Zaalim Firaun Par Allaah Ka Azaab Aur Ibrat Aur Nasihat


Zaalim Firaun Par Allaah Ka Azaab Aur Ibrat Aur Nasihat

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

Daai Islamic Dawah Center Taif Saudi Arab
Romanised by Khadija Muhammadi

Zulam Andhera Hai Zameen Me Fasaad Hai Aur Kurra Zameen Par Duniya Ka Sab Se Bada Gunaah Hai Allaah Shirk Ke Alawah Apne Nafso Par Aur Allaah Ke Haq Me Hue Zulam Aur Ziyadati Ko Chahe To Maaf Kar Sakta Hai Magar Bando Ke Haq Me Zulam Aur Ziyadati Karne Walo Ko Hargiz Maaf Nahi Kare Ga Bhale Duniya Ke Adalato Me Ayse Zaalimo Ke Liye Koi Saza Nahi Magar Khaaliq E Kaainaat Ki Adaalat Se Duniya Ki Saza Muqarrar Hoti Hai Aur Zaroor Use Mil Kar Rehti Hai Aakhirat Me To Alag Se Saza Muqarrar Hai Hi. Insaani Taatimj Zaalimo Ki Ibratnaak Sazao Se Bhari Padhi Hai Me Yaha Qur'aan E Muqaddas Ke Hawale Se Duniya Ke Zaalim Tareen Insaan Firaun Ke Zulam Aur Istibdaad Aur Us Par Allaah Ke Qahar Aur Azaab Ka Zikar Karna Chahta Hu Jis Me Duniya Walo Ke Liye Ibrat Aur Nasihat Hai Magar Kam Hi Log Nasihat Haasil Karte Hai. Allaah Ka Farmaan Hai:
فاليوم ننجيك ببدنك لتكون لمن خلفك آية وان كثيرا من الناس عن آياتنا لغافلون.(يونس:92)
Tarjumah: Pas Aaj Sirf Teri Laash Ko Najaat Den Ge Taaki Tu Unke Liye Nishaane Ibrat Ho Jo Tere Baad Hai Aur Haqeeqat Yah Hai Ke Bahut Se Aadmi Hamari Nishaniyo Se Gaafil Hai.
Bani Israail Jis Ki Taraf Moosa Alyhis Salaam Bheje Gae Dar Asal Yaqub Alyhis Salaam Ki 12 Aulaad Se Chalne Wali 12 Qabile Nasle Hai Jo Misar Me Thi Allaah Ne Bani Israail Ko Bahut Sari Nemato Se Nawaza Tha Unko Puri Duniya Par Bartari Aur Hukoomat Ata Farmaai Thi. Allaah Ka Farmaan Hai.
يا بني اسرآئيل اذكروا نعمتي التي أنعمت عليكم واني فضلتكم على العالمين.(البقرة:47)
Tarjumah: Ay Aulaad E Yaqub Meri Us Ne'mat Ko Yaad Karo Jo Me Ne Tum Par Inaam Ki Aur Mene Tumhe Tamaam Jahano Par Fazilat Di.
Misar Me Qibtiyo Ki Bhi Qaum Thi Jis Se Firaun Yani Badshah Hua Karta Tha Jab Bani Israail Ne Allaah Ke Ahkaam Ki Nafarmani Ki Had Se Tajavuz Kiya To Allaah Ne Un Par 4 Sadiyo Tak Zaalim Firaana Ko Musallat Kar Diya Firaun Ne Bani Israail Ko Apna Gulaam Bana Rakha Tha Aur Unme Se Koi Yaha Se Bhaag Kar Bhi Nahi Ja Sakta Tha Dubarah Allaah Ne Bani Israail Par Meharbani Ki Aur Moosa Alyhis Salaam Ko Unki Taraf Nabi Bana Kar Bheja Aur Aap Ki Badolat Firaun Ke Zulam Se Najaat Di.
