Whatsapp Aur Quraani Aayaat Aur Ahaadees


Whatsapp Aur Quraani Aayaat Aur Ahaadees

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah.
Islamic Dawah Center Taif KSA
Romanised : Khadija Muhammadi
Logo Me Ek Image Ke Zariya Yah Khabar Aam Hai Jis Me Yah Kaha Gaya Hai Ke Whatsapp Islaam Se Khaarij Kar Raha Hai.
Saath Hi Yah Kaha Gaya Hai Ke Saudi Arab Se Yah Fatwah Shaae Kiya Gaya Hai.
Yah Baate Be Buniyaad Hai,Un Par Dhyaan Na Diya Jaae. Albatta Whatsapp Ke Mutalliq 2 Baate Jo Kaari Charcha Me Hai Aur Phailaae Jane Wale Hindi Image Me Bhi Khatarnaak Batlaya Gaya Hai. Iska Me Niche Hal Paish Karta Hu.
(1) Pehla Masala Whatsapp Ke Zariya Aayat Ya Hadees Send Karne Ka Hai.
Is Ka Jawaab Yah Hai Ke👇
Aap Aayat Ya Hadees Ka Tarjumah To Likh Kar Forward Kar Sakte Hai Lekin Kisi Aayat Ya Hadees Ka Matan Roman Urdu Me Likh Kar Forward Na Kare. Qur'aan Majeed To Is Liye Ke Usko Bagair Rasam Usmaani Ke Likhna Mamnu Hai Aur Is Par Ummat Ka Ittefaaq Hai Jab Ke Hadees Ko Arbi Rasam Ke Bagair Likhne Me Usme Tehreef Ke Imkaanat Nikalte Hai.
(2) Dusra Masala Whatsapp Se Ya Mobile Memory Se Aayat Aur Ahaadees Delete Karne Ka Hai Uska Jawab Yah Hai Ke👇
Aysa Karne Me Koi Harj Nahi Hai,Kuy Ke Yah Ek Majburi Hai Warna Memory Full Ho Jane Par Koi New Msg Nahi Aae Ga. Yah Ayse Hi Hai Jaise Aap Mobile Band Kar De,Ya Aap Ghar Ke Computer Se Koi Tilawat Wagairah Delete Kar De Ya Computer Band Kar De. Lekin Yaad Rahe Ke Delete Karne Me Nafrat Ya Bugaz Shamil Nahi Hona Chaahiye,Balke Ahtiraam Ke Paishe Nazar Yah Kaam Anjaam Dena Chahiye.
 

Similar threads


Top