DOOSRA (2nd) HAQQ - AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITTEBA KARNA


Amaat ullah

New member
DOOSRA (2nd) HAQQ - AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITTEBA KARNA
Bismillahirrahmanirraheem
80

AHLE EMAAN PAR AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITTEBA WAJIB HAI

"Aur jo kuch Rasool tumhey de wo le lo aur jis se mana kare us se ruk jao aur (ita'at e Rasool k maamle mein) Allah se darte raho beshak Allah sakht saza dene wala hai". (Surah Hashar Surah no. 59 Ayat no. 7)

Hazrat Abu Moosa Ash'ari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Meri aur us hidayat ki misaal, jise mein de kar bheja gaya hu aesi hai jese k ek aadmi apni qaum k paas aaye aur kahe, loogo! mene apni aankho se ek lashkar dekha hai jis se tumhey wazey taur par khabardaar kar raha hu lihaza us se bachne ki fikr karo, qaum k kuch loogo ne uski baat maan li aur raato raat (chupke se) fursat k lamhaat mein nikal gaye jabke doosre loogo ne jhutla diya aur apne gharo mein (gaflat se) padey rahe, subah k waqt lashkar ne unhey aa liya (pakad kiya ya unke paas aa gaye) aur halaak karke unki nasal ka khaatma kar diya, ye misal meri aur mujh par nazil kiye gaye haqq ki pairvi karne wale aur na karne wale aur jis haqq ko mein le kar aaya hu usko jhutlaane wale loogo ki hai". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITA'AT, ALLAH KI ITA'AT HAI

"Jisne Rasool ki ita'at ki usne dar-asal Allah ki ita'at ki aur jisne Rasool ki ita'at se muh phera to humne aapko un par nigraan bana kar nahi bheja". (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 80)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne meri ita'at ki usne Allah ki ita'at ki, jisne meri nafarmaani ki usne Allah ki nafarmaani ki aur jisne ameer ki ita'at ki, usne meri ita'at ki aur jisne ameer ki nafarmani ki usne meri nafarmani ki". (Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 1223)

Wazahat: Yaad rahe k ameer ki ita'at kitab o sunnat k ahkaam k saath shart hai.


RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITA'AT AUR FARMABARDAARI NA KARNE KI SAZA

Hazrat Salma bin Akwa'a Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unke baap ne unhey bataya k ek aadmi ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas baaye hath se khana khaya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Apne daaye haath se khao" us aadmi ne jawab diya "Mein aesa nahi kar sakta" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "(Accha Allah kare) tujhse aesa na ho sake" us shaks ne takabbur ki wajah se ye baat kahi thi (halankey koi shari'e uzr nahi tha) raavi kehte hai k wo shaks (umar bhar) apna daaya haath muh tak na utha saka. (Sahih Muslim Kitabul Ashrabah)


HAZRAT ABU BAKR SIDDEQUE RAZI ALLAHU ANHU KA JAZBAH ITTEBA E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

Hazrat Hisham bin Urwah Rahimahullah apne baap se riwayat karte hai k jab Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ki bait mukammal ho gayi to unhone (lashkar usama ka) mutanazah masla hal karne k liye ansaar ko jama kiya, Sahaba E Kiram Razi Allahu Anhum ne Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ko mashwarah diya k lashkar e usama mein jaane wale (madeena k) aksar musalman hai aur arab mojoodah soorat e haal mein jis tarah aapko kamzoor samajh rahe hai, wo aapke saamne hai, is soorat e haal mein aapko lashkar e usama rawana nahi karna chahiye, Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ne jawab diya "Us zaat ki qasam! jiske haath mein Abu Bakr ki jaan hai, agar mujhe yaqeen ho k mujhe jangal k darindey achak lengey tab bhi mein lashkar e usama ko rawana karunga jese k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne usey rawana karne ka hukm de rakkha hai agar un bastiyo mein mere siwa koi bhi baaqi na rahe tab bhi mein lashkar e usama ko zaroor rawana karunga". (Al Bidaya Wan Nihaya Juz e Sadis Safa no. 696)