Moosa Alyhis Salaam Aur Firaun Ka Qissa Bada Lamba Hai. Surah Qasas,Surah Shu'ara Aur Digar Mutaddid Maqaamaat Par Uski Tafsile Mazkoor Hai,Me Qur'aan Aur Tafaasir Ke Hawale Se Mukhtasar Taur Par Yaha Moosa Alyhis Salaam Ka Qissa Aur Bani Israail Ka Firaun Ke Zulam Se Najaat Bayan Kar Deta Hu. Moosa Alyhis Salaam Ki Paidaaish Se Pehle Najumiyo Aur Kaahino Ne Firaun Ko Khabar Di Ke Bani Israail Me Ek Ladka Paida Hone Wala Hai Jo Uski Hukoomat Aur Saltanat Ka Khatma Karne Wala Hai Is Wajah Se Firaun Bani Israail Ka Har Ladka Ke Qatal Karwana Shuru Kar Diya Qatal Ki Wajah Jab Khidmat Guzaar Bani Israail Ki Kami Hone Lagi To Fir Ek Saal Chod Diya Karta Tha Moosa Ke Bade Bhai Haroon Ki Paidaaish Qatal Wale Saal Se Pehle Aur Moosa Alyhis Salaam Ki Paidaaish Qatal Wale Saal Hui. Allaah Ne Moosa Alyhis Salaam Ki Maa Ki Taraf Wahi Ki Ke Use Taboot Me Rakh Kar Dariya Me Baha Do Aur Koi Gam Na Karo,Sath Hi Yah Wada Bhi Kiya Ke Is Bachche Ko Uske Paas Dubarah Lautaae Ga Aur Use Paigambar Bhi Banae Ga. Maa Ne Allaah Ke Hukam Ki Taamil Ki Aur Beti Ko Logo Ki Nazro Se Door Ho Kar Use Dekhte Rehne Ki Taakid Ki. Qudrat Ka Karishma Ke Is Taboot Par Firaun Ke Hawariyo Ki Nazar Padhti Hai Woh Use Darbaar Me Le Aate Hai,Ladka Dekh Kar Firaun Ne Qatal Ka Hukam Diya Magar Firaun Ki Biwi Ne Yah Kah Kar Bacha Liya Ke Shayad Yah Hamare Kisi Kaam Aae Ya Use Ham Apna Beta Bana Le. Qudrat Ne Bachche Ko Maa Ka Hi Dudh Pilaya Kuy Ke Usne Kisi Ka Dudh Piya Hi Nahi. Firaun Ne Jise Apne Halaak Karne Wale Ki Talash Thi Uske Qatal Ke Dar Pe Tha Aur Is Kaam Ke Liye Senkdo Ladko Ka Qatal Karwa Chuka Tha Us Waqt Woh Apne Mahal Me Usi Ki Parwarish Kar Raha Tha. Yah Bhi Qudrat Ka Azeem Karishma Hai. Jawani Tak Waha Pale Badhe. Ek Roz Unhone Ek Qibti Ko Bani Israail Par Zulam Karte Dekha Pehle Use Mana Kiya Baaz Na Aane Par Ek Mukka Raseed Kar Diya Aur Qibti Usi Waqt Mar Gaya. Us Dar Se Ke Kahi Firaun Qibti Ko Qatal Karne Ke Juram Me Hame Qatal Na Karwa De Woh Madyan Chale Gae. Waha Ek Kunwa Par Logo Ko Janwar Ko Paani Pilate Hue Dekha Unke 2 Ladkiya Bhi Thi Jo Kaafi Der Se Intizaar Kar Rahi Thi Moosa Alyhis Salaam Ne Wajah Puchi To Unhone Jawab Diya Ke Ham Sab Se Aakhir Me Apne Janwaro Ko Pilaaen Ge. Moosa Alyhis Salaam Ne Paani Pilane Par Unki Bagair Ujrat Madad Ki Ladkiya Ghar Ja Kar Apne Walid Ko Aap Ke Bare Me Bataya Aur Amaanatdari Aur Qawi Hone Ki Sifat Bata Kar Apne Yaha Kaam Par Rakhne Ki Salaah Di Baap Ne Moosa Alyhis Salaam Ko Talab Kiya Aur 8 Year Khidmat Karne Par Apni Ek Beti Se Nikaah Ka Wada Kiya Agar 10 Year Pure Kare To Yah Ahsaan Hoga Moosa Alyhis Salaam Raazi Ho Gae Jab Khidmat Karte Karte Muddat Puri Ho Gai To Budhe Baap