11 Rakat Taraweeh Ke Mutalliq Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha Ki Hadees


Abdul Adil

Member
Imam Bukhari Rahimaullah (Died 256 H) Farmate hai

حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ ، قَالَ : حَدَّثَنِي مَالِكٌ ، عَنْ سَعِيدٍ الْمَقْبُرِيِّ ، عَنْ أَبِي سَلَمَةَ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ ، أَنَّهُ سَأَلَ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا : كَيْفَ كَانَتْ صَلَاةُ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي رَمَضَانَ ؟ فَقَالَتْ : مَا كَانَ يَزِيدُ فِي رَمَضَانَ وَلَا فِي غَيْرِهِ عَلَى إِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً ، يُصَلِّي أَرْبَعًا ، فَلَا تَسَلْ عَنْ حُسْنِهِنَّ وَطُولِهِنَّ ، ثُمَّ يُصَلِّي أَرْبَعًا ، فَلَا تَسَلْ عَنْ حُسْنِهِنَّ وَطُولِهِنَّ ، ثُمَّ يُصَلِّي ثَلَاثًا ، فَقُلْتُ : يَا رَسُولَ اللَّهِ ، أَتَنَامُ قَبْلَ أَنْ تُوتِرَ ، قَالَ : يَا عَائِشَةُ ، إِنَّ عَيْنَيَّ تَنَامَانِ وَلَا يَنَامُ قَلْبِي

Hazrat Abu Salmah Bin Abdurrahman Rahimaullah ne Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se poocha ki Rasoolullah ﷺ Ramzan me kitni rakat padhte the? to unhone batlaya ki Ramzan Ho ya gair ramzan Aap ﷺ Gyarah (11) rakat se jyada nahi padhte the. Aap ﷺ pahle 4 rakat padhte tum unke husn wa khoobi aur tol ka haal na poocho , fir 4 rakat padhte unke bhi hushn wa khoobi aur tol ka hal na poocho, akhir me 3 rakat (witr) padhte the , maine ek baar pocha Aie Allah ke Rasool ﷺ kya Aap witr padhne se pahle so jate hai? To Aap ﷺ ne farmaya Aie Ayesha meri aankhe soti hai lekin mera dil nahi sota

[Sahih Bukhari Hadees Number 2013]

Imam Bukhari Rahimaullah ne ye riwayat Kitab ut Taraweeh me nakal karke ye baab bandha hai 👇

بَابُ فَضْلِ مَنْ قَامَ رَمَضَانَ

Ramzan me Qayam karne ki fazilat.


b] Imam Baihaqi Rahimaullah Ne is Hadees ko is Baab me nakal kiya hai

"بـاب مـا روى في عدد ركعات القيام في شهر رمضان “

Ramzan Me Taraweeh me tadad ke bayan me jikr

[Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Kitab us Salat Jild-3 Hadees Number 1219]

c] Imam Abu Hanifa Rahimaullah ke Shagird Imam Muhammad Hasan As-Shaibani Rahimaullah ne Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ki hadees ko is Baab me jikr kiya hai 👇

قيام شهر رمضان وما فيه من الفضل“

Yani Ramzan Me Taraweeh padhne aur uski fazilat ke bayan ke tahat jikr.

[Moatta Imam Muhammad Jild-1 Hadees Number - 238]

d] IMAM ABU BAKAR AL BUSEERI Rahimaullah 20 RAKA’AT wali HADEES par TABSERA karte huye farmate hain 👇

وَمَدَارُ أَسَانِيدِهِمْ عَلَى إِبْرَاهِيمَ بْنِ عُثْمَانَ أَبِي شَيْبَةَ، وَهُوَ ضَعِيفٌ، وَمَعَ ضَعْفِهِ مُخَالِفٌ لِمَا رَوَاهُ مُسْلِمٌ فِي صَحِيحِهِ مِنْ حَدِيثِ عَائِشَةَ قَالَتْ: “كَانَتْ صَلَاةَ رَسُولِ اللَّهِ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – بِاللَّيْلِ فِي رَمَضَانَ وَغَيْرِهِ ثَلَاثَ عشرة ركعة منها ركعتي الْفَجْرِ.

