Tauheed ki Ahmiyat


Shona shaikh

Active member
بسم الله الرحمن الرحيم

TAUHEED KI AHMIYAT

AQEEDAH E TAUHEED PAR EMAAN NA LAANE WALE JAHANNAM MEIN JAYENGE
Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu kehte hain ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
مَنْ مَاتَ يَجْعَلُ لِلَّهِ نِدًّا أُدْخِلَ النَّارَ​
"Jo shakhs is haal mein mare ke Allah ta'ala ke saath kisi ko shareek thehraaya tha to wo aag mein dakhil hoga".
(Sahih Bukhari Kitabul Aimaan Wan-Nuzur, Hadees No: 6683)

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Jisne Allah ta'ala se is haal mein mulaqaat ki k uske saath kisi ko shareek nahi thehraaya wo jannat mein dakhil hoga, jo Allah ta'ala se is haal mein mila k usne Allah ta'ala k saath shirk kiya ho wo jahnnam mein jayega".
(Sahih Muslim Kitabul Emaan)

TAUHEED KA IQRAAR NA KARNE WALO KO NABI SE QARABAT-DARI BHI JAHANNAM KE AZAAB SE NAHI BACHA SAKTI
Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: "Jahannamiyo mein se sabse halka azaab Abu Talib ko hoga wo aag ki 2 jootiya pehne honge jis'se unka dimaag khool raha hoga".
(Sahih Muslim Kitabul Emaan, Hadees No: 212)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE HAZRAT MUAAZ RAZI ALLAHU ANHU KO SHIRK KARNE KI BAJAYE QATAL HO JAANE YA AAG MEIN JALL JAANE KI NASIHAT FARMAYI

عَنْ مُعَاذٍ قَالَ : أَوْصَانِي رَسُولُ اللَّهِ - صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ - بِعَشْرِ كَلِمَاتٍ ، قَالَ : " لَا تُشْرِكْ بِاللَّهِ شَيْئًا ، وَإِنْ قُتِلْتَ وَحُرِّقْتُ ، وَلَا تَعُقَّنَّ وَالِدَيْكَ وَإِنْ أَمَرَاكَ أَنْ تَخْرُجَ مِنْ أَهْلِكَ وَمَالِكَ ، وَلَا تَتْرُكَنَّ صَلَاةً مَكْتُوبَةً مُتَعَمِّدًا ؛ فَإِنَّ مَنْتَرَكَ صَلَاةً مَكْتُوبَةً مُتَعَمِّدًا فَقَدْ بَرِئَتْ مِنْهُ ذِمَّةُ اللَّهِ ، وَلَا تَشْرَبَنَّ خَمْرًا فَإِنَّهُ رَأَسَ كُلِّ فَاحِشَةٍ ، وَإِيَّاكَ وَالْمَعْصِيَةَ ؛ فَإِنَّ بِالْمَعْصِيَةِ حَلَّ سَخْطُ اللَّهِ ، وَإِيَّاكَ وَالْفِرَارَ مِنَ الزَّحْفِ ، وَإِنْ هَلَكَ النَّاسُ ، وَإِذَا أَصَابَ النَّاسَ مُوْتَانٌ وَأَنْتَ فِيهِمْ فَاثْبُتْ ، أَنْفِقْ عَلَى عِيَالِكَ مِنْ طَوْلِكَ ، وَلَا تَرْفَعْ عَنْهُمْ عَصَاكَ أَدَبًا وَأَخِفْهُمْ فِي اللَّهِ​
Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne mujhe 10 baaton ki takeed farmayi:
1. Allah ta'ala k saath kisi ko shareek na karna khawah tumhey qatal kar diya jaye ya aag mein jala diya jaye.
2. Apne walidayen ki nafarmaani na karna khawah tumhey tumhare ahal aur maal se alag hone ka hukm de.
3. Jaan-boojh kar farz namaz tark na karna kyunki jisne farz namaz jaan-boojh kar tark ki wo Allah ta'ala ki hifazat ya bakhshish k zimmey se nikal gaya.
4. Sharaab na peena kyunki ye tamaam be hayaiyo ka sar chashma (ya jadd) hai.
5. Gunah se bachna kyunki gunah se Allah ta'ala ka gazab nazil hota hai.
6. Maidaan e jang se bhaagne se guraiz karna khawah loog mar rahey ho.
7. Jab (kisi jagah ya baya beemari k baa'as) loog marne lagey aur tum pehle se waha muqeem ho to wahi thehrey rehna.
8. Apne ahle wa ayaal par tofeeq k mutabiq kharch karna.
9. Apne ahle wa ayaal ko (deen par chalne k liye) laathi k istemaal se guraiz na karna.
10. Aur Allah ta'ala k baare mein unhe daraatey rehna.
(Musnad Ahmad: 22075, Tabaraani, Sahih At-targheeb wat-tarheeb Kitabus Salaat: 570)
* Allama Albani Rahimahullah Irwa ul Ghaleel Mein Is Hadees Ki Takhreej Ke Baad Likhte Hain:
وجملة القول أن الحديث بهذه الطرق والشواهد صحيح بلا ريب​
Yani, khulaasa e qaul yeh hai ki bila shuba yeh Hadees in Turuq aur Shawahid ki bina par Sahih hai.
(Irwa ul Ghaleel: 2026)

