Yazeed Ko Ameer ul Momineen kahne par 20 kodo (Hunter's) ki Saza


Abdul Adil

Member
Yazeed Ko Ameer ul Momineen kahne par 20 kodo (Hunter's) ki Saza.

Roman Script :-
Abdul Adil Ansari

Asal Mazmoon :- "Yazeed Bin Muawiyah Par Iljemaat Ka Tahqeeqi Jayeza Safa Number - 688 to 698"

Imam Zahbi Rahimaullah ne kaha

قال محمد بن أبي الشري: ثنا يحيى بن عبد الملك بن أبي غنية، عن نوفل بن أبي الفرات قال: كنت عند عمر بن عبد العزيز، فذكر رجل يزيد فقال: قال أمير المؤمنين يزيد بن معاوية، فقال: تقول أمير المؤمنين! وأمر به فضرب عشرين سوط

Nofal bin Furat ka kahna hai ki Umar Bin Abdul Azeez Rahimaullah ke pass tha to us dauran mein ek shaksh ne Yazeed Rahimahullah ka tazkirah kiya aur kaha Ameer ul Momineen Yazeed Bin Muawiyah ne farmaya . Ye Sunkar Umar Bin Abdul Azeez Rahimaullah ne kaha tum Ameer ul Momineen kahte ho , fir unke huqm par us shaksh ko 20 kode (Hunters) lagaye.

[Tareekh ul Islam Lil Zahbi Safa 365 ,Tareekh ul Khulafa Safa - 157 , Lisaan ul Mizaan 6/294]

Is riwayat ko bahut sare log Yazeed Bin Muawiyah Rahimaullah ki mazammat mein bayan karte hai halakin ye riwayat sabit hi nahi hai aur Umar Bin Abdul Azeez Rahimaullah aisi Mazhaka-Khej harkat se bari hai , darz bala riwayat mein teen Illaton ki bina par zaeef hai.

Pahli Illat :- Is riwayat ki mukammal sanad na-maloom hai, Imam Zahbi Rahimaullah ne is riwayat ko Muhammad Bin Abi As-sariy se nakal kiya hai. Muhammad Bin Abi As-sariy ki wafat 238 Hijj hai (As-Shiqa'at Ibne Hibban 9/88) Jabki Imam Zahbi ki Paidaish 673 Hijj hai.

(ذیل التقييد في رواة السنن والأسانید ٥٤/١)

Yani doni ke darmiyan 435 saal ka faashla hai.

Tambeeh :- Yahan par ye bat nahi kahi ja sakti ki Imam Zahbi Rahimaullah ne mazkoorah riwayat ko Muhammad Bin Abi As-sariy ki kitab se nakal kiya hai kyunki Muhammad Bin Abi As-sariy ke bare mein ye milta hi nahi ki unhone koyi kitab likhi thi . Nez Imam Zahbi ne Muhammad Bin Abi As-sariy ke tarzume mein bhi unki kitab ka tazkirah nahi kiya aur na kisi aur maqam par unki kitab ka jikr milta hai.

Doosri bat isi Riwayat ko Hafiz Ibne Hajar ne bayan kiya to Muhammad Bin Abi As-sariy ka name bhi saaqit kar diya aur kaha

وقال يحيى بن عبد الملك بن أبي غنية أحد الثقات: ثنا نوفل بن أبي عقرب ثقة قال: كنت عند عمر بن عبد العزيز فذكر رجل يزيد بن معاوية فقال: أمير المؤمنين يزيد. فقال عمر: تقول أمير المؤمنين يزيد! وأمر به فضرب عشرين سوطا

[Tahzeeb Ut Tahzeeb Libne Hajar 37/190 , Lisaan Ul Mizaan 6/294]

Fir isi riwayat ko Imam Siyuti ne bayan kiya to poori sanad hi gayeb kar di Chunacha Imam Siyuti ne kaha