Ki un ki SANADO ka DAROMADAR IBNRAHIM BIN USMAN ABU SHAIBA par hai aur ye ZA’EEF hai aur ZA’EEF hone ke sath sath ye (HADEES) us HADEES ke KHILAF bhi hai jise IMAM MUSLIM Rahimaullah ne apni SAHEEH me AMMA AAISHA Razi Allahu Anha ki HADEES se RIWAYAT kiya hai ki unhone farmaya ki ALLAH ke RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki RAAT ki NAMAZ RAMAZAN aur GHAIR E RAMAZAN me 13 RAKA’AT hoti thi aur unme FAJR ki 2 RAKA’AT SHAMIL hoti thi

[ITHAF AL KHAIRAH JILD 2 SAFA 384]

NOTE:- IMAM BUSEERI Rahimaullah ne HADEES E AAISHA Razi Allahu Anha ko 20 RAKA’AT wali HADEES ke MUQABLE me PESH kiya ye SABIT karne ke liye ki 20 RAKA’AT wali ZA’EEF hai aur 8 RAKA’AT wali SAHEEH hai ab FAISLA kar len ki agar is HADEES se MURAAD TARAWEEH nahi hai to phir 20 ke MUQABLE me is HADEES ko pesh kyon kiya?

e] IMAM IBN HAJAR Rahimaullah farmate hain

وَأما مَا رَوَاهُ بن أبي شيبَة من حَدِيث بن عَبَّاسٍ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُصَلِّي فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً وَالْوِتْرَ فَإِسْنَادُهُ ضَعِيفٌ وَقَدْ عَارَضَهُ حَدِيثُ عَائِشَةَ هَذَا الَّذِي فِي الصَّحِيحَيْنِ مَعَ كَوْنِهَا أَعْلَمَ بِحَالِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَيْلًا مِنْ غَيرهَا

Ki aur IBNE ABI SHAIBA ne IBNE ABBAS Razi Allahu Anha ki HADEES se jo RIWAYAT kiya hai ki ALLAH ke RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM RAMAZAN me 20 RAKA’AT aur WITR padhte the to iski SANAD ZA’EEF hai aur SAHEEHAIN me MAUJOOD AMMA AAISHA Razi Allahu Anha ki HADEES is HADEES ke KHILAF hai mazeed ye ki AMMA AAISHA Razi Allahu Anha AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki RAAT ki NAMAZ se MUTA’ALLIQ doosron se ZYADA JAANKAR hain

[ FATAHUL BARI JILD-4 SAFA 254]

NOTE:- IMAM IBN HAJAR Rahimaullah ne HADEES E AAISHA Razi Allahu Anha ko 20 RAKA’AT wali HADEES ke MUQABLE me PESH kiya ye SABIT karne ke liye ki 20 RAKA’AT wali ZA’EEF hai aur 8 RAKA’AT wali SAHEEH hai ab FAISLA kar len ki agar is HADEES se MURAAD TARAWEEH nahi hai to phir 20 ke MUQABLE me is HADEES ko pesh kyon kiya?

f] IMAM JALALUDDIN SUYUTI Rahimaullah 20 RAKA’AT wali HADEES par JARAH naqal karte huye farmate hain

مَعَ تَصْرِيحِ الْحَافِظَيْنِ الْمَذْكُورَيْنِ نَقْلًا عَنِ الْحُفَّاظِ بِأَنَّ هَذَا الْحَدِيثَ مِمَّا أُنْكِرَ عَلَيْهِ، وَفِي ذَلِكَ كِفَايَةٌ فِي رَدِّهِ، وَهَذَا أَحَدُ الْوُجُوهِ الْمَرْدُودِ بِهَا.

