PEHLA (1st) HAQQ - AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR EMAAN LANA


Amaat ullah

New member

PEHLA (1st) HAQQ - AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR EMAAN LANA
Bismillahirrahmanirraheem
79AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI BA'ASAT MUBARAK K BAAD ALLAH TA'ALA NE TAMAAM LOOGO KO AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR EMAAN LANE KA HUKM DIYA HAI

"Emaan lao Allah par, uske Rasool par aur us noor (yaani quran majeed) par jise humne nazil kiya hai jo amal tum karte ho Allah us se ba-khabar hai". (Surah Taghabun Surah no. 64 Ayat no. 8)


DUNYA PAR BASNEY WALE TAMAAM INSAN AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR EMAAN LAANE K MUKALLAF HAI

"Aur humne saare loogo k liye tumhey basheer (khushkhabri dene wala) aur nazeer (daraane wala) bana kar bheja hai lekin loogo ki aksariyat nahi jaanti". (Surah Saba Surah no. 34 Ayat no. 28)

(Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam) kaho, Ae loogo! mein tum sabki taraf Allah ka rasool ban kar aaya hu, wo Allah jo aasmaano aur zameen ka malik hai, uske siwa koi ila nahi wahi zindah karta hai aur maarta hai, lihaza emaan lao Allah aur uske rasool par, jo nabi aur ummi hai aur emaan rakhta hai Allah aur uske irshadaat par, uski itteba karo takey seedhi rah pao. (Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 158)


JINNAAT BHI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR EMAAN LANE K MUKALLAF HAI

"Aur jab hum jinno ki ek jamaat ko tumhari taraf le aaye takey wo quran suney, jab wo us jagah par pahunch gaye (jaha tum quran padh rahe they) to unhone (aapas mein) kaha: khamoosh ho jao, phir jab quran padha ja chuka to wo khabardaar karne wale ban kar apni qaum ki taraf paltey, unhoney (ja kar apni qaum se) kaha: Ae hamari qaum! humne ek kitab suni hai jo Musa k baad nazil ki gayi hai, apne se pehle aayi hui kitab ki tasdeeq karne wali hai, haqq ki rehnumaayi karti hai aur raah e raast ki taraf le jaane wali hai, Ae hamari qaum k loogo! Allah ki taraf bulane wale ki dawat qubool karo aur us par emaan le aao, Allah ta'ala tumhare gunah maaf farmayega aur tumhey azaab e aleem se bacha lega". (Surah Ahqaaf Surah no. 46 Ayat no. 29-31)


AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR EMAAN NA LAANE WALE JAHANNAM MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qasam hai us zaat ki jiske haath mein Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki jaan hai, is ummat ka koi bhi aadmi khuwah wo yahoodi ho ya isaayi, mere baare mein sun lene k baad is halat mein mar jaaye k wo us taleem ko na maney jise de kar mein bheja gaya hu, to wo jahannami hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


HAZRAT ABU BAKR SIDDEQUE RAZI ALLAHU ANHU KA EMAAN

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko raat k waqt masjid e aqsa le jaya gaya us se agli subah Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne loogo ko uski khabar di, kuch loog jo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam par emaan laaye they aur tasdeeq ki thi wo murtad ho gaye aur Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu k paas bhaagey bhaagey aaye aur kaha "Kya tujhe apne dost k baare mein maloom hai wo dawa kar raha hai k raato raat baitul maqdas se ho kar aaya hai? Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ne pucha "kya usne waqayi ye baat kahi hai?" loogo ne kaha "han" waqayi kahi hai, Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ne farmaya "Agar kahi hai to phir usne sach kaha hai" loogo ne phir pucha "Kya tu tasdeeq karta hai k wo raat ko baitul maqdas gaya aur subah se pehle wapas pahunch gaya" Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ne kaha "han" mein is se bhi ziyaadah na-qabil yaqeen baaton ki tasdeeq karta hu yaani subah wa shaam aasmaan se aane wali cheezo ki tasdeeq karta hu, tab aapko siddeque ka khitab diya gaya. (Mustadrak E Hakim, 3:62, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 306)