Ne Aap Se Ek Beti Ka Nikaah Kar Diya Ab Moosa Alyhis Salaam Apne Ahal Aur Maal Ke Sath Wapis Laut Rahe The Ke Raste Me Aag Ki Talash Me Ek Jagah Ruk Gae Biwi Jo Intizaar Karne Kaha Aur Khud Us Jagah Aag Lene Chale Gae Jaha Se Roshni Nazar Aa Rahi Thi. Waha Pohnchne Par Allaah Ne Moosa Alyhis Salaam Se Kalaam Kiya Aur Aap Ko Nabuwat Se Sarfaraaz Farma Kar Firaun Ki Taraf Ja Kar Narmi Se Tableeg Karne Ka Hukam Diya Allaah Ne Aap Ko Bataur E Moajiza 9 Nishaniya Ata Farmaai Moosa Alyhis Salaam Ke Andar Ek Khauf To Yah Tha Ke Unhone Qibti Ko Maar Diya Tha Aur Dusra Khauf Yah Tha Ke Firaun Bada Zaalim Tha Woh Rab Hone Ka Dawedaar Hai Sath Hi Aap Ki Zabaan Me Laknat Bhi Thi Is Liye Allaah Se 4 Bato Ki Dua Ki. Allaah Farmata Hai:
قال رب اشرح لي صدري ويسرلي امري واحلل عقدة من لساني يفقهوا قولي واجعل لي وزيرا من اهلي هارون اخي اشدد به ازري واشركه في امري.(طه: 25-32)
Tarjumah: Moosa Ne Kaha Ay Mere Parwardigar(1)Mera Seena Mere Liye Khol De. (2) Aur Mere Kaam Ko Mujh Par Aasaan Kar De. (3) Aur Meri Zabaan Ki Giraah Bhi Khol De Taaki Log Meri Baat Achchi Tarah Samjh Sake.(4) Aur Mera Wazeer Mere Kunbe Me Se Kar De Yani Mere Bhai Haroon Ko To Us Se Meri Kamar Kas De Aur Use Mera Shareek Kaar Kar De.
Dono Bhai Moosa Aur Haroon Ne Firaun Ko Rabbal Aalameen Ka Paigaam Sunaya Aur Allaah Wahdahu La Shareek Ki Ibadat Ki Taraf Bulaya Magar Usne Sarkashi Ki Aur Nabuwat Ki Nishaniya Talab Ki Moosa Alyhis Salaam Ne Apne Nabi Hone Ka Mojiza Paish Kiya Laathi Ka Sanp Ban Jana,Bagal Me Haath Lagane Se Usme Chamak Paida Hona. Firaun Ne Jadugari Keh Kar Uska Bhi Inkaar Kiya. Fir Firaun Ne Apne Maahir Jadugaro Se Moosa Alyhis Salaam Ka Muqable Karwaya Mukable Me Pehle Firaun Ke Jadugaro Ne Apni Lathiya Aur Rassiya Zameen Par Phainki Aur Aakhir Me Moosa Alyhis Salaam Ne Apni Lathi Phainki Jo Azdaha Ban Kar Jadugaro Ke Tamam Aalaat Nigal Gaya Yah Manzar Dekh Sare Jadugar Moosa Aur Haroon Ke Rab Par Imaan Le aae Firaun Ab Bhi Imaan Na Laya Aur Khud Ko Hi Ma'bood Kehlwata Raha. Logo Se Kehta" انا ربكم الأعلى" Yani Me Tum Sab Ka Sab Se Bada Ma'bood Hu Yah Firaun Ka Sab Se Bada Gunaah Tha Uske Alawah Qur'aan Ne Firaun Ko Sarkashi Karne Wala, Bani Israail Par Zulam Aur Sitam Dhane Wala Unka Qatal Karne Wala Aur Fasaad Machane Wala Kaha Hai. Allaah Farmata Hai:
ان فرعون علا في الأرض وجعل أهلها شيعا يستضعف طائفة منهم يذبح أبناءهم ويستحيي نساءهم انه كان من المفسدين.
(القصص:4)
Tarjumah: Yaqeenan Firaun Ne Zameen Me Sarkashi Kar Rakhi Thi Aur Waha Ke Logo Ko Giroh Giroh Bana Rakhi Thi Aur Unme Se Ek Firqa Ko Kamzor Kar Rakha Tha Aur Un Ke Ladko Ko To Zabah Kar Dalta Tha Aur Unki Ladkiyo Ko Zindah 6od Deta Tha Beshak Woh Tha Hi Mufsido Me Se.