"قال نوفل بن أبي الفرات: كنت عند عمر بن عبد العزيز، فذكر رجل يزيد، فقال: قال أمير المؤمنين يزيد بن معاوية. فقال: تقول أمير المؤمنين! وأمر به، فضرب عشرين سوطا"

[Tareekh Ul Khulafa Safa- 157]


Isi tarah Suleman bin Khooza Al-Qandoji ne bhi kaha

"وقال نوفل بن أبي الفرات: كنت عند عمر بن عبد العزيز فقال رجل: أمير المؤمنين يزيد بن معاوية. فقال عمر: تقول أمير المؤمنين! وأمر به فضربه عشرين سوطا"

[ينابيع المودة لذوي القربي ٣٢/٣]

In tamam Aqwaal se jahir hai ki mazkoorah ahle ilm mein se kisi ek ne bhi is riwayat ki mukammal sanad bayan nahi ki lihaza is riwayat ke gair sabit suda'a hone ki ye pahli Illat hai.

Doosri Illat :- Imam Zahbi ne mazkoorah riwayat ko jis raawi ke hawale se nakal kiya hai Muhammad Bin Abi As-sariy hai . iske bare mein naqdain ke Aqwaal mukhtalif hai aur razeh yahi ki ye raawi zaeef hai.

Muaddlain Ke Aqwaal :-

1] Imam Ibne Ma'yeen Rahimahuah (Died 327 Hijj) ne kaha : Ye Siqa'a hai.

[Sawalat Ibne Junaid Libne Mayeen Safa : 388]

2] Imam Haqim Rahimaullah (Died 405 Hijj) ne kaha : Ye Siqa'a hai.

[Al-Mustadrak Lil Haqim 3/700]

3] Imam Ibne Qattam Rahimahullah (Died 628 Hijj) ne kaha : Ye Siqa'a hai , Hafiz hai.

[بیان الوهم والإيهام في كتاب الأحكام ٢١٨/٥]

4] Imam Zahbi Rahimaullah (Died 748 Hijj) ne kaha : Aap Hafiz , Alim aur Sacche hai.

[سیر أعلام النبلاء للذهبي ١٦١/١١]

yaani sirf chaar naqdain ne is raawi ko Siqa'a kaha hai. Inme Imam Mayeen Rahimaullah ki tausheeq dayanatdaari ke maaney mein ho sakti hai kyunki wo aksar dayanatdaari ke mamle mein raawi ko Siqa'a kah dete hai .

Allama Mo'allimi Rahimaullah farmate hai

"وقد اختلف كلام ابن معين في جماعة، يوثق أحدهم تارة، ويضعفه أخرى، منهم إسماعيل بن زكريا الخلقاني، وأشعث بن سوار، والجراح بن مليح الرؤاسي، وزيد بن أبي العالية، والحسن بن يحيى الخشني، والزبير بن سعيد، وزهير بن محمد التميمي، وزيد بن حبان الرقي، وسلم العلوي، وعافية القاضي، وعبد الله الحسين أبو حريز، وعبد الله بن عقيل أبو عقيل، وعبد الله بن عمر بن حفص العمري، وعبد الله بن واقد أبو قتادة الحراني، وعبد الواحد بن غياث، وعبيد الله بن عبد الرحمن بن موهب، وعتبة بن أبي حكيم، وغيرهم."

"وجاء عنه توثيق جماعة ضعفهم الأكثرون، منهم تمام بن نجيح، ودراج بن سمعان، والربيع بن حبيب الملاح، وعباد بن كثير الرملي، ومسلم بن خالد الزنجي، ومسلمة بن علقمة، وموسى بن يعقوب الزمعي، و مؤمل بن إسماعيل، ويحيى بن عبد الحميد الحماني، وهذا يشعر بأن ابن معين كان ربما يطلق كلمة «ثقة» لا يريد بها أكثر من أن الراوي لا يتعمد الكذب"