HAZRAT UMAR FAROOQ RAZI ALLAHU ANHU KA EMAAN

Hazrat Zumrah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k do aadmi apna muqadmah le kar Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jhoote shaks k muqabiley mein sacchey shaks k haqq mein faisla farma diya, jiske khilaf faisla hua tha usne kaha "Mein is faisle par raazi nahi hu" doosre shaks ne kaha "phir tum kya chahte ho" usne kaha "chalo hum Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu k paas chalte hai" dono fareeq Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu k paas pahunchey jiske haqq mein faisla hua tha usne (Hazrat Abu Bakr Siddeque ko) bataya "humne ya muqadma Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein paish kiya tha aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mere haqq mein faisla farma diya tha" Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ne farmaya "mera faisla bhi wahi hai jo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya hai" jiske khilaf faisla hua tha usne Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ki baat maan'ne se bhi inkaar kar diya aur kehne laga "hum Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu k paas jate hai" chunanchey dono fareeq Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu ki khidmat mein hazir hue jiske haqq mein faisla hua tha usne (Hazrat Umar Razi Allahu Anhu se) arz kiya "Humne ye muqadma Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein paish kiya tha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mere haqq mein faisla farma diya tha, lekin is shaks ne maan'ne se inkaar kar diya hai, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne us se daryaft farmaya to usne aetraaf kiya (k han waqayi) maamla aesa hi hai, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ghar wapas gaye aur palte to unke haath mein talwaar thi, usey be-niyam kiya aur inkaar karne wale ki gardan uda di (us par warsa ne qasaas ka mutaalba kiya to) Allah ta'ala ne ye Aayat nazil farma di (FALA WA RABBI KA LA YUMINOONA......) "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! tere rabb ki qasam, loog momin nahi ho sakte jab tak apne bahami ikhtalafaat mein tumhey faisla karne wala na maan le phir jo bhi faisla tum karo us par dil mein koi tangi mehsoos na kare aur usey sar basar tasleem karle". (Tafseer Ibne Kaseer Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 65 ki tafseer)


HAZRAT KHABBAB BIN ARATT RAZI ALLAHU ANHU KA EMAAN

Hazrat Khabbab (bin Aratt) Razi Allahu Anhu farmate hai mein zamana e jahiliyat mein lohaar ka paisha karta tha aur (mere malik) Aas bin Wayil ki taraf meri kuch raqam nikalti thi mein uske paas apni raqam maangne gaya to kehne laga "Jab tak tu Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ka inkaar nahi karega mein tujhe teri raqam nahi dunga" Hazrat Khabbab Razi Allahu Anhu ne kaha "Wallah! agar tu mar kar dobarah zindah ho jaye tab bhi mein Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka inkaar nahi karunga". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)


HAZRAT AMMAAR BIN YASIR, HAZRAT SUMAIYYA, HAZRAT SUHAIB, HAZRAT BILAL AUR HAZRAT MIQDAAD RAZI ALLAHU ANHUM KA EMAAN

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai sabse pehle 7 aadmiyo ne apna islam zahir kiya:
1. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam
2. Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu
3. Hazrat Ammaar Razi Allahu Anhu
4. Hazrat Sumaiyya Razi Allahu Anha
5. Hazrat Suhaib Razi Allahu Anhu
6. Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu
7. Hazrat Miqdaad Razi Allahu Anhu
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko to Allah ta'ala ne unke chacha Abu Talib k zariye quraish e makka k muzalim se mehfooz rakkha, Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ko Allah ta'ala ne unki qaum k zariye bachaye rakkha aur jaha tak baaqi paanch Hazraat ka talluq tha unhey mushrik pakad lete aur loohey ki zirah pehna kar tapti dhoonp mein lita dete, un mein se tamaam afraad ne apni zuban se kuffar k matlab ki baat ada kardi (aur apni jaan bacha li) siwa e hazrat Bilal Razi Allahu Anhu k, unhoney Allah ki raah mein apni jaan (k halaak hone) ki parwah na ki aur apni (mushrik) qaum k saamne zaleel aur ruswa hote rahe, mushrik unhey pakad lete aur ladko k hawaley kar dete jo unhey makkah ki ghatiyo mein ghaseet'te phirte aur Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu musalsal yahi kehte jate "Allah ek hai" "Allah ek hai". (Ibne Maja Kitabus Sunnah 1:122)


