KHAAS JUMUAH KE DIN NABI ﷺ PAR DUROOD BHEJNA


KHAAS JUMUAH KE DIN NABI ﷺ PAR
DUROOD BHEJNA

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Aus Bin Aus (Raziyallaahu Anhu) Bayaan Karte Hain Ke,

Rasool Allaah (ﷺ) Ne Farmaaya :

إِنَّ مِنْ أَفْضَلِ أَيَّامِكُمْ يَوْمَ الْجُمُعَةِ

“Tumhaare Afzal Ayyaam (Dinon) Mein Se Jumuah Ka Din Hai.

‏‏‏‏‏‏فِيهِ خُلِقَ آدَمُ، ‏‏‏‏‏‏وَفِيهِ قُبِضَ، ‏‏‏‏‏‏وَفِيهِ النَّفْخَةُ، ‏‏‏‏‏‏وَفِيهِ الصَّعْقَةُ

Is Mein Aadam (Alaihissalaam) Paida Kiye Gaye, Usi Mein Unki Rooh Qabz Ki Gayi, Usi Mein Nafkhah (Doosri Baar Soor Phoonkna) Hai Aur Usi Mein Sa’qah Hai (Pehli Baar Soor Phoonkna, Jis Se Tamaam Bani Aadam Halaak Ho Jaaengey.)

فَأَكْثِرُوا عَلَيَّ مِنَ الصَّلَاةِ فِيهِ فَإِنَّ صَلَاتَكُمْ مَعْرُوضَةٌ عَلَيَّ

So Us Din Mein Mujh Par Zyaada Durood Padha Karo Kyun Ke Tumhaara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai.”

قَالُوا:‏‏‏‏ يَا رَسُولَ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏وَكَيْفَ تُعْرَضُ صَلَاتُنَا عَلَيْكَ وَقَدْ أَرِمْتَ ؟ يَقُولُونَ:‏‏‏‏ بَلِيت

Sahaaba Ne Poocha: Aye Allaah Ke Rasool ! Hamaara Durood Aap Par Kyoon Kar Pesh Kiya Jaayega Haalaan Ke Aap Boseeda Ho Chukey Hongey. (Ya’ni Aap Ka Jism.)

فَقَالَ:‏‏‏‏ إِنَّ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ حَرَّمَ عَلَى الْأَرْضِ أَجْسَادَ الْأَنْبِيَاءِ

Tou Nabi (ﷺ) Ne Farmaaya: “Allaah Azza Vajal Ne Zameen Par Ambiya Ke Jism Haraam Kar Diye Hain.”

FAAEDAH:
Yeh Barzakhi (Qabar Ke Andar Ka) Mas-Ala Hai Is Par Koi Guftagu Karne Ki Zaroorat Nahi, Nabi (ﷺ) Ne Farmaa Diya Bas Humein Wahi Kaafi Hai Aur Usi Par Eemaan Laana Hai.

[Sunan Abu Daawood, Hadees (Saheeh) : 1047]

《Abu Al-Hasan Al-Hindi Hafizahullah》
 
Top