Bahut se raawi ke bare mein Imam Mayeen ne do tarah ka kalam kiya hai Chunacha kisi ko bhi Siqa'a kahte hai to usi ko doosri baar zaeef kah dete hai is tarah ke raawi hai 👇

"إسماعيل بن زكريا الخلقاني، وأشعث بن سوار، والجراح بن مليح الرؤاسي، وزيد بن أبي العالية، والحسن بن يحيى الخشني، والزبير بن سعيد، وزهير بن محمد التميمي، وزيد بن حبان الرقي، وسلم العلوي، وعافية القاضي، وعبد الله الحسين أبو حريز، وعبد الله بن عقيل أبو عقيل، وعبد الله بن عمر بن حفص العمري، وعبد الله بن واقد أبو قتادة الحراني، وعبد الواحد بن غياث، وعبيد الله بن عبد الرحمن بن موهب، وعتبة بن أبي حكيم، وغيرهم"

Isi Tarah Imam Ibne Mayeen Rahimaullah se aise raawiyon ki tausheeq manqool hai jinhe akshariyat ne zaeef karar diya hai unme se hai 👇

"تمام بن نجيح، ودراج بن سمعان، والربيع بن حبيب الملاح، وعباد بن كثير الرملي، ومسلم بن خالد الزنجي، ومسلمة بن علقمة، وموسى بن يعقوب الزمعي، و مؤمل بن إسماعيل، ويحيى بن عبد الحميد الحماني"

In baaton se pata chalta hai ki Ibne Mayeen Rahimaullah kabhi kabhi raawi ke bare me lafz "Siqa'a" bol kar sirf ye murad lete the ki ye raawi jaan-bhoojh ka jhooth nahi bolta.

Imam Zahbi Rahimaullah ki tausheeq mein sirf diyanat wa adalat ki baat hai , Nez Imam Zahbi Rahimaullah hi ne is raawi ki ta-zaeef bhi ki hai.

Zaarheen Ke Aqwaal :-

1] Imam Abu Hatim Ar-Raazi Rahimaullah (Died 277 Hijj) ne kaha

لين الحدیث

Ye Kamzor Hadees Wala Hai.

[Al-Zarah Wal Ta'adeel Libne Abi Hatim 8/105]

2] Imam Ibne Adi Rahimaullah (Died 365 Hijj) ne kaha

و ابن ابی السری العسقلانی كثیر الغلظ

Abi As-sariy ye bahut jyada galti karne wale hai.

[Al-Kamil Ibne Adi 7/288]

3] Imam Abu Aala Al-Gassani Rahimaullah (Died 498 Hijj) ne kaha

كثیر الحفظ و كثیر الغلظ

Ye Bahut Saari cheeje yaad karne wale hai aur bahut jyada galtiyan karne wale bhi hai.

[تسمية شيوخ أبی داود لأبي علی الغساني ص ٩٦]

4] Imam Ibne Qaishraani Rahimaullah (Died 507 Hijj) ne kaha

و ابن ابی السری كثیر الغلظ

Abi As-sariy Ye bahut jyada galtiyan karne wale hai.

[Jakheera Al-Huffaz Libne Qaishraani 4/1912]

5] Imam Ibne Zauzi Rahimaullah (Died 597 Hijj) ne kaha

"محمد بن المتوكل العسقلاني قال الرازي: لين ا الحديث"

Inke bare mein Imam Raazi ne kaha ki ye kamzor hadees wale hai.

[Al-Zoafa Wal Matrookeen Libne Zauzi 3/95]

6] Imam Zahbi Rahimaullah (Died 748 Hijj) ne kaha

”محمد بن أبي السرى العسقلاني، هو ابن المتوكل، له مناكير"

Muhammad Bin Abi As-sariy Al-Asqalani , ye Ibne Al-Mutwakkal hai inke pass munakir hai.

[Mizaan ul Etdeaal Lil Zahbi 3/560]

Nez kaha

"ولمحمد هذا أحاديث تستنكر"

Iski kayi hadees me naqarat hai.