Uske Alawah Rasool Ko Jhuthlaane Wale Firaun Aur Uske Lashkar Ko Qur'aan Ne Kahi Zaalim Qaum Kaha Kahi Faasiq Qaum Kaha Kahi Qaahir Kahi Sarkashi Aur Baagi Aur Kahi Mutakabbir Kaha. Ek Taraf Firaun Apne Un Mazalim Ki Wajah Se Allaah Ki Adaalat Se Dardnaak Azaab Ka Mustahiq Tha Hi Dusri Taraf Moosa Alyhis Salaam Ne Uski Halaakay Ki Allaah Se Dua Bhi Maang Ki Allaah Farmata Hai:
وقال موسى ربنا آتيت فرعون وملاه زينة واموالا في الحياة الدنيا ربنا ليضلوا عن سبيلك ربنا اطمس على أموالهم واشدد على قلوبهم فلا يؤمنوا حتى يروا العذاب الاليم.(يونس:88)
Tarjumah: Aur Moosa Ne Arz Kiya Ke Ay Hamare Rab Tu Ne Firaun Ko Aur Uske Sardaro Ko Saamane Zeenat Aur Tarah Tarah Ke Maal Duniyawi Zindagi Me Diye Ay Hamare Rab(Usi Waste Diye Hai Ke)Woh Teri Raah Se Gumraah Kare Ay Hamare Rab Unke Maalo Ko Nest Naabood Kar De Aur Unke Dilo Ko Sakhat Kar De Pas Yah Imaan Na Laane Paae Yaha Tak Ke Dardnaak Azaab Ko Dekh Le.
Fir Kya Tha Duniya Me Hi Firaun Aur Uske Lashkar Par Allaah Ki Taraf Se Qisam Qisam Ka Azaab Aana Shuru Ho Gaya. Qahat Saali,Phalo Ki Kami,Toofaan,Tiddiya,Ghin Ka Kida,Mendak,Aur Khoon Ka Azaab Aaya Yaha Tak Ke Unke Sakhat Par Dakhta Karkhane Aur Unchi Unchi Imarate Ko Bhi Darham Barham Kar Diya Gaya Firaun Moosa Alyhis Salaam Se Azaab Hatane Ke Badle Bani Israail Ki AAZAADI Ka Wada Karta Magar Kabhi Nibhata Nahi. Firaun Aur Uske Lashkar Par Duniya Ka Sab Se Bada Azaab Yah Aaya Ke Jab Moosa Alyhis Salaam Bani Israail Ko Le Kar Ek Din Achanak Bhaag Nikle Aur Firaun Uske Lashkar Ke Sath Unka Picha Kiya,Dariya Ke Paas Pohnch Kar Moosa Alyhis Salaam Ne Allaah Ke Hukam Se Paani Par Lathi Maari Aur 12 Raste Ban Gae Is Tarah Moosa Alyhis Salaam Aur Unki Qaum Un Rasto Se Paar Nikal Kar Hamesha Ke Liye Firauni Zulam Aur Sitam Se Najaat Paa Gae Aur Jab Firaun Aur Uska Lashkar Dariya Oboor Karne Lage To Allaah Ne Paani Ko Aapas Me Mila Kar Dubo Diya Aur Sab Ko Ek Aan Me Maut Ki Nind Sula Diya Allaah Ka Farmaan Hai:
واذا فرقنا بكم البحر فانجيناكم واغرقنا آل فرعون وانتم تنظرون.(البقرة:50)
Tarjumah: Aur Jab Ham Ne Tumhare Liye Dariya Cheer Diya Aur Tumhe Us Se Paar Kar Diya Aur Firauniyo Ko Tumhari Nazro Ke Samne Usme Dubo Diya.
Tirmizi (3108)Ki Sahih Hadees Me Hai Ke Nabi SAV Ne Zikar Kiya Ke Jab Firaun Dubne Laga To Jibraeel Alyhis Salaam Firaun Ke Munh Me Mitti Thunsne Lage Is Dar Se Ke Woh Kahi 《لا اله الا الله》 Na Keh De To Allaah Ko Us Par Raham Aa Jaae.