HAZRAT UMAR BIN KHATTAB RAZI ALLAHU ANHU KA JAZBAH ITTEBA E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

Hazrat Zaid bin Aslam Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu ne Hajra e Aswad ko mukhatib karke kaha "Wallah! mein jaanta hu tu ek patthar hai na nuksan pahuncha sakta hai na nafa de sakta hai agar mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko istalaam (Hajra e Aswad ko haath laga kar boosa dena) karte na dekha hota to tujhe kabhi na choomta, phir farmaya Ab hamey ramal karne ki kya zaroorat hai, ramal to mushriko ko dikhaane k liye tha ab to Allah ta'ala ne unhey halaak kar diya hai" phir khud hi farmate hai "Lekin ramal to wo cheez hai jo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat hai aur sunnat choodna hamey pasand nahi". (Muttafiqun Alaih, Al Loo Loo wal Marjaan Hadees no. 1120)


HAZRAT ALI RAZI ALLAHU ANHU KA JAZBAH ITTEBA E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu kehte hai mujhe Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek reshmi jooda diya mein usey pehan kar nikla to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k chehrah e mubarak par gusse k aasaar dekhey to usey phaad kar (ghar ki) khawateen ko de diya. (Sahih Muslim Kitabul Libas)


HAZRAT ABU ZARR RAZI ALLAHU ANHU KA JAZABH ITA'AT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu kehte hai mein do-pahar k baad Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath madeena ki pathreeli zameen par ja raha tha Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Abu Zarr Razi Allahu Anhu! mere wapas aaney tak yahi rukna aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam waha se tashreef le gaye hatta k meri nigaaho se ojhal ho gaye achanak mene kuch shoor aur aawaaz suni to mujhe khadsha paida hua k kahi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko koi haadsa paish na aa gaya ho, mene iraadah kiya k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey jao phir mujhe yaad aaya k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya tha "Jab tak mein wapas na aao tum yahi theharna" chunanchey mein ruk kar aapka intazaar karne laga. (Sahih Musim Kitabuz Zakaat)


HAZRAT ABU AYYUB ANSARI RAZI ALLAHU ANHU KA JAZBAH ITTEBA E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu kehte hai (mere han qayam k doraan) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein jab khana paish kiya jata to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam (hasb e khawahish) us mein se tanawul farma lete aur baaqi khana mere paas bhej dete, ek rooz Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khana khaye baghair wese ka wesa wapas bhej diya kyunki us khaane mein lahsun tha, mene Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz ki "Kya lahsun haraam hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Haraam to nahi, mein us ki na-gawaar boo ki wajah se usey napasand karta hu" Hazrat Abu Ayyub Razi Allahu Anhu farmane lage "Jis cheez ko Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam napasand farmate hai, mein bhi napasand karta hu". (Sahih Muslim, Muqadma Daarmi Baab 39, Hadees no.435)


HAZRAT KAAB BIN MALIK RAZI ALLAHU ANHU KA JAZBAH E ITA'AT

Hazrat Kaab bin Malik Razi Allahu Anhu farmate hai (Gazwa e tabook mein adm shirkat ki bina par Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pehle Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko mujhse baat cheet karne se mana farma diya) aur jab 50 dino mein se 40 din guzar gaye to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka qasid mere paas aaya aur kehne laga "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne tumhey hukm diya hai k apni beewi se alag ho jao" mene pucha "kya usey talaaq de du ya kya karu?" Qasid ne kaha (talaaq na do) balke us se alag raho aur uske qareeb na jao, chunanchey mene apni beewi se keh diya k apne ghar walo k paas chali jao aur us waqt tak wahi raho jab tak Allah ta'ala mere maamley ka faisla nahi farma deta. (Sahih Bukhari Kitabul Magaazi)

Wazahat: Yaad rahe gazwa e tabook se pichey reh jaane wale teeno sacchey aur mukhlis Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum (Hazrat Kaab bin Malik Razi Allahu Anhu, Hazrat Murarah bin Rabee Razi Allahu Anhu aur Hazrat Bilal bin Umaiyya Razi Allahu Anhu) ki tauba 50 dino k baad qabool hui thi.