[Mizaan ul Etedaal 4/24]

Nez kaha

"حافظ وثق، ولينه أبو حاتم"

Ye hafiz Hai , inki tausheeq ki gayi hai aur Abu Hatim ne inhe kamzor hadees wala kaha hai.

[Al-Kaashif Lil Zahbi 2/214]

Allama Albani Rahimaullah farmate hai

"ولذلك أشار الذهبي في "الكاشف" إلى أن التوثيق المذكور غير موثوق به، فقال: وثق"

Isi Liye Imam Zahbi ne "Kaashif" mein ishara kiya hai ki mazkoorah tauseeq gair moatabar hai Chunacha kaha "وُثِّق" yani unki tausheeq ki gayi hai.

[Silsila Ahadees e Zaeefa wal Mauzuaat 3/377]

Allama Albani Ki Is ibarat se maloom hua ki Imam Zahbi jab "وُثِّق" kahe to ye is bat ki taraf ishara hota hai ki is raawi ki jo tausheeq ki gayi hai wo gair moatabar hai.

7] Imam Ibne Rajab Rahimaullah (Died 795 Hijj) ne kaha

"ومنها: أن محمد بن المتوكل لم يخرج له في (الصحيح)، وقد تكلم فيه أبو حاتم الرازي وغيره، ولينوه، وهو كثير الوهم"

Muhammad Bin Mutawakkil ki Ahadees ko Imam Bukhari ne apni sahih mein nahi liya hai iske bare mein Abu Hatim wagairah ne kalam kiya hai aur ise hadees mein kamzor karar diya hai ye bahut jyada wahem ka shikar hone wala hai.

[Fatah ul Baari Libne Rajab 6/405]

8] Hafiz Ibne Hajar Rahimaullah (Died 852 Hijj) ne kaha

”صدوق عارف له أوهام كثيرة"

Ye Saccha aur jankar hai lekin ye bahut jyada wahem ka shikar hone wala hai.

[Taqreeb Ut Tahzeeb Libne Hajar 1/418]

9] Allama Albani Rahimaullah ka mauquf

Allama Albani Rahimaullah ne is raawi ko zaeef kaha hai balki baaz maqamaat par shakth zaeef karar dete huye ise mutham bhi karar diya hai chand hawale mulahiza ho

Allama Albani Rahimaullah farmate hai

"وابن أبي السري، هو محمد بن المتوكل، وهو ضعيف حتى اتهمه بعضهم“

Ibne Abi As-sariy Ye Muhammad Bin Mutwakkal hai aur ye zaeef hai hatta ki baaz ne ise mutham karar diya hai.

[Silsila Ahadees e Zaeefa Wal Mauzuaat 3/162]

Ek aur Maqaam par farmate hai

"وهذا سند ضعيف من أجل ابن أبي السري، واسمه محمد بن المتوكل العسقلاني، فإنه ضعيف، وقد اتهم“

Ye Sanad Abi As-sariy ki wajah se zaeef hai Iska name Muhammad Bin Mutwakkal Asqalani hai ye zaeef hai balki baaz ne ise mutham karar diya hai.

[Irwa E Galeel 4/244]


Teesri Illat :- Nofal Bin Abi Furaat Majhool Raawi Hai. Kisi Bhi Naqid Imam se iski mustamad tauseeq nahi milti.

Tambeeh - 1 :- Imam Ibne Hibban Rahimaullah me inhe Siqa'a kaha hai , arz hai ki zamhoor muhaddisseen ke nazdeek Ibne Hibban agar tauseeq mein munfarid ho to unki tauseeq gair moatabar hai.