Firaun Ko Uske Zulam Ke Badle Duniya Me Mukhtalif Qisam Ki Saza Mili Dardnaak Tariqe Se Paani Me Dubo Diya Gaya Marte Waqt Farishte Uske Munh Me Dariya Ki Mitti Thunste Rahe The Mazloom Ke Samne Zaalim Firaun Ko Kifar Kirdaar Tak Pohnchaya Gaya Yani Usko Dubo Kar Mara Gaya Markar Bhi Qayamat Tak(Aalame Baqzaq Me)Firaun Aur Uski Aal Ko Azaab Milta Rahe Ga Aur Qayamat Me Bhi Sakhat Tareen Azaab Diya Jaae Ga Allaah Ka Farmaan Hai:
النار يعرضون عليها غدوا وعشيا ويوم تقوم الساعة ادخلوا آل فرعون أشد العذاب.(غافر:46)
Tarjumah: Aag Hai Jis Ke Samne Yah Har Subah Sham Laae Jaate Hai Aur Jis Din Qayamat Qaaim Hogi(Farmaan Hoga Ke)Firauniyo Ko Sakhat Tareen Azaab Me Daalo.
Is Pure Waqia Se Ek Aham Nasihat Milti Hai Ke Allaah Ne Moosa Alyhis Salaam Aur Aap Par Imaan Lane Walo Duniya Ke Sab Se Zaalim Hukmaran Se Najaat Di Yaha Tak Ke Firaun Ki Biwi Aasiya Bhi Imaan Le Aati Hai Firaun Se Najaat Aur JANNAT Me Ghar Ke Liye Allaah Se Dua Karti Hai.
Zaalim Firaun Ki Halakat Aur Tabahi Ke Mutalliq Allaah Ne Farmaya Ke Dekho Zaalim Ka Kya Anjaam Hua?
فاخذناه وجنوده فنبذناهم في اليم فانظر كيف كان عاقبة الظالمين.(القصص:40)
Tarjumah:Bil Aakhir Ham Ne Use Aur Uske Lashkar Ko Pakad Liya Aur Dariya Me Dubo Diya Ab Dekh Le Ke Un Gunehgaaro Ka Anjaam Kaisa Kuch Hua?
Ek Dusri Jagah ALLAAH Ne Farmaya:
ثم بعثنا من بعدهم موسى بآياتناإلى فرعون وملئه فظلموا بها فانظر كيف كان عاقبة المفسدين.(الاعراف:103)
Tarjumah: Fir Unke Baad Ham Ne Moosa Ko Apne Dalaail De Kar Firaun Aur Uske Umra Ke Paas Bheja Magar Un Logo Ne Unka Bilkul Haq Ada Na Kiya Pas Dekhe Un Mufsido Ka Kya Anjaam Hua.
Nasihat Se Mutalliq Ek Aakhri Baat Arz Karna Chahta Hu Ke Allaah Ne Firaun Ki Laash Mehfuz Rakhne Ka Wada Kiya Hai Taaki Baad Walo Ke Liye Nasihat Rahe Farmaan E Ilaahi Hai:
فاليوم ننجيك ببدنك لتكون لمن خلفك آية وان كثيرا من الناس عن آياتنا لغافلون.(يونس:92)
Tarjumah: Pas Aaj Ham Teri Laash Ko Najaat Den Ge Taaki Tu Unke Liye Nishaane Ibrat Ho Jo Tere Baad Hai Aur Haqeeqat Yah Hai Ke Bahut Se Aadmi Hamari Nishaniyo Se Gaafil Hai.
Is Aayat Ke Tanaazur Me Misar Ke Muciam Me Maujood Mami Ki Hui Laash Ko Aksar Log Firaun E Moosa Kehte Hai Wazeh Rahe Ke Yah Sirf Ek Science Ki Tehqeeq Hai Is Liye Is Laash Ko Hatami Taur Par Firaun Ki Laash Nahi Keh Sakte Hai Aur Na Hi Hatami Taur Par Yah Keh Sakte Hai Ke Lash Ki Hifazat Se Maqsud Qayamat Tak Hifazat Hai Kyu Ke Aayat Me Iski Sarahat Nahi Hai.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Maqubool Ahmad Salafi Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top