SAFED BAALO KO KAALA KARNA HARAM HAI


Ibnatu Ali

Member
SAFED BAALO KO KAALA KARNA HARAM HAI

Baalo ko colour karna sunnat hai Yani ke mard ke liye Sar ke baal aur daadhi aur Aurat ke liye sirf uske sar ke baal.

Safed baalo ko na rangna Yahoodi aur issaiyo ka kaam hai

✔Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Yahoodi aur isaai apne baalo ko rangte nahi hain, isliye unki mukhaalafat karo (yani alag dikho).
Sahih Muslim, 2103

Baalo ko Kaala Rangna haram hai

✔ Jabir bin Abdullaah Radhiallahu Anhuma farmaate hain ki jis saal Makkah fatah huwa Abu Quhaafa Radhiallahu Anhu aaye un ka sar aur un ki daadhi Saghaama ki tarah sufaid thi (Saghaama ek sufaid ghaas hai) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un ki aurton ko hukm diya ke is sufaidi ko kisi cheez se badal do.
Sahih Muslim, 2102

Baalo ko kaala rangne wala Jannat ki khushboo tak na payega

✔Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam ne farmaya akhiri zamane me kuch log kabootar ke seene ki tarah siyaah khizaab (black dye) lagayenge wo jannat ki khusbhu tak na payenge.
(Narrated by Abu Dawood, 4212; al-Nasaa’i, 5075) Sahih

Baalo ko Rangne ki sabse behtar chiz heena aur katam

✔Abu Dharr Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam ne farmaya sabse achhi chiz jisse is budhape ko (yani safed baalo ko) badla jaye, henna (mehndi) aur katam (wasmah) hai.
Tirmizi: 1753, Abu Dawud: 4205, ibn Majah: 3622

Ibn Al-Qayyim Rahimullah ne kaha:
Baalo ko bilkul kala karna mana hai, lekin agar koi chiz henna me mila di jaye, jaise katam (wasmah) waghaira tab usme koi burai nahi hai.
Katam aur henna milkar baalo ko wo rang dete hai jo ki laal aur kaale ke bich ka hota hai. Wasmah (woad leaves) ki tarah nahi jo baalo ko aise kaala karti hai jaise koyla (coal).
Zaad al-Ma’aad, 4/336

To isse hame ye malum chalta hai ke ham katam ko akele ni istemaal kar sakte kyunki ye khalis kaala rang deta hai, lekin ise henna ke sath istemal kar sakte hai jisse ke hame Kaale aur laal ke bich ka rang milta hai jise ham reddish black kah sakte hai.

Note : Katam ek tarah ka pauda hota hai jo ki black colour deta hai, jaise ke henna yani mehndi ka pauda hota hai lekin wo laal rang deta hai.
 
Top