Umar Asari

Administrator
Staff member
Yeh da’wat ka kon sa tareeqa hai?

Tehreer: Shaikh Abdul Ghaffar Salafi Hafizahullah, Banaras

Romanised by: Umar Asari

Aaj kal whatsapp waghera par telephonic munazron ki badi dhoom hai. Khaas taur se hamaare woh Salafi bhai jo ilm o aml ke aitbaar se na to pukhtagi ko puhanche hain na ilm o tehqeeq se koi khaas rabt hai is mashghale mein ziyadah masroof hain. Kisi muqallid aalim se ya aam aadmi se kisi khaas masle par guftugu shuru hoti hai aur phir jab saamne waala badzubani par utarta hai to idhar se us se bhi ziyadah gandi zubaan istemaal kar ke whatsapp waghera par apni fatah ka danka bajaaya jaata hai.

Sawaal yeh hai ke yeh da’wat ka konsa tareeqa hai? Aur is se hamein kya faidah haasil hone waala hai. Hamaara deen hamein hikmat ke saath da’wat ka kaam karne ka hukm deta hai:
ادْعُ إِلَىٰ سَبِيلِ رَبِّكَ بِالْحِكْمَةِ وَالْمَوْعِظَةِ الْحَسَنَةِ ۖ وَجَادِلْهُمْ بِالَّتِي هِيَ أَحْسَنُ​
Tarjumah: Apne Rabb ki raah ki taraf logon ko hikmat aur behtareen naseehat ke saath bulaaiye aur un se behtareen tareeqe se guftugu kijiye.
(Surah An-Nahl, Surah No: 16 Ayat No: 125)

Bad zubani aur mizaaj ki tezi hamesha bane banaaye kaam ko bigaad deti hai. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne husn e akhlaaq aur khushguftaari (baat karne ka achcha saleeqa) se hi logon ka dil jeeta tha:
فَبِمَا رَحْمَةٍ مِنَ اللَّهِ لِنْتَ لَهُمْ ۖ وَلَوْ كُنْتَ فَظًّا غَلِيظَ الْقَلْبِ لَانْفَضُّوا مِنْ حَوْلِكَ​
Tarjumah: Allah Taala ki rehmat ke baa’is Aap in par naramdil hain aur agar Aap badzubaan aur sakht dil hote to yeh sab Aap ke paas se chatt jaate.
(Surah Aal e Imran, Surah No: 3 Ayat No: 159)

Jo Nabi yahoodiyon ke “Assaamu Alaikum” (السَّامُ عَلَيْكُمْ) ka jawab sirf “Walaikum” se dete hon aur Amma Aisha Radhiallahu Anha ko samajhaate huwe kehte hon:
مَهْلًا يَا عَائِشَةُ، عَلَيْكِ بِالرِّفْقِ، وَإِيَّاكِ وَالْعُنْفَ وَالْفُحْشَ​
Tarjumah: Thehro Aisha! Tumhein naram-khoi ikhtiyaar karni chaahiye sakhti aur badzabani se bachna chahiye.
(Sahih bukhari: 6030)

Us Nabi ke muttaba’een (ittebaa’ karne waalon) ka haal yeh hai ke zara zara si baat par apna aapa kho dete hain aur zabaan par koi qaabu nahi rakhte???

Yaad rakhen mere azeezo! Da’wat ka yeh “Modern usloob” Kitaab o Sunnat ki ta’lemaat ke sarasar khilaaf hai. Behtar hota ke hum mustand ulama ke paas tarbiyat haasil karte aur phir roshan dalaail se saamne waale ko qaail karne ki koshish karte ke yahi Salafi Manhaj ke shayan e shaan usloob hai aur yahi da’wat ka munasib tareeqa hai.
 
Top