HAZRAT ANAS BIN NAZAR RAZI ALLAHU ANHU KA EMAAN

Hazrat Anas (bin Malik) Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unke chacha (Hazrat Anas bin Nazar Razi Allahu Anhu) gazwah e badr mein shareek na ho sake to unhone (apne aapse) ahad kiya k mein pehli jang mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka saath nahi de saka, lekin ayendah Allah ta'ala ne mujhe kisi jang mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki rifaqat naseeb farmayi to phir Allah dekhega k mein kese (Allah ki raah mein) ladta hu, phir gazwah uhad ka moqa aaya to musalman (maidan e jang mein) titar bitar ho gaye, Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehne lage "Ya Allah! musalmano ne jo kuch kiya hai us par mein teri janab mein ma'azrat paish karta hu aur mushriko ne jo zulm kiya hai us se izhaar baizaari karta hu (ye keh kar) talwar liye aagey badhte Hazrat Saad bin Muaaz Razi Allahu Anhu se mulaqaat ho gayi, Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmane lage "Saad! kaha jaate ho? mujhe to uhad pahaad k pichey se jannat ki khushboo aa rahi hai, Hazrat Anas Razi Allahu Anhu gaye aur qitaal shuru kar diya hatta k shaheed ho gaye, shahadat k baad unki laash pehchani na ja saki aur unki behan ne (hath par) til k nishan ya ungli k pour se unhey pehchana, unke jism par naizey, talwar aur teer k 80 se zaayid zakham they". (Sahih Bukhari Kitabul Magaazi)


HAZRAT UMAIR BIN HAMMAM RAZI ALLAHU ANHU KA EMAAN

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai k uhad k rooz ek aadmi (Hazrat Umair bin Hammam Razi Allahu Anhu) ne Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! agar mein jang mein maara jau to mera thikana kaha hoga?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein" Aadmi ne apne haath se khajoorey phenki aur ladna shuru kar diya hatta k shaheed ho gaya. (Sahih Bukhari Kitabul Magaazi)


HAZRAT SALMA BIN AKWAA RAZI ALLAHU ANHU KA EMAAN

Hazrat Salma bin Akwaa Razi Allahu Anhu farmate hai mein (islam laane se qabl) Talha bin Ubaidullah ka mulazim tha unke ghoodey ko pani pilata tha, uski peeth khujata tha aur unki khidmat karta tha aur uske aouz se khana khata (jab musalman hua to) mene apna ghar-baar aur maal o dolat sab kuch chood diya aur hijrat karke Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas chala aaya. (Sahih Muslim Kitabul Jihad was siyar)


HAZRAT ABU DAHDAAH RAZI ALLAHU ANHU KA EMAAN

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! fala shaks ki khajoor hai aur mein uske sahaare apni diwaar khadi karna chahta hu Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam usey hukm de k wo ye khajoor mujhe de de takey mein uske sahaare diwaar khadi kar saku, Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khajoor k malik se kaha "Ye khajoor ka darakht ise de do aur uske badle mein jannat ki khajoor le lo" lekin khajoor k malik ne inkaar kar diya, Hazrat Abu Dahdaah Razi Allahu Anhu khajoor k malik k paas aaye aur kaha "mera saara baagh le lo aur wo khajoor mujhe de do" (jo Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne tujhse maangi hai) khajoor k malik ne baagh k badle mein apni khajoor Abu Dahdaah Razi Allahu Anhu ko de di, Hazrat Abu Dahdaah Razi Allahu Anhu Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue aur arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mene apne baagh k badle mein wo khajoor khareed li hai, mene ye khajoor Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko di aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ye khajoor zaroorat-mand ko de de, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Abu Dahdaah k liye jannat mein kitne hi khooshey latkey hue hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye alfaaz kayi martaba ada farmaye, Hazrat Abu Dahdaah Razi Allahu Anhu apni ahliyah k paas aaye aur aawaaz di "Ummey Dahdaah! (Razi Allahu Anha) baagh se bahar nikal aao mene ye baagh jannat mein khajoor k badle mein baiche diya hai" Ummey Dahdaah Razi Allahu Anha ne (foran) kaha "Tumne bada nafa baksh sooda kiya hai" ya us se milta julta koi kalma kaha. (Tabraani, Musnad Ahmad Hadees no. 12482)


HAZRAT KHUZAIMA BIN SABIT RAZI ALLAHU ANHU KA EMAAN
Hazrat Khuzaima bin Sabit Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sawa'e bin Haris se ek ghooda kharida, Sawa'e bin Haris Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se (qeemat mein) jhagda karne laga, Hazrat Khuzaima Razi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k haqq mein gawahi di (k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam jo baat farmate hai wahi sahih hai baad mein) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Khuzaima Razi Allahu Anhu se daryaft farmaya "Khuzaima! tum to sooda karte waqt hamare paas nahi they, tumne kese gawahi di?" Hazrat Khuzaima Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam jo taleem laaye hai uski sacchayi ki bina par mene gawahi di hai aur mera ye emaan hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam haqq k alawah koi baat nahi karte" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Khuzaima (akela) jiske haqq mein gawahi de ya jiske khilaf gawahi de wo kaafi hai". (Majmua uz Zawahid Tehqeeq Abdullah Muhammad Darwaish Kitabul Manaqib 9:533)

