Muslim Auraton ka mangal-sootr pahanna kaisa hai ?


Abdul Adil

Member
Tahreer :- Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised :- Abdul Adil Ansari


Topic :- Muslim Auraton ka mangal-sootr pahanna kaisa hai ?

Baaj muslim ahabaab ke jariye maloom hua ki unke ilaake me shadi me muslim khwateen ek haar ka istemaal karti hain jis tarah hinduon me mangal sootr hota hai , to kya muslim aurten mangal sootrka istemaal kar sakti hain ?

Mangal sootr waqai me hinduon ki majahabi alamat hai , isme koyi do raay nahi hai , ladke ka ladki ke gale me mangal sootr dalna nikah ke maane me samjha jata hai . aaj bhi ishq wo muhabbat me bhagne walen log gale me mangal sootr dalkar shadi biyah kar lete hai .

Muje print media ke jariye maloom hua ki mumbai ki serial adakaara sana shaikh ke sindoor lagane par muslim tabke ne awaaz uthaayi thi wo unhone kaha ki jab mera sindoor lagana haram hai to mera serial kyun dekhte ho ? Mazeed unhone kaha ki meri maa aur nani mangal sootr ka istemaal karti hain ye unke suhaag ki alamat hai .

Is waqye se is bat ko samjhne me madad milti hai ki waqai baaj muslim aurton me bhi is hinduwaana aqeede ke tahat mangal sootr ka istemaal paya jata hai . aur ye waajeh hai ki hinduon ke yahan mangal sootr majhabi sa'aar wa alamat hai . Islam ne hamen kisi gair kism ki nakali ( copies ) aur musabihat ikhtiyaar karne se mana kiya hai .

‏‏‏‏‏‏عَنِ ابْنِ عُمَرَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ مَنْ تَشَبَّهَ بِقَوْمٍ فَهُوَ مِنْهُمْ


Tarjuma :- Sayyedna Umar R A se marwi hai , unhone kaha ki Nabi صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ne Farmaya ki , jo shaksh jis qaum ki musabihat ( taur tarike ) ko apanaaye wo unhi me se hai
.

Sunan Abu Dawd Hadees number 4031

goya hinduon ki tarah mangal sootr ka istemaal najayez tahrega , koyi hinduwaana Aqeeda na ho to kisi bhi kism ka haar bataur e zeenat ( beautiness ) aurat ke liye jayez hai .

Wallahu Aalam
 

Similar threads


Top