Ibnatu Ali

Member
Dawa Bina Daleel Ke Batil Hai

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Is waqt aksar log social media se jude huwe hain. Har mazhab, har qaum aur har samaaj ke log yahan maujood hain. Jo jis qaum o mazhab aur samaaj se jude huwe hain us qism ki batein share kar rahe hain. Aur yeh baat bhi qabil e tawajjo hai ke koi cheez net par share ho jaati hai to phir gardish mein aa jaati hai, ek ne doosre ko, doosre ne teesre ko is tarah se samaaji circle mein circulate hoti rehti hai. Shia apni taleem ko phaila rahe hain, Qadyani apni dawat paish kar rahe hain, Yahood o Nasaara apne mission mein mashgool hain. Facebook, whatsapp, google plus, twitter, telegram, youtube aur deegar social zaraye ablaagh (mass media) se hum tak Shiaon ki, Qadyaniyon ki, Yahood o Nasaara aur tamam qism ke qaumon aur millaton ki cheezein muntaqil ho kar aa rahi hain. Muntaqil mawaad (contents) mein references na ke barabar hota hai. Shia ki kuch posts mein likha hota hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jabki ba-zahir post se yeh maloom nahi hota ke Shia ki taleem hai, isi tarah Qadyani ka maamla hai. Yeh kaafi tashweesh-naak maamla hai. Is se ziyadah tashweesh-naak yeh hai ke Islam ke dushman hamari hi language mein jhooti batein likh kar aur baqaida authentic books ke references de kar, for example: Bukhari aur Muslim etc, logon mein phailate hain jabki haqeeqat yeh hai ki un books mein woh baatein nahi hoti hain. Aise halaat mein ek musalman ki kya zimmedariyan (responsibilities) hain? Social Media ke zariye hum tak khabrein pahunchen to hum kya karen? Yeh ek ahem sawal hai.
Sab se pehle hum yeh jaan len ki sirf Islam hi aisa mazhab hai jo apne maan-ne walon ko Quran aur Hadees ke alawah kisi aur baat ko maan-ne se rokta hai yani jo baat Allah aur us ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki na ho usay Islam ka naam de kar phailana Islam ke khilaaf hai. Ek musalman hone ki haisiyat se hum wohi baat manenge jo Allah ki Kitab aur Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sunnat mein hai. Isi baat ka hamein hukm bhi hai aur isi mein hamari nijaat bhi hai. Allah ka farmaan hai:
فَبِأَيِّ حَدِيثٍ بَعْدَ اللَّهِ وَآيَاتِهِ يُؤْمِنُونَ​
Tarjumah: Pas Allah Taala aur us ki aayaton ke baad kis Hadees (Quran) par imaan layenge.
(Surah Al-Jathiyah, Surah No: 45 Ayat No: 6)

Yani Quran aur Hadees ke alawah hamein kisi par Imaan laane ki zaroorat hi nahi. Mazeed ek doosri jagah Allah Taala apni aur apne paighambar ki hi pairwi karne ka hukm dete huwe farmaata hai:
قُلْ أَطِيعُوا اللَّهَ وَالرَّسُولَ ۖ فَإِنْ تَوَلَّوْا فَإِنَّ اللَّهَ لَا يُحِبُّ الْكَافِرِينَ​
Tarjumah: Aap farma den ke Allah aur Rasool ki ita’at karo phir agar woh rogardani karen to Allah kafiron ko pasand nahi karta.
(Surah Aal e Imran, Surah No: 3 Ayat No: 32)

Is Aayat se saabit hota hai ke jis tarah Allah ki ita’at Quran ki soorat mein zaroori hai, usi tarah Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki ita’at hadees (qaul, fe’l, taqreer aur sifat) ki soorat mein zaroori hai balki yeh dono ita’atein asal mein ek hi hain.
Jaisa ki Allah ka farmaan hai:
مَنْ يُطِعِ الرَّسُولَ فَقَدْ أَطَاعَ اللَّهَ​
Tarjumah: Jo shakhs Rasool ki ita’at karta hai, woh goya Allah Taala ki ita’at karta hai.
(Surah An-Nisa, Surah No: 4 Ayat No: 80)

Doosri baat yeh hai ke Islam ka ek usool hai koi baat hum baghair Daleel ke nahi maanenge kiunki hamara deen daleel aur suboot par qayem hai.
Hazrat Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma bayan karte hain ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
لَوْ يُعْطَى النَّاسُ بِدَعْوَاهُمْ لاَدَّعَى نَاسٌ دِمَاءَ رِجَالٍ وَأَمْوَالَهُمْ وَلَكِنَّ الْيَمِينَ عَلَى الْمُدَّعَى عَلَيْهِ​
Tarjumah: Agar sirf daawa ki wajah se logon ka mutalba maan liya jaane lage to bahut saare logon ka khoon aur maal barbaad ho jayega lekin dawa karne waale par qasam hai.
(Sahih Muslim: 1711)

Yeh Hadees hamein batlaati hai ke daawa karne wale par daleel dena laazim hai baghair daleel ke koi daawa na maana jaye aur jo kisi maamla mein inkaar kare to usay qasam khaani hai. Dawa karne waale ke zimme daleel o burhan dena hai is ki ek wazeh Hadees yeh hai:
الْبَيِّنَةُ عَلَى الْمُدَّعِي وَالْيَمِينُ عَلَى الْمُدَّعَى عَلَيْهِ​
Tarjumah: Daleel dena us ke upar hai jo daawa kare aur qasam khana us ke upar hai jo inkaar kare.
(Tirmizi: 1341)
Allama Albani Rahimahullah ne Irwa ul Ghaleel mein Sahih kaha hai.