EK KHUSH NASEEB KHATOON HAZRAT UMMEY HUMAID SAADIYA RAZI ALLAHU ANHA KA JAZBAH ITA'AT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

Hazrat Abu Humaid Saadi Razi Allahu Anhu ki zooja Hazrat Ummey Humaid Saadiya Razi Allahu Anha Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir huyi aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mera jee chahta hai k Aapke saath (Masjid E Nabawi mein) namaz padhu" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Mujhe maloom hai k tu mere saath namaz padhna chahti hai lekin tera ghar k ek gooshey mein namaz padhna apne kamre mein namaz padhne se afzal hai aur tera kamrey mein namaz padhna ghar k sehan mein namaz padhne se behtar hai aur tera ghar k sehan mein namaz padhna muhalley ki masjid mein namaz padhne se afzal hai aur tera muhalley ki masjid mein namaz ada karna meri masjid mein namaz ada karne se afzal hai" Raavi kehte hai k Hazrat Ummey Humaid Razi Allahu Anha ne (uske baad apne ghar mein masjid banaane ka) hukm diya chunanchey unke liye ghar k aakhiri hissey mein masjid banaayi gayi jise tareek rakkha gaya (yaani us mein roshandaan wagairah na banaya) aur wo hamesha us mein namaz padhti rehti hatta k apne Allah azza wa Jall se ja mili. (Musnad Ahmad, Ibne HIbban, Sahih Ibne Khuzaima, At Targheeb wat Tahzeeb Hadees no. 338)


NOJAWAAN DOSHEEZAH KA BEMISAAL JAZBAH ITA'AT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

Hazrat Barzah As-Salami Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek ansari se kaha "Apni baiti ka nikah mujhse karo" Ansari na kaha "Hazir ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! ye to mere liye ba'as e izzat aur aankho ki thandak hai, Aapne irshad farmaya "Mein ye rishta apni zaat k liye nahi chahta" ansari ne arzi ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam kiske liye talab farma rahe hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Julaibeeb k liye!, ansari ne arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! (ijazat de) mein uski walidah se mashwarah karlu" Ansari ne ghar aa kar uski walidah se kaha "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam tumhari baiti ka rishta maangte hai, walidah ne kaha bahut khoob ye to hamari aankho k liye thandak hai" ansari ne kaha "khud apne liye nahi Julaibeeb k liye" ansari ki beewi ne kaha "Julaibeeb is layiq kaha?" Wallah! hum apni beti ka us se kabhi nikah nahi karenge, jab ansari Sahabi (mashwarah k baad) wapas jaane lage takey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko uski maa k faisle se aagaah karde to dosheezah ne kaha "Tumhare paas mere nikah ka paighaam kisne bheja hai?" dosheezah ki maa ne bataya "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne" dosheezah ne kaha "Kya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hukm ka inkaar karoge?" aap loog mujhe Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hawale karde wo mujhe zaaye nahi karenge, Ansari Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue aur arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! meri beti ka maamla aapke hath mein hai" chunanchey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne uska nikah Hazrat Julaibeeb Razi Allahu Anhu se kar diya. (Musnad Ahmad Hadees no. 19784)


