Whatsapp Group Ke Kuch Aadaab


Staff Member

Member
Staff member
Whatsapp Group Ke Kuch Aadaab

Romanised By: Umar Asari

Group Ke Kisi Bhi Member Ki Taraf Se Salam Ka Jawaab Deney Sey Saarey Logon Ki Taraf Se Kifayat Karega.

Group Admin Kisi Ko Group Mein Add Kartey Waqt Us Se Ijazat Lena Na Bhooley.

Group Mein Saleh Aur Suljhey Hue Logon Ko Shaamil Kiya Jaye. Kisi Active ilmi Shakhsiyyat Ka Group Mein Hona Bohot Zaroori Hai.

Group Mein Shaamil Ho Rahey New Members Ka Group Admin Isteqbaal Karey. Aur Mukhtasar Alfaaz Mein Unka Introduction Karaye Taakay Shamil Honey Waley Member Ka Adab o Ehteram Ho Sakey, Aur Agar Wo ilmi Shakhsiyyat Hon To Un Se Istifada Mumkin Ho Sakay.

Mustand (Authentic) Deeni Posts Hi Share Kiye Jayen. Posts Ko Bina Tehaqeeq Share Na Kiya Jaaye Kiunki Bina Tehqeeq Posts Share Karney wala Jhooton Mein Shumaar Hota Hai. (Jaisa Ki Sahih Muslim Ki Riwayat Mein Hai.Dekhen Sahih Muslim:7) Mazeed Yeh Ki Issey Bina Tehqeeq Share Karney Wala Dosron Ke Gunah Ka Zimmedaar Bhi Ho Sakta Hai.

Ilmi Tehreer Likhnay Walay Ki Duaon Ke Zariye Himmat Afzai Bhi Ki Jani Chahiye.

Baat Kartey Hue Code Word (Shortcut) Istemaal Na Kiye Jayen Jo Sirf Makhsoos Log Hi Samajh Rahay Hon.

Adab o Ehetram Ke Dairey Mein Hotay Hue Ilmi Batein Ki Jayen. Fuzool Baton Ke Liye Group Ko Bilkul Istemaal Na Karen.

Group Mein Chootey Badey Sab Rehtay Hain Lehaza Aisey Alfaaz Ka Intikhab Karen Jis Se Group Mein Maujood Logon Ki Touqeer (Izzat o Ikram) Ho.

Waqt Bohat Qeemti Hai. Isliye Group Istemaal Kartey Waqt Aisi Baton Se Bachen Jissey Aapka Ya Kisi Or Ka Waqt Barbaad Ho.

Group Mein Chatting Sirf Zaroorat aur Khair Mein Karen Warna Khamoshi Behtar Hai. Yahi Momin Ki Sifat Hai.

Group Mein Maujood Logon Ke Sab Ka Samnay Aib Na Nikaley or Na Hi Kisi Ko Beizzat (Kisi Ki Insult) Karey. Isi Tarah Neecha Dikhane Ki Niyat Se Koi Bhi Lafz Na Likha Jaye.

Group Ka Member Jab Baat Kar Raha Ho To Jab Tak Us Ki Poori Baat Achchi Tarah Sey Na Sun Li Jaye Tab Tak Usay Mauqa Diya Jaye.

Behas o Mubahasa Ka Maqsad Sirf Deeni, Islaahi Aur ilmi Hona Chahiye, Na Ke Sirf Apna Difaa.

Kisi Ka Mazaq Udaney Se Mukammal Taur Se Bacha Jaye.
 

Similar threads


Top