Wazahat: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k is irshaad k baad Hazrat Khuzaima Razi Allahu Anhu Sahaba Razi Allahu Anhum mein zush shahadatain k laqab se mash'hoor ho gaye aur unki gawahi do gawaho k barabar shumar ki jaati, kaha jata hai k ahad e Siddeque mein tadweer e quran k waqt ye shart aayid ki gayi thi k har aayat tehreer karne se qabal do Sahaba E Kiram Razi Allahu Anhum se gawahi li jaye, Surah Ahzaab ki ek aayat (MINAL MOMINEENA RIJALUN......) k gawah sirf Khuzaima bin Sabit Razi Allahu Anhu they, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k irshad e mubarak k paish e nazar unki gawahi do aadmiyo k barabar shumar karke wo aayat likh li gayi. (Wallahu Aalam bis Sawaab)


EK SA'AADAT-MAND KHATOON KA EMAAN

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai ek aurat Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hui uske saath uski baiti bhi thi jiske haath mein sooney k do kangan they, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne daryaft farmaya "Kya tu unki zakaat ada karti hai?" Aurat ne arz kiya "nahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Kya tu ye pasand karti hai k un do kangano k badle mein Allah ta'ala qayamat k rooz tujhe do aagh k kangan pehnaaye?" (ye sun kar) aurat ne dono kangan utaar diye aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k khidmat mein paish kar diye aur kaha "Ye dono kangan Allah aur uske Rasool k liye hai". (Abu Dawood Kitabuz Zakaat Hadees no. 1:1382)


HAZRAT KAAB BIN MALIK RAZI ALLAHU ANHUM KA EMAAN

Hazrat Kaab bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai (gazwa e tabook mein adm shirkat ki lagzish par Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko mujhse guftago karne se mana farma diya tha) usi doraan (ek rooz) mein bazaar mein ja raha tha k mulk e shaam ka ek (isaayi) kisan jo k apna gallah bechne k liye madeena munawwarah ata tha, loogo se ye keh raha tha "Mujhe Kaab bin Malik ka pata kaun batayega?" loogo ne meri taraf isharah kiya to wo shami kisan mere paas aaya aur (roami governer) Shah Ghassan ka ek khat mujhe diya jisme ye likha tha "Amma Baad! mujhe maloom hua hai k tumhara sahib tum par zulm kar raha hai halankey Allah ne tumhey zaleel aur bekaar paida nahi kiya, lihaza (mein tumhey dawat deta hu k) hamare paas aa jao hum tumhari dil-jooyi karengey" mene khat padh kar soocha ye ek nayi aazmayish aayi, lihaza mein tannoor ki taraf gaya aur usko tannoor mein jala diya. (Sahih Bukhari Kitabul Magaazi)


HAZRAT SAAD BIN ABI WAQAAS RAZI ALLAHU ANHU KA EMAAN

Hazrat Mus'ab bin Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unke walid (Hazrat Saad bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu) kehte they k unke baare mein quran majeed ki kayi aayaat nazil hui (masalan unke emaan laane par) Ummey Saad ne ye qasam khaayi k jab tak Saad apna deen tark nahi karta wo us se baat karegi na khana khayegi na paani piyegi aur saath Saad Razi Allahu Anhu se ye kehti k Allah ne tujhe walidain ki ita'at ka hukm diya hai mein teri maa hu aur tujhe hukm deti hu k us deen ko chood de, Ummey Saad teen din tak isi tarah bhooki piyaasi rahi hatta k usey gushi k doorey padne lage tab uske ek baite amarah ne usey paani pilaya (hoosh mein aaney k baad) Hazrat Saad Razi Allahu Anhu ko bad-duwaye dene lagi (lekin Hazrat Saad Razi Allahu Anhu ne apna deen na chooda) aur Allah ta'ala ne quran majeed mein ye aayat nazil farmayi "Humne insan ko apne walidain k saath husn e salook ki takeed farmayi hai lekin agar wo tujhe mere saath shirk par majboor kare jiska tere paas koi saboot nahi to phir unki ita'at na kar albatta dunya mein unke saath naik salook karte raho". (Sahih Muslim Kitabul Fazail E Sahaba Razi Allahu Anhum
 
Top