HAZRAT ABU QATADAH RAZI ALLAHU ANHU KA JAZBAH E ITA'AT

Hazrat Kaab bin Malik Razi Allahu Anhu farmate hai (gazwah e tabook mein adm e shirkat ki bina par Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hukm par jab mujhse bool chaal band kardi to) kuch muddat k baad loogo ki ye rugardaani mere liye dobhar ho gayi, ek rooz mein apne chachazaad bhai Abu Qatadah k baagh ki deewaar par chadha mein Abu Qatadah se doosre tamaam loogo se ziyaadah muhabbat karta tha, usey salaam kiya, lekin Allah ki qasam! usne mujhe salaam ka jawab tak na diya, phir mene usey Allah ka waasta de kar pucha "Abu Qatadah! mujhe batao k tum mujhe Allah aur uske Rasool se muhabbat karne wala samajhte ho ya nahi?" Abu Qatadah ne phir khamooshi ikhtiyaar ki, mene dobaarah Allah ka waasta de kar us se pucha to phir bhi usne khamooshi ikhtiyaar ki, teesri martaba mene phir usey Allah ka waasta de kar yahi baat puchi to usne sirf itna jawab diya "Allah aur uska Rasool behtar jaante hai" ye sun kar meri aankho mein aansu jaari ho gaye aur mein baagh ki deewaar par chadh kar wapas palat aaya. (Sahih Bukhari Kitabul Magaazi)
HAZRAT ANAS RAZI ALLAHU ANHU KA JAZBAH ITTEBA E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai k ek darzi ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k liye khane ki dawat ki, mein bhi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath tha, Darzi ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne rooti aur shoorba jisme kaddu aur khushk goosht tha rakkha, mene dekha k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam palait mein se kaddu talaash kar rahe hai, Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai us rooz se mein bhi kaddu pasand karne laga hu. (Sahih Bukhari Kitabul Beeyu)


HAZRAT ABDULLAH BIN MAS'OOD RAZI ALLAHU NAHU KA JAZBAH ITA'AT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek martaba juma k din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam (khutba dene k liye) mimbar par tashreef laaye to farmaya "Loogo baith jao" Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu ne suna to masjid k darwaazey par hi baith gaye, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dekha to farmaya "Abdullah! masjid k andar aa kar baitho". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 203)


EK SAHABI E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA MUNFARID JAZBAH ITA'AT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek aadmi k haath mein sooney ki angoothi dekhi Aapne uske haath se utaar k phaink di aur farmaya "Tum mein se koi shaks qasadan aagh ka angaarah apne haath mein le leta hai" Jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef le gaye to Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne usey kaha "Apni angoothi utha lo aur (pehan'ne k bajaaye) koi doosra fayeda utha lo (masalan apni beewi ko de do ya baich do)" us aadmi ne jawab diya "Allah ki qasam! jis angoothi ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne phainka hai mein usey kabhi nahi uthaunga". (Sahih Muslim Kitabul Libaas)


SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KA JAZBAH ITA'AT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM

1. Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k (gazwah e khaibar k mouqey par) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas ek aadmi hazir hua aur arz kiya "Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum gharelu gadhey ka goosht kha rahe they" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam khamoosh rahe phir doosra aadmi hazir hua aur arz ki "Loog gharelu gadhey ka goosht kha rahe hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne phir khamooshi ikhtiyaar farmayi, phir teesra aadmi hazir hua aur arz ki "Loogo ne gharelu gadhey khatam kar daale hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne munadi ko hukm diya aur usne buland aawaaz se ye aelaan kiya "Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam tum loogo ko gharelu gadha khane se mana farmate hai" tamaam loogo ne ye sun kar apni haandiya ulat di halankey un mein goosht ubal raha tha. (Sahih Bukhari Kitabul Magaazi)

2. Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hum loog sirf fazeeh (khajoor se banaayi gayi) sharaab hi istemaal karte they mein (ek majlis mein) Abu Talha aur doosre loogo ko sharaab pila raha tha k achanak ek aadmi aaya aur pucha "Kya tumhey ittela mil gayi hai?" unhone kaha "kaun si ittela?" aadmi ne kaha "Hurmat e Sharaab ki" ye sunte hi sabne baik zuban kaha "Anas Razi Allahu Anhu! ye saare matkey baha do" Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai "Hurmat e sharaab ki ittela milne k baad na to kisi ne uske baare mein koi sawal kiya aur na hi kisi ne takraar ki". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)