Is wajah se agar hum se koi zabani daawa kare ya koi khabar social media par mile jo Islam ki taraf mansoob ki gayi hai to bhejne waale se daleel o burhan mangenge agar bhejne wala na bata sake to hum apne ulama se poochenge ke kya is baat ki Islam mein koi daleel hai, agar daleel mil jaye to theek warna us baat ko na maan-na hai aur na kahin phailana hai.
Yeh usool apne zehan mein rakhen aur sirf Yahood o Nasaara aur Shia ke liye nahi balki koi musalman bhi aap se zikr kare aur kahe ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne is tarah farmaya hai to us se daleel mangen ke yeh hadees kahan hai. Agar hadees mil jaye to phir dekhen ke kahin zaeef ya ghadhi hue to nahi. Agar aisa hai to us hadees par bhi amal nahi kiya jayega, jo Hadees sahih ho bus usi par amal karna hai.

In baton ke kuch namoone paish karta hun:
Qadyani ki misaal:
Mirza Ghulam Ahmed Qadyani kehta hai: Teen shehron ka naam aizaaz ke saath Quran shareef mein darj kiya gaya hai Makkah, Madinah aur Qadyan. (Tazkira Page No: 60, by Mirza Qadyani)
Yeh bilkul safaid jhoot hai, Quran mein Qadyan ka kahin zikr nahi hai, phir bhi koi Qadyani aap se behas kare to kahen Quran se is ki daleel paish karo aur yeh tai hai ke usay daleel kahin bhi nahi milegi.

Shia ki misaal: Hindi aur urdu language mein aap ne ek post dekhi hogi jis ka title hai “Ghar mein ghurbat aane ke asbaab” is ke tehat us mein 40 baton ka zikr hai yani 40 baton se ghar mein ghareebi aati hai. Share karne wala is message mein likhta hai sab pehle send karo kiunki jab tak koi yeh message padhta rahega Jannat mein aap ke naam ka darakht (tree) lagta rahega.
Jab main ne un baton ki tahqeeq ki to pata chala yeh saari batein Shia ki kitabon mein hain aur hum saada musalman usay Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hadees samajh kar is niyat se share kar rahe hain ke jannat mein hamaray naam ka darakht lagta rahega.
(40 baaton se ghareebi waali post ki haqeeqat jaanen:
Kya 40 Baton Se Ghar Mein Ghareebi Aati Hai)

Barelwi ki misaal: Ilyas Qadri Barelwi ka kehna hai ke raat ko jhadu dene se tang-dasti aati hai. Is baat ko hum Quran o Hadees ki kasoti par parkhte hain to maloom hota hai yeh bilkul jhoot hai, is baat ka tang-dasti ya Islam se koi talluq nahi.

Deobandi Tableeghi ki misaal: Maulana Tariq Jameel ke bahut saare qisse kahaniyan logon mein gardish kar rahe hain for example: Allah Taala ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka janazah padha, Mohammad Ali Jinnah se qabr mein Tariq Jameel ki mulaqaat waghera. Koi bhi baat ho shariyat se us ki daleel hai to welcome, nahi to Moulana Tariq Jameel hon ya koi aur unki baat radd kar di jayegi.

Soofiyon ki jamat bahut gumraahi phaila rahi hai, buzurgon aur Imamon ke naam par jhooti batein ummat mein phaila rahe hain is liye hamein har hal mein Islam ki taraf mansoob baton ki daleel dhoondni hai aur us ki tehqeeq karni hai. Allah Taala ka farmaan hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا ضَرَبْتُمْ فِي سَبِيلِ اللَّهِ فَتَبَيَّنُوا وَلَا تَقُولُوا لِمَنْ أَلْقَىٰ إِلَيْكُمُ السَّلَامَ لَسْتَ مُؤْمِنًا​
Tarjumah: Aye Imaan walo! jab Allah ki raah mein niklo to khoob tehqeeq kar liya karo, aur jo shakhs tum par salam kahe to usay (kafir samajh kar) yeh na kaho ke tu momin nahi.
(Surah An-Nisa Surah No: 4 Ayat No: 94)

Jo baat baghair daleel ke ho usey na maan-na hai aur na kahin share karna hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
كَفَى بِالْمَرْءِ كَذِبًا أَنْ يُحَدِّثَ بِكُلِّ مَا سَمِعَ ‏​
Tarjumah: Aadmi ke jhoota hone ke liye ye baat kaafi hai ke wo har suni sunayi baat ko aage bayan kar de.
(Sahih Muslim: 5)
 
Top