Ki aur MAZKOORAH dono HUFFAZ ka HUFFAZ ke HAWALA se ye SARAHAT karna ki ye HADEES ABU SHAIBA ki MUNKIR HADEES hai itni baat is HADEES ke MARDOOD hone ke liye kaafi hai aur ye ASBAB E RADD me se ek SABAB hai

[AL HAAWI LIL FATAWI JILD 1 SAFA 348]

NOTE:- IMAM JALALUDDIN SUYUTI Rahimaullah ne ye QAUL NAQAL karne ke fauran baad HADEES E AAISHA Razi Allahu Anha wali HADEES laaye hain ye SAABIT karne ke liye ki SAHEEH HADEES yahi hai

Faisla kar len ki agar HADEES E AAISHA Razi Allahu Anha se MURAAD MURAAD TARAWEEH nahi hai to phir kyun 20 RAKA’AT ke MUQABLE me is HADEES ko laaye hain?

g] HANAFIYON ke IMAM ZAYLI Rahimaullah farmate hain

وَهُوَ مَعْلُولٌ، بِأَبِي شَيْبَةَ إبْرَاهِيمَ بْنِ عُثْمَانَ، جَدِّ الْإِمَامِ أَبِي بَكْرِ بْنِ أَبِي شَيْبَةَ، وَهُوَ مُتَّفَقٌ عَلَى ضَعْفِهِ، وَلَيَّنَهُ ابْنُ عَدِيٍّ فِي “الْكَامِلِ”، ثُمَّ إنَّهُ مُخَالِفٌ لِلْحَدِيثِ الصَّحِيحِ عَنْ أَبِي سَلَمَةَ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ أَنَّهُ سَأَلَ عَائِشَةَ، كَيْفَ كَانَتْ صَلَاةُ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي رَمَضَانَ؟، قَالَتْ: مَا كَانَ يَزِيدُ فِي رَمَضَانَ، وَلَا فِي غَيْرِهِ، عَلَى إحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً،

Ki ye RIWAYAT IBN ABI SHAIBA ke DADA ABU SHAIBA IBRAHIM BIN USMAN ki waja se MA’LOOL hai aur ye BIL-ITTEFAQ ZA’EEF hai aur IBN ADEE ne AL KAMIL me ise ZA’EEF QARAR diya hai nez ye us HADEES ke KHILAF bhi hai jisme hai ki ABU SALMAH BIN ABDURRAHMAN ne HAZRAT AAISHA Razi Allahu Anha se poocha RAMAZAN me ALLAH ke RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki NAMAZ kaisi hoti thi? To AMMA AAISHA Razi Allahu Anha ne JAWAB diya RAMAZAN ho ya GHAIR RAMAZAN ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM 11 RAKA’AT se ZYADA nahi padhte the

[ NASAB UR RA’YA JILD 2 SAFA 153]

NOTE:- IMAM ZAYLI Rahimaullah ne HADEES E AAISHA Razi Allahu Anha ko 20 RAKA’AT wali HADEES ke MUQABLE me PESH kiya ye SABIT karne ke liye ki 20 RAKA’AT wali ZA’EEF hai aur 8 RAKA’AT wali SAHEEH hai ab FAISLA kar len ki agar is HADEES se MURAAD TARAWEEH nahi hai to phir 20 ke MUQABLE me is HADEES ko pesh kyon pesh kiya?

h] HANAFIYON ke IMAM IBN HAMMAM AL HANAFI Rahimaullah farmate hain

وَأَمَّا مَا رَوَى ابْنُ أَبِي شَيْبَةَ فِي مُصَنَّفِهِ وَالطَّبَرَانِيُّ وَعِنْدَ الْبَيْهَقِيّ مِنْ حَدِيثِ ابْنِ عَبَّاسٍ «أَنَّهُ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – كَانَ يُصَلِّي فِي رَمَضَانَ عِشْرِينَ رَكْعَةً سِوَى الْوِتْرِ» فَضَعِيفٌ بِأَبِي شَيْبَةَ إبْرَاهِيمَ بْنِ عُثْمَانَ جَدِّ الْإِمَامِ أَبِي بَكْرِ بْنِ أَبِي شَيْبَةَ مُتَّفَقٌ عَلَى ضَعْفِهِ مَعَ مُخَالِفَتِهِ لِلصَّحِيحِ