Tambeeh - 2 :- Ye Umar Bin Abdul Azeez Rahimaullah ke aamil the Chunacha Imam Ibne Ashakir Rahimaullah (Died 571 Hijj) ne kaha

"أخبرنا أبو القاسم بن السمرقندي أنا أبو الحسين بن النقور أنا عيسى بن علي أخبرنا عبد الله بن محمد نا داود بن عمرو نا يحيى بن عبد الملك بن حميد بن أبي غنية نا نوفل بن الفرات عامل عمر بن عبد العزيز قال: وكان رجلا من كتاب الشام مأمونا"

Yani Nofal Bin Al-Furat ye Umar Bin Abdul Azeez ke aamil the aur ye "Mamoon" shaksh the.

[Tareekh E Dimashq Libne Ashakir 62/292 Wa Isnaadu Saheeh]

Arz hai ki Umar Bin Abdul Azeez Rahimaullah ka aamil hona unki Siqa'ahat ki daleel nahi hai.

Gaur kare ki Nofal Bin Al-Furaat Umar Bin Abdul Azeez Rahimaullah ke aamil the , Maalik Al-Daar Khaleefa Doyem Umar Farookh Razi Allahu Anhu ke khaazan the. Inhe Bhi Imam Ibne Hibban ne Siqa'a kaha hai aur inse waseele ke bare me ek munakir riwayat marwi hai lekin ahle ilm ne is riwayat ko zaeef kaha hai aur maalik Al-Daar ko Majhool karar diya hai.

Allama Albani Rahimaullah farmate hai
Iske kisse ki sehat na-qaabil e tasleem hai kyunki Maalik Al-Daar ki adalat aur uska zabt maloom nahi hai

"عدم التسليم بصحة هذه القصة، لأن مالك الدار غير معروف العدالة والضبط"

[Al-Tosal Lil Albani Safa - 120]

Allama Albani se pahle bhi ahle ilm ne ise Majhool karar diya hai .

Chunacha

Imam Munziri Rahimahullah (Died 656 Hijj) ne kaha

"مالك الدار لا أعرفه"

Maalik Al-Daar ko main nahi janta.

[At-Targeeb Wat Tarheeb Lil Munziri 2/29]

Imam Haishmi Rahimaullah (Died 807 Hijj) ne kaha

"ومالك الدار لم أعرفه“

Maalik Al-Daar ko main nahi pahchan saka.

[Mazmua'a Al-Zawaid Lil Haishmi 3/166]


Tambeeh - 3 :- Tareekh Ibne Ashakir ki mazkoorah riwayat mein ye bhi hai ki Nofal Bin Abi Furaat "Mamoon" the . Arz hai ki "Mamoon" se jyada se jyada diyanat-daari ka pata chal sakta hai isse Siqa'a hona laazim nahi hai.

Imam Muslim Rahimaullah (Died 261 Hijj) ne kaha

"حدثنا نصر بن علي الجهضمي حدثنا الأصمعي عن ابن أبي الزناد عن أبيه قال: أدركت بالمدينة مائة، كلهم مأمون، ما يؤخذ عنهم الحديث، يقال: ليس من أهله"

Yani Imam Abul Juna Rahimaullah ne farmaya ki maine madeene mein saikdo logon ko paya jo "Mamoon" the unse hadees ki riwayat nahi ki jati thi kyunki ba-qaul ahle ilm wo iske qaabil na the.

[Sahih Muslim Muqaddama 1/12 Wa Isnaadu Sahih]

Tambeeh - 4 :- Hafiz Ibne Hajar Rahimaullah ne mazkoorah riwayat ki sanad mein "Nofal Bin Abi Furaat" ki jagah "Nofal Bin Abi Aqrab" ka name likha hai aur ise Siqa'a kaha hai , Hafiz Ibne Hajar Rahimaullah likhte hai

"قال يحيى بن عبد الملك بن أبي غنية أحد الثقات ثنا نوفل بن أبي عقرب ثقة قال: كنت عند عمر بن عبد العزيز فذكر رجل يزيد بن معاوية فقال: أمير المؤمنين يزيد. فقال عمر: تقول: أمير المؤمنين يزيد! وأمر به فضرب عشرين سوطا"