3. Hazrat Abu Saalba Khushni Razi Allahu Anhu kehte hai (doraan e safar) Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum jab kisi muqaam par thehartey to waadiyo aur ghaatiyo mein idhar udhar bikhar jaate, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tumhara waadiyo aur ghaatiyo mein bikhar jana shaitan ki taraf se hai" uske baad Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne kisi muqaam par aesa nahi kiya balke ek doosre k saath is tarah mil kar baith'te k ek hi kapda un par daal diya jaye to sabko dhaanp le. (Abu Dawood Kitabuj Jihaad Hadees no. 2:2288)

4. Hazrat Bara Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (Madeena Munawwarah tashreef aawaari k baad) 16 ya 17 maah tak baitul maqdas k rukh par namaz padhi, lekin Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khawahish thi k (musalmano ka qiblah) Baitullah Shareef ho (hukm e ilahi aaney k baad) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne asar ki namaz Baitullah Shareef k rukh par padhi aur loogo ne bhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath (Baitullah Shareef k rukh par) namaz ada ki, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath namaz padhne walo mein se ek aadmi bahar nikla aur uska guzar ek masjid par hua us waqt namazi halat e ruku mein (Baitul Maqdas ki taraf rukh kiye hue) they us shaks ne (buland aawaaz se) kaha "Mein Allah ta'ala ko gawah bana kar kehta hu k mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath Baitullah Shareef ki taraf rukh karke namaz padhi hai" (aawaaz sunney k baad) masjid k saare namazi halat e ruku mein hi Baitullah Shareef ki taraf ghoom gaye. (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)

5. Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai k ek dafa Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko namaz padha rahe they k doraan e namaz Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne joote utaar kar baayi janib rakh diye, jab Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne dekha to unhone bhi apne joote utaar diye, Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz khatam ki, to unhone daryaft farmaya "Tum loogo ne apne joote kyu utaare?" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Humne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko joote utaarte dekha, lihaza humne bhi apne joote utaar diye" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mujhe Jibraeel Alaihis Salaam ne aa kar bataya k mere jooto mein galazat hai, ya kaha takleef deh cheez hai (lihaza mene joote utaar diye) phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko naseehat farmayi "Jab masjid mein namaz padhne aao to pehle apne jooto ko acchi tarah dekh liya karo, agar un mein galazat ho to usey saaf karlo phir un mein namaz padho". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 605)

6. Hazrat Kaab bin Malim Razi Allahu Anhu se riwayat hai k (gazwah e tabook se wapsi k baad jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam gazwah mein adm shirkat karne walo se mulaqaat k liye masjid tashreef laaye to) mein bhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne aa kar baith gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhse pucha "Tum jihaad se kyu pichey rahe?" kya tumne jihaad k liye sawari nahi khareedi thi? mene arz kiya "Kyu nahi sawari khareedi thi aur Allah ki qasam! mere paas koi uzr bhi nahi, us waqt mein sehat aur maal o dolat k aetabaar se pehle ki nisbat ziyaadah behtar tha" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Usne sach baat kahi hai (aur mujhe hukm diya gaya k) jao hatta k Allah ta'ala tumhare maamle ka faisla farma de" mein uth kar chala aaya.... Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne tamaam musalmaano ko hukm de diya k hum teen aadmiyo (Hazrat Kaab bin Malik Razi Allahu Anhu, Hazrat Muraarah bin Rabee Razi Allahu Anhu aur Hazrat Bilal bin Umaiyyah Razi Allahu Anhu) se koi shaks kalaam na kare, ye hukm jihaad se pichey reh jaane wale hum teen aadmiyo se mutalliq tha, Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne hum se qata'a talluq kar liya aur is tarah badal gaye jese jaante hi nahi aur wo sar-zameen jise hum jaante they hamare liye ajnabi ban gayi. (Sahih Bukhari Kitabul Magaazi
 
Top