Wuzu ke baad ki duayen


Umar Asari

Administrator
Staff member
Wuzu ke baad ki duayen

Wuzu karne ke baad ki duayen:

أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ​
Tarjumah: Main gawaahi deta hun ke Allah ke alawah koi sachcha ma'bood nahi woh akela hai us ka koi shareek nahi, aur main gawaahi deta hun ke yaqeenan Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam us ke bande aur Rasool hain.
(Sahih Muslim: 234)

اللَّهُمَّ اجْعَلْنِي مِنَ التَّوَّابِينَ، وَاجْعَلْنِي مِنَ المُتَطَهِّرِينَ​
Tarjumah: Aye Allah! Mujhe bahut ziyadah tauba karne walon mein se bana de aur mujhe bohat ziyadah paak rehne walon mein se bana de.
(Tirmizi: 55)

سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ، أَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ، أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتُوبُ إِلَيْكَ​
Tarjumah: Aye Allah! Tu apni tareef ke saath paak hai, aur main gawaahi deta hun ke tere alawah koi sachcha ma'bood nahi, main tujh se bakhshish talab karta hun aur teri taraf tauba karta hun.
(Sunan Kubra Lin-Nasai: 9829)
 

Similar threads


Top