Aakhiri Sahabi E Rasool ﷺ!


Abul Husayn

Moderator
Staff member
Aakhiri Sahabi E Rasool ﷺ!

Az: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi
_________________


Sa'eed bin Jurairi (Rahimahullah) ne kaha ke maine Abut Tufayl ('Amir bin Waasilah Razi Allahu Anhu) se suna, aap ne kaha:
رايت رسول الله ﷺ وما بقي على وجه الأرض أحد رآه غيري، قلت؛ صفه لي، قال: كان ابيض، مليحا، مقصدا​
"Maine Rasoolullah ﷺ ko dekha aur is waqt roye zameen par aisa koi shaksh mere siwa zindah nahi jisne Aap (ﷺ) ka didaar kiya ho, maine (yane Sa'eed bin Jurairi ne) kaha: Aap (ﷺ) ka huliyah bayaan kijiye, tou unhon ne farmaaya: Aap safeed, khoobsurat aur darmiyaana qad thhey."
(Shamail E Muhammadiyah Lit Tirmizi, Hadees: 14, Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah ne ise "Sahih" kaha, dekhe: Sahih Muslim: 2340/6072)

● Sahih yeh hai ke Abut Tufayl 'Aamir bin Waasilah (Razi Allahu Anhu) 110 Hijri mein foot huwe aur tamaam Sahaba e Kiraam mein aakhiri wafaat paane waale aap hi thhey. (Taqreeb ut-Tehzeeb 3111)

● Riwayat e mazkoorah ka ek rawi Sufiyaan bin Wakee' bin al-Jarrah zaeef hai, lekin wo is hadees mein munfard nahi balke Bashshaar (siqah rawi) ne iski mutaaba'at kar rakhi hai.

● Allah ta'ala ki aata kardah neymat ka zikr bataur e tehdees neymat jayiz hai.

● Tabayee ka Sahabi se Rasoolullah ﷺ ki sifat maloom karna, iski daleel hai ke ummatiyon ko chahiye, Apne Mehboob aur Imam e Azam Sayyiduna Muhammadur Rasooullah ﷺ ka huliyah mubarak aur seerat e tayyabah maloom karen, yaad rakhen, Aap se muhabbat karen, Aap ki Ahadees e Mubarakah par amal karen aur amal karne ki talqeen bhi karen.

● Sayyiduna Abut Tufayl (Razi Allahu Anhu) ke b'ad roye zameen par kisi Sahabi ke zindah rehne ka koi saboot nahi aur jin logon ne is daur ke b'ad Sahabi hone ka da'waa kiya, wo jhoote thhey.

Hafiz Ibne Hajar al-Asqalani (Rahimahullah) ne farmaaya:
لأنا معشر أهل الحديث نقطع بكذب من ادعى الصحبة بعد أبي الطفيل عامر بن واثلة، والله الهادي إلى الصواب، متمسكين بالحديث الصحيح المتواتر عنه ﷺ؛ أن على رأس مائة سنة - من حين مقاله - لا يبقى على وجه الأرض ممن هو إذ ذاك عليها أحد​
"Kiyun ke hum tamaam Ahle Hadees is shakhs ko qatyi taur par jhoota samahjte hain jo Abut Tufayl 'Aamir bin Waasilah (Razi Allahu Anhu) ke b'ad Sahabi hone ka da'waa kare aur Allah hi haq ki taraf hidayat deyne waala hai, hum is Sahih Mutawaatir Hadees se hujjat pakadtey hain jis mein aaya hai ke Aap ﷺ ne farmaaya: Saw saal ke b'ad. Aap ke qaul e mazkoor ke waqt se ley kar, roye zameen par koi shakhs baqi nahi rahega, jo ke is qaul ke waqt maujood tha.
(al-Mujamma ul-Muassis Lil Mujam il-Mufehris: 2/552, Taba' Darul Marifah Beirut Lebanon)

| Refrence: Shamail e Tirmizi Az: Imam Tirmizi Rahimahullah, Tarjuma Tehqeeq wa Fawaaid Az: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah, Page: 67-68 |
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Abul Husayn Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum Ki Seerat 0

Similar threads


Top