WUZU KI FAZEELAT USKA TAREEQA AUR MASIAL


Shona shaikh

Active member
Bismillahhirrahmanirrahim

WUZU KI AHMIYAT AUR FAZEELAT

Wuzu ki ahmiyat

"Ai imaan waalo! jab tum namaaz ke liye utho to apne mu ko aur apne haatho ko kohniyo samet dhulo, apne saro ka masah karo, aur apne paao ko takhno samet dhulo.... "
(Surah Maydah : 6)

Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya
"Wazu salah(namaz) ki kunji hai, Salah ki shuruat takbeer se hai aur uska akheer salam hai"
(Sahih ibn Majah, 222)

Wazoo ki Fazeelat

Wazoo zahiri taharat wa safai ke alawa androon aur baatin ki safaai aur paakizgi ka zariya bhi hai.

Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :
"jis waqt momin wazoo shuru karta hai phir kulli karta hai to uske muh ke gunah nikal jate hai phir jis waqt naak jhadta hai to uske naak ke gunah nikal jate hai( isi tarah jo jo aage badhte jata hai uske hath, pair aur sar ke gunah nikal jate hain) phir jab wo namaz ada karta hai aur zikr o tasbeeh se farigh hokar nikalta hai to gunaho se us tarah(paak hokar) laut ta hai jaise wo us din (paak) tha jab uski maa ne usko paida kiya tha.
(Sahih Muslim, 244)

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :
"Kya main tumhe wo cheez na batau ke jiske sabab Allah Ta’ala gunaho ko door aur darjaat ko buland karta hai?
Sahaaba ne arz kiya: Ai Allah ke Rasool sallallaho alaihi wasallam irshad farmaiye.
Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :
" Mushaqqato ke bawajood kamil wazu karna, masjido ki taraf ziyaadah(qadmo se) jana aur salah(namaz) ka intezar karna gunaho ko bilkul dho deta hai. "
(Sahih Muslim, 251)

Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se sawal kiya gaya ke aap(mahshar me) dusri umamto ke darmiyan apni ummat ko kaise pahchanege❓to Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :
" Meri ummat ke log wazoo ke asar se Roshan(safed) chehre aur safed hath paao wale honge iss tarah unke siwa aur koi nahi hoga. "
(Sahih Muslim, 247,248)

Abu Hurairah Radiallahu anhu se riwayat hai ke main ne apne dost Muhammad sallallaho alaihi wasallam ko ye farmate hue suna: (Jannat mein) Momin
ka zewar waha tak phahuchega jahaan tak wazu ka pani phahuchega.
(Muslim, 250)


WUZU KA TAREEQA

Wuzoo karne wala wuzoo ki dil me niyat kare, na ke zaban se, isliye ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se wuzoo, namaz ya kisi aur ibadat ke liye zaban se niyat karne ka suboot nahi milta, aur isliye ke Allah Ta'ala dil ki baato ko janta hai, lehaza usey mazeed khabar dene ki zarurat nahi, niyat karna farz hai.

1.Sabse pahle wuzoo ke liye dil me niyat kare
Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :
"Tamam aamaal ka daromadar niyat par hai. "
(Sahih Bukhari, 01) (Sahih Muslim, 1907)

2.Fir Bismillah padhe kyunki Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ka irshaad hai :
" jo shaks wuzoo ke waqt Allah ka naam nahi leta uska wuzoo nahi hota. "
(Abu Dawood, 101) (Ibn Majah, 399) (Ahmad 30/41) (Hakim, 1/147)

3.Fir apni hatheliyo ko teen baar dhoye.
(Bukhari, 1910) (Muslim, 235)

4.Phir teen dafa kulli kare aur naak me pani dale.
(Sahih Bukhari(191) Sahih Muslim (235)

Note✒ :Wazeh rahe ke kulli karne aur naak pe pani dalne ka jo Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se tareeqa sabit hai wo ek hi chullu se kulli bhi ki jaye aur naak me pani bhi dala jaye.
Halaki Usman Radiallahu anhu se aur Ali Radiallahu anhu se kulli aur naak ke liye alag alag pani lena bhi sabit hai.
Lehaza Behtar ye hai ki ek hi pani se kulli bhi ki jaaye aur naak me pani bhi dala jaye lekin agar koi alag kulli aur alag naak me pani dalta hai to bhi jayez hai.
(Tareekh Al kabeer, ibn khuzaima, 1910)

5.Phir teen martabah chehre ko dhoye, chaudaai me kaan se lekar (dusre) kaan tak aur lambaai me baalo ke ugne ki jagah se dadhi ke nichle hisse tak.
(Sahih Muslim, 235)

6.Iske baad dono hatho ko ungliyo ke sire se lekar kohiniyo tak teen teen baar dhoye, Pahle sidhe haath ko phir ulte haath ko.
(Sahih Bukhari, 185) (Sahih Muslim, 235)

7.Phir apne sar ka masah ek baar kare, haatho ko tar karke sar ke agle hisse se masah shuroo kare aur sar ke pichle hisse (guddi) tak le jaye fir isi tarah pichhe se aage ki taraf le aaye.
(Sahih Bukhari, 185) (Sahih Muslim, 235)

8.Phir kaano ka masah bhi ek martabah kare, shahadat ki ungli se kaan ke andurooni hisse ka masah kare aur anguthe se kaan ke baheri hisse ka.
(Ibn Majah, 439) (Tirmizi, 361)

Note✒ :Kaano ke maseh ke liye alag se pani lena hadees se sabit nahi hai

9.Aur phir akhir me dono pairo ko teen teen baar dhoye, ungliyo ke sire se takhno tak. Pahle sidhe pair ko phir ulte pair ko.
(Sahih Bukhari, 1934) (Sahih Muslim, 236)

Wuzoo ke baad ke azkaar

Umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya :
Tumme se koi shaks wuzoo kare aur kamil wuzoo kare phir kahe

أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ ‏"‏ ‏​

"Mai gawahi deta hu ke Allah ke siwa koi mabud barhaq nahi, wo akele hai uska koi shareek nahi aur mai gawahi deta hu Mohammad sallallaho alaihi wasallam uske bande aur uske Rasool hai.
(Sahih Muslim, 234)

Abu Sayeed Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya :
Jo shaks wuzoo ke baad kahe

سُبْحـانَكَ اللّهُـمَّ وَبِحَمدِك أَشْهَـدُ أَنْ لا إِلهَ إِلاّ أَنْتَ أَسْتَغْفِرُكَ وَأَتوبُ​

"Ai Allah tu paak hai aur teri hi tareef hai, mai gawahi deta hu ke tere siwa koi mabud nahi, mai tujhse maghfirat chahta hu aur teri taraf ruju karta hu."
To ye kalimaat kagaz pe likh kar uspe muhar laga diya jata hai to qiyamat tak nahi toda jata.
(Nasai, 9909) (Sahiuttargheeb, 218)

Yaad rakhne wali baat

Gardan ka Masah karna Bidd'at hai

Gardan ka masah karna kisi bhi sahi hadees se sabit nahi hai.
(Majmu'ulfatawa 21/127)

Imam Nawvi Rahimahullah ne ise Bidd'at kaha hai.
(Al majmu 1/489)
 
Last edited:

Similar threads


Top