AQEEDAH E TAUHEED PAR EMAAN NA RAKHNE WALE KO USKE NAIK AAMAAL QAYAMAT KE DIN KOI FAIDA NAHI DENGE

عَنْ عَائِشَةَ، قَالَتْ قُلْتُ يَا رَسُولَ اللَّهِ ابْنُ جُدْعَانَ كَانَ فِي الْجَاهِلِيَّةِ يَصِلُ الرَّحِمَ وَيُطْعِمُ الْمِسْكِينَ فَهَلْ ذَاكَ نَافِعُهُ قَالَ ‏ "‏ لاَ يَنْفَعُهُ إِنَّهُ لَمْ يَقُلْ يَوْمًا رَبِّ اغْفِرْ لِي خَطِيئَتِي يَوْمَ الدِّينِ​
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se arz kiya ke Aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! "Jud'aan ka beta zamana e jahiliyat mein sila rahmi karta tha miskeen ko khana khilata tha kya ye kaam use faida denge?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "use kuch faida na denge kyunki usne kabhi yun nahi kaha: "Aye mere Rabb! qayamat k din mere gunah maaf farmana".
(Sahih Muslim Kitabul Emaan, Hadees No: 214)

AQEEDAH E TAUHEED PAR EMAAN NA RAKHNE WALE KO MARNE K BAAD KISI DOOSRE SHAKS KI DUA YA NAIK AMAL KA SAWAAB NAHI PAHUNCHTA

حَدَّثَنَا هُشَيْمٌ ، أَخْبَرَنَا حَجَّاجٌ ، حَدَّثَنَاعَمْرُو بْنُ شُعَيْبٍ ، عَنْ أَبِيهِ ، عَنْ جَدِّهِ ، أَنَّ الْعَاصَ بْنَ وَائِلٍ نَذَرَ فِي الْجَاهِلِيَّةِ أَنْ يَنْحَرَ مِائَةَ بَدَنَةٍ ، وَأَنَّ هِشَامَ بْنَ العاص نَحَرَ حِصَّتَهُ ، خَمْسِينَ بَدَنَةً ، وَأَنَّ عَمْرًا سَأَلَ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنْ ذَلِكَ ؟ فَقَالَ : أَمَّا أَبُوكَ ، فَلَوْ كَانَ أَقَرَّ بِالتَّوْحِيدِ ، فَصُمْتَ ، وَتَصَدَّقْتَ عَنْهُ ، نَفَعَهُ ذَلِكَ​
Hazrat Abdullah bin Amr Razi Allahu Anhuma se riwayat hai k Aas bin Wayel ne jahiliyyat mein 100 oont qurbaan karne ki nazar maani thi Hishaam bin Aas ne apne hissey k 50 oont zibah kar diye lekin Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se masla daryaft kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar tumhara baap tauheed parast hota aur tum uski taraf se roozey rakhte ya sadqa karte ho use sawaab mil jaata".
(Musnad Ahmad: (2/182) Hadees No: 6665, Muntaqa ul Akhbaar Li-Ibne Taumiyah, Kitabul Janaiz)
* Shaikh Ahmad Shakir ne is Hadees ki Sanad ko Sahih kaha hai.
(Musnad Ahmad: 10/176)
* Allama Albani Rahimahullah ne bhi is Hadees ki Sanad ko Sahih kaha hai.
(Silsila As-Sahiha: 1/873)

TAUHEED KA IQRAAR NA KARNE WALO K KHILAAF HAKOOMAT E WAQT KO JANG KARNE KA HUKM HAI.

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ أُمِرْتُ أَنْ أُقَاتِلَ النَّاسَ حَتَّى يَشْهَدُوا أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَيُؤْمِنُوا بِي وَبِمَا جِئْتُ بِهِ فَإِذَا فَعَلُوا ذَلِكَ عَصَمُوا مِنِّي دِمَاءَهُمْ وَأَمْوَالَهُمْ إِلاَّ بِحَقِّهَا وَحِسَابُهُمْ عَلَى اللَّهِ ‏​
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya "Mujhey loogo se ladne ka hukm diya gaya hai yaha tak ke wo "LA ILAHA ILLALLAH" ka iqraar karen, mujh par emaan layen, meri layi hui talimaat par emaan layen agar wo aisa karen to unhone apne khoon (yaani jaanen) aur apne maal mujhse bacha liye magar haqq k badle aur unke aamaal ka hisaab Allah ta'ala k zimme hai".
(Sahih Muslim Kitabul Emaan, Hadees No: 21)

WAZAHAT: 1. Magar haqq k badley ka matalab ye hai k agar wo koi aesa kaam kare jiski saza qatal ho masalan qatal ya zina murtad hona wagairah to phir unhe shariyat k mutabiq qatal ki saza di jayegi.
2. Tauheed ka iqraar na karne wale agar islaami haqoomat k tahat zayy ban kar rehna qubool karle to phir unke khilaaf jang nahi hogi (yaani islami huqumat k mutabiq rahey).
 
Last edited:

Similar threads


Top