Yeh be-hayaai kiun?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Yeh be-hayaai kiun?

Prepared by: Umar Asari Ibn e Ashiq Ali Asari

Nai tehzeeb ki hawa western countries ke tabqa e niswaan se hote huwe baqiya mamalik (countries) ki taraf rawa-dawa hai. Fashion parasti aur naam nihaad aazaadi ne tabqa e niswaan ko tabaahi aur barbaadi ke daldal mein laa ghaseeta hai. Iffat o ismat sharm o haya aaj western countries ki galyon mein dhoondne se bhi nahi milti. Bachi kuchi thodi si sharm o haya Muslim countries ki galyon, kochon, mahallon aur baaz makaanon mein nazar aa jaati hai.
Ab to qalam haya ke sabab ashk e nadaamat bahaata hai. Zabaan ladkhadaati hai aur zehan barjasta yeh soochne par majboor ho jaata hai ke kya woh waqt bhi aane waala hai ke sharm o haya aur iffat o ismat ko hum Muslim countries ki galyon aur kochon mein bhi na paayenge?
Aaj naujawaan ghair mehram ladkiyon mein aate jaate hi nahi balke hansi aur dillagi bhi karte hain.
Aaj aurton ki nazren uthne lagein haalaanke Rabb Zul-Jalaal ne unko nazren neechi rakhne ka hukm diya tha:
وَقُل لِّلْمُؤْمِنَاتِ يَغْضُضْنَ مِنْ أَبْصَارِهِنَّ​
Tarjumah: Musalmaan aurton se kaho ke woh bhi apni nigaahen neechi rakhen.
(Surah An-Noor: 31)

Sar se aanchal hatne lage. Badan khulne lage haalaanke Rabb e Zul-Jalaal ne «وَلْيَضْرِبْنَبِخُمُرِهِنَّ عَلَىٰ جُيُوبِهِنَّ» (Aur apne girebaanon par apni odhniyaan daale rahen. Surah An-Noor: 31) keh kar unhein hukm diya ke woh apne girebaanon par dupatte daale rahen.
Pyaari behno! Tum khud soocho aakhir tumhein is qadar ehtiyaat baratne ka hukm kiun diya gaya hai? Tum par hi to aane waali nasl ki hifaazat aur parwarish ka daar o madaar hai. Kiunki maan hi ki god bachche ka sab se pehla Madarsah hota hai. Tum mein zarrah barabar bhi koi kharabi paida ho gayi to naslen barbaad ho jayengi. Tumhaare akhlaaq aur tumhaari aadatein tumhaari aulaad mein asar-andaaz hongi. Tum jis rawish (taur tareeqe) par unki parwarish karogi woh usi rawish (taur tareeqe) par chlengi. Jis bhi haal mein woh tum ko dekhengi usi ko woh apnaayengi.
Suno! Aur achchi tarah se yeh baat zehan nasheen kar lo ke iffat o ismat jaisi qeemti cheez is poori kayenaat mein nahi hai. Iffat o ismat hai to sab kuch hai. Iffat o ismat nahi to kuch bhi nahi.
Lekin aaj tum colleges, parks, shopping malls aur cinema halls mein aazaadaana ladkon ke saath ghoomti ho.
Aakhir tumhein kya ho gaya hai?
Tum ladkon ke saath khalwat mein jaane se bhi nahi sharmaati ho kya tumhein Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan nahi ma’loom?
لاَ يَخْلُوَنَّ رَجُلٌ بِامْرَأَةٍ​
Tarjumah: Koi mard kisi (ghair mehram) aurat ke saath tanhaayi mein na baithe.
(Sahih Bukhari: 3006)

Suno suno! Aur achchi tarah samajh lo tum Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki na-farmaani kar ke unhein kuch bhi nuqsaan na pahuncha sakogi. Nuqsaan aakhir tumhaara hi hai.
Tum make up kar ke zeb o zeenat ke saath jaahiliyat ki rawish ikhtiyaar kar ke baazaaron mein ghoomti ho aur «وَقَرْنَ فِي بُيُوتِكُنَّ وَلَا تَبَرَّجْنَ تَبَرُّجَ الْجَاهِلِيَّةِ الْأُولَىٰ» (aur apne gharon mein qaraar se raho aur qadeem jaahiliyat ke zamaane ki tarah apne banaao ka izhaar na karo. Surah Al-Ahzaab: 33) ki sareeh mukhalifat karti ho. Aakhir yeh konsa insaaf kar rahi ho???
Ab to hosh ke naakhun lo aur khawaab e ghaflat se bedaar ho jaao aur apni zindagi ka muhaasba karo. Agar waqi'atan tumhaari zindagi Islaami zindagi hai to Rabb ul Izzat ka shukr baja laao aur agar Islaami zindagi nahi hai to Rabb e Kareem se taubah aur istighfaar karo aur gunaaho se baaz aa jaao.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Ibnatu Ali Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top