[Takreeb Ut Tahzeeb Libne Hajar 37/190]

Yaad rahe ye kitabat ki galti nahi hai kyunki Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne apni doosri kitab "Lisaan ul Mizaan" mein bhi ye sanad isi tarah darz ki hai mulahiza ho

"قال يحيى بن عبد الملك بن أبي عتبة: حدثنا نوفل بن أبي عقرب كنت عند عمر بن عبد العزيز فذكر رجل يزيد بن معاوية فقال: أمير المؤمنين يزيد. فقال له عمر: تقول: أمير المؤمنين! وأمر به فضربه عشرين سوطا"

[Lisaan Ul Mizaan Libne Hajar 6/294]

Maloom hua ki Hafiz Ibne Hajar Rahimahuah ne is riwayat ki sanad mein "Nofal Bin Abi Furaat" ki jagah "Nofal Bin Abi Aqrab" ka name likha hai arz hai ki is name ke kisi bhi raawi ka name wa nishan mujhe kutub e Zarah Wa Ta'adeel mein nahi mil saka. Albatta "Abu Nofal Bin Abi Aqrab Al-Bikri" name ke ek Siqa'a raawi mauzood hai aur Hafiz Ibne Hajar Rahimaullah ne galiban jer e bahash raawi ko yahi raawi samajh liya aur ise Siqa'a kah diya . lekin haqiqat ye hai ki is sanad mein "Abu Nofal Bin Abi Aqrab Al-Bikri" nahi hai. Aur Hafiz Ibne Hajar Rahimaullah ne ye sanad galiban apne hafize se likhi hai aur sanad mein wahem ka shikar ho gaye ya jis jagah se nakal kiya hai wahi par galti thi baher hal jo bhi hai baher shoorat is sanad mein "Nofal Bin Abi Aqrab" ke bajaye "Nofal Bin Abi Furaat" hi hai jiske darz jeyl hai 👇

Pahli Daleel :- Imam Zahbi Rahimaullah ne Apni dono kitabon mein ye sanad nakal ki hai aur dono mein "Nofal Bin Abi Al-Furat" hi darz hai.

Doosri Daleel :- Imam Zahbi Ke alawa Imam Siyuti ne bhi is sanad mein "Nofal Bin Abi Al-Furat" hi ka name nakal kiya hai.

Teesri Daleel :- Umar Bin Abdul Azeez Se riwayat karne wale "Nofal Bin Abi Aqrab" ka name nahi milta balki "Nofal Bin Abi Al-Furat" hi ka name milta hai.

Imam Ibne Ashakir Rahimaullah (Died 571 Hijj) ne kaha

"نوفل بن الفرات بن مسلم، ويقال: ابن سالم، ويقال: نوفل بن أبي الفرات أبو الجراح العقيلي مولى بني عقيل الجزري الرقي قدم على عمر بن عبد العزيز مع أبيه، وروى عنه"

[Tareekh E Dimashq Libne Ashakir 62/290]

Imam Ibne Hibban Rahimaullah (Died 354 Hijj) ne kaha

"نوفل بن الفرات يروي عن عمر بن عبد العزيز، روى عنه مبشر بن إسماعيل الحلبي“

[As-Shiqa'at Libne Hibban 9/221]

Chauthi Daleel :- Yahya Bin Abdul Malik Bin Abi Utbah ke ustaado mein bhi "Nofal Bin Abi Aqrab" ka name nahi milta balki "Nofal Bin Abi Al-Furat" ka hi name milta hai .

Imam Ibne Ashakir Rahimaullah (Died 571 Hijj) ne kaha

"نوفل بن الفرات بن مسلم ... روى عنه الليث ... و ... ويحيى بن عبد الملك بن أبي غنية"

[Tareekh E Dimashq Libne Ashakir 62/290]

In dalail se maloom hua ki Is Sanad mein "Nofal Bin Abi Al-Furat" hi hai aur ye Majhool hai.
 

Top