Ki aur jise IBN ABI SHAIBA ne MUSANNIF me aur TABRANI ne RIWAYAT kiya hai aur jo BAYHAQI me IBN ABBAS Razi Allahu Anhu se MARWI hai ki ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM RAMAZAN me WITR ke ALAWA 20 RAKA’AT padhte the to ye ABU SHAIBA IBRAHIM BIN USMAN ki waja se ZA’EEF hai aur iske ZA’EEF hone par ITTEFAQ hai uske baad ye HADEES SAHEEH HADEES (HADEES E AAISHA Razi Allahu Anha) ke KHILAF bhi hai

[SHARAH FATAHUL QADEER JILD 1 SAFA 485]

NOTE:- IMAM IBN HAMMAM AL HANAFI Rahimaullah ne HADEES E AAISHA Razi Allahu Anha ko 20 RAKA’AT wali HADEES ke MUQABLE me PESH kiya ye SABIT karne ke liye ki 20 RAKA’AT wali ZA’EEF hai aur 8 RAKA’AT wali SAHEEH hai ab FAISLA kar len ki agar is HADEES se MURAAD TARAWEEH nahi hai to phir 20 ke MUQABLE me is HADEES ko pesh kyon kiya?

i] HANAFIYON ke ABUL TAYYAB ABDUL QADIR AL SINDI AL HANAFI farmate hain

وورد عن ابن عباس قال كان رسول الله صلي الله عليه وسلم يصلي في رمضان عشرين ركعة والوتر،رواه ابن ابي شيبة واسناده ضعيف وقد عارضه حديث عائشة هذا وهو في الصحيحين فلا تقوم به الحجه

Ki aur IBN ABBAS Razi Allahu Anhu se marwi hai ki ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM RAMAZAN me 20 RAKA’AT aur WITR padhte the ise IBN ABI SHAIBA ne RIWAYAT kiya hai iski SANAD ZA’EEF hai aur AMMA AAISHA Razi Allahu Anha ki ye HADEES iske KHILAF hai aur ye SAHEEHAIN me hai lehaza 20 RAKA’AT wali RIWAYAT se HUJJAT QAAYEM nahi ho sakti

[SHARAH TIRMIZI JILD 1 SAFA 423]

NOTE:- ABDUL QADIR SINDI HANAFI Rahimaullah ne HADEES E AAISHA Razi Allahu Anha ko 20 RAKA’AT wali HADEES ke MUQABLE me PESH kiya ye SABIT karne ke liye ki 20 RAKA’AT wali ZA’EEF hai aur 8 RAKA’AT wali SAHEEH hai ab FAISLA kar len ki agar is HADEES se MURAAD TARAWEEH nahi hai to phir 20 ke MUQABLE me is HADEES ko pesh kyon kiya?

j] MAULANA JAMEEL AHMAD HANAFI
farmate hain

Ki baaz saheeh riwayaton se Rasoolullah ﷺ ne witr samet Taraweeh ki 11 rakat padhi aur baaz se 20 rakat ka saboot milta hai . 11 rakat Abu Salmah Bin Abdurrahman se sabit hak HADEES me alfaz ye hai Abu Salmah Bin Abdurrahman Rahimaullah kahte hai ki maine Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se daryaaft kiya ki Ramzan Me Rasoolullah ﷺ ki namaz kis tarah thu? Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne kaha Allah ke Rasool ﷺ Ramzan aur Gair Ramzan me 11 rakat se jyada nahi padhte the yani 8 taraweeh aur 3 witr

