki Aurtein Is Hadees Mein Btayi Gai Aurton Ki Tarah Nahi Hain?

Ta’ajjub Ki Baat to Ye Hai Ki Aurtein Gharon Se Naqab Pahen Kar Niklti Hain Lekin Kuch Hi Door Chalney Ke Baad Apne Naqab Ko Hata Leti Hain or Behayai Se Mardon Ke Beech Chalti Hain. Halanki Allah Ka Farmaan Hai:
يَٰٓأَيُّهَا ٱلنَّبِىُّ قُل لِّأَزْوَٰجِكَ وَبَنَاتِكَ وَنِسَآءِ ٱلْمُؤْمِنِينَ يُدْنِينَ عَلَيْهِنَّ مِن جَلَٰبِيبِهِنَّ ۚ ذَٰلِكَ أَدْنَىٰٓ أَن يُعْرَفْنَ فَلَا يُؤْذَيْنَ ۗ وَكَانَ ٱللَّهُ غَفُورًا رَّحِيمًا​
Tarjumah: Aye Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Apni Biwiyon Se Or Apni Betiyon Se or Musalmaanon Ki Aurton Se Keh Do Ki Wo Apney Upar Apni Chadarein Latka Liya Karen, Is Se Bohot Jald Un Ki Shinakht (Pahchaan) Ho Jaaya Karegi Fir Na Satai Jayengi, or Allah Ta’ala Bakhshney Wala Meharbaan Hai.
(Surah Al-Ahzaab: Surah No: 33 Ayat No: 59)

Doosri Jagah Allah Ta’ala Ne Farmaya:
وَقَرْنَ فِى بُيُوتِكُنَّ وَلَا تَبَرَّجْنَ تَبَرُّجَ ٱلْجَٰهِلِيَّةِ ٱلْأُولَىٰ ۖ وَأَقِمْنَ ٱلصَّلَوٰةَ وَءَاتِينَ ٱلزَّكَوٰةَ وَأَطِعْنَ ٱللَّهَ وَرَسُولَهُ​
Tarjumah: Or Apney Gharon Mein Thehri Raho (Yaani Apney Gharon Ko Lazim Pakdo) or Pahley (Qadeem) Jahiliyyat Ke Zamaaney Ki Tarah Apney Banao Ka Izhaar Na Karo or Namaaz Ada Karti Raho or Zakat Deti Raho or Allah or Uske Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Ita’at Karo.
(Surah Al-Ahzaab: Surah No: 33 Ayat No: 33)

Aye Millat Ki Maaon or Bahno! Tumne Western Culture Ke Daldal Mein Phas Kar Islam Ki Muqaddas Ta’aleemat Ko Thukra Diya, Azwaaj e Mutahharat or Sahabiyat Key Uswah e Zindagi Ko Bhula Diya?

Or Jab Maghribi Tahzeeb Se Mutassir Logon Ne Aurton Ki Azaadi Ka Naara Lagaya To Tum Bhi Unke Fareeb Mein Aa Kar Sharm o Haya Ko Chor Kar Apney Husn o Jamaal Ki Numaaish Kartey Hue Unkey Saath Nikal Padi.

Aye Islam Ki Betiyon! Aaj Ke Is Daur Mein Tumhari Sharm o Haya or Izzat Islam Key Dushmano Ki Aankhon Ka Kaata Bani Hue Hai Tabhi To Wo Tumhein Fitna or Fasaad Ke Daldal Mein Pahunchaney Ki Koshish Kar Rahey Hain. Or Isi Liye Wo Kabhi Islami Hijaab Ke Mutaliiq Shoor o Hangaama Kartey Hain To Kabhi Tumhari Himayat (Favour) Mein Magarmach Key Aansoo (Jhootey Aansoo) Bahatey Hain.

Allah Ki Qasam unka Maqsad To Tumhein Ghar Se Nikalna or Tumhari Sharm o Haya Ko Khatm Karna Hai. Tum Kiun Nahi Hosh Mein Aa Rahi Ho?

Akhir Kab Tak Tum Yun Hi Sooti Rahogi?

Kya Tumhein Ehsaas Nahi Hota?

Kya Tumhari Nazar Mein Quran o Hadees Ki Koi Ahmiyat Nahi

Allah Ke Waastey Ab Tum Bedaar Ho Jao. Or Islami Ta'aleemat Ko Follow Karo. Sahabiyyat Ki Seerat Padho or Unkey Naqsh e Qadam Par Chalo.

Allah Hamein Tamaam Qism Key Fitno Se Mahfooz Rakhey. Aameen
 
Top