Abdul Adil

Member
Tauheed-e-Uloohiyat se muraad yeh hai ki Allah hi ilaah e waahid hai.

Irshaad farmaya 👇

وَ اِلٰـہُکُمۡ اِلٰہٌ وَّاحِدٌ ۚ لَاۤ اِلٰہَ اِلَّا ہُوَ الرَّحۡمٰنُ الرَّحِیۡمُ

"Aur (aye logo) tumhaara ilaah to bas ek hi hai. UssRahmaan wa Raheem ke elaawah koi ilaah nahi"

(Surah Baqra:2/163)

llaah ek jaame' lafz hai. llaah mein jo sifaat aur khusoosiyaat paayi jaati hain koyi ek lafz in sifaat kaihaata nahi kar sakta. llaah uss hasti ko kahte hain jotamaam qism ki ibaadaat (namaaz, roza, hajj, qurbani, du'a, nazr wa niyaaz waghairah) ka mustahiq ho. Jis ko mushkil kusha aur haajat rawa samjha jaye. Jis se faryaad ki jaye aur madad talab ki jaye. Jo lasaani aur
lazawaal ho, jo benazeer aur bemisoal ho. Kaaynaat ki koi cheez jis se posheedah na ho jo har waqt har jagah se har shaksh ki pukaar sunta ho, jo dilon ke halaat jaanta ho. Jo har cheez par qaadir ho, majboor aur a'ajiz na ho, ghani ho,sab uske mohtaaj hon woh kisi ka mohtaaj na ho. Lafz ilaah mein tauheed ke tamaam pahloo iss tarah
samo diye gaye hain ki "Laa ilaaha illallah" kahne ke ba'd mazeed kuchh kahne ki zaroorat nahin rahti.

Tauheed ki tamaam tafseelaat ilaah ki tashreehaat hain. yahi woh tauheed hai jis ko mushrikeen-e-makkah samet har daur ke mushrik manne se inkaar karte rahe.
 

Similar threads


Top