[ASHRAF UL HIDAYAH JILD 2 SAFA 203]

k] ABDUL HAQ DEHLAWI Rahimaullah farmate hain

وروي ابن عباس انه صلّی رسول الله صلی الله عليه وسلم عشرين ركعة في رمضان ثم أوتر بثلث لكن المحدثين قالوا ان هذا الحديث ضعيف والصحيح ما روته عائشة رضي الله عنها صلّی احدي عشرة ركعة كما هوا عادتة في قيام الليل وروي انه كان بعض السلف في عهد عمر بن عبدالعزيز يصلون احدي عشرة ركعة قصدا للتشبه برسول الله صلی الله عليه وسلم


Ki aur IBNE ABBAS RAZI ALLAHU ANHU RIWAYAT karte hain ki NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne 20 RAKA’ATEN padhi phir uske baad 3 WITR padhi lekin MUHADDIS kahte hain ki ye HADEES ZA’EEF hai aur SAHEEH wahi hai jo HAZRAT AAISHA Razi Allahu Anha RIWAYAT karti hain ki NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne 11 RAKA’ATEN padhi jaisa ki QYAM UL LAYL me AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki aadat thi aur RIWAYAT hai ki BAAZ BUZURG UMAR Razi Allahu Anhu ke OHOD me 11 RAKA’AT padha karte the is GARZ se ki RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM se MUSHABIHA

[MA SABAT BISSUNNAH FI AYAAMIS SANAHSAFA 218]

NOTE:- ABDUL HAQ DEHLAWI Rahimaullah KE QAUL SE YE WAAZEH HO GAYA KI HAZRAT AAISHA Razi Allahu Anha KI HADEES SE MURAAD TARAWEEH HI HAI

l] MAULANA ANWAR SHAH KASHMIRI AL HANAFI Rahimaullah farmate hain

ولا مناص من تسليم أن تراويحه كانت ثمانية ركعات ولم يثبت في رواية من الروايات أنه صلى التراويح والتهجد على حدة في رمضان

Ki aur iske TASLEEM karne se koi CHUTKARA nahi hai ki AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki TARAWEEH 8 RAKA’AT thi aur RIWAYATON me kisi ek RIWAYAT me bhi ye SABIT nahi ki AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne RAMAZAN me TARAWEEH aur TAHAJJUD ALAHIDAH padhi hon.

Aur thoda aage chal kar farmate hain

وأما النبي – صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – فصح عنه ثمان ركعات، وأما عشرون ركعة فهو عنه بسند ضعيف وعلى ضعفه اتفاق

Ki rahi NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM to AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM se 8 RAKA’ATEN SABIT hain aur rahi 20 RAKA’ATEN to wo AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM se ZA’EEF SANAD ke sath hai aur iske ZA’EEF hone par SAB ka ITTEFAQ hai

[ARF US SHUZI SHARAH SUNAN TIRMIZI JILD 2 SAFA 208]

Note :- Darool Uloom Dewband ke shaikh ul hadees Janab Anwar Shah Kashmiri Hafizahullah ke mutabik Rasoolullah ﷺ se Taraweeh aur Tahajjud alag alag padhna SABIT nahi hai. mazeed unhone kaha isko tasleem karne ke alawa koyi aur option nahi hai.

m] Abdul Hayi Lakhnawi Hanafi Rahimahullah ne Moatta IMAM Muhammad ke is baab ki tashreeh karte huye likhe hai

"قوله: (قيـام شهـر رمـضـان ويسمى التراويح“

Yaani Mah E Ramzan Ke Qayam ka name taraweeh


[ التعليق الممجد للكنوي:- 351/1]

n] Tableegi Soofi Alim Janab Tarik Jameel Hafizahullah ne bhi Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ke 20 wali hadees ko zaeef Kahte huye kahte hai ki sahih RIWAYAT 8 hi hai jise Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne nakal kiya hai .

Youtube link 👇

 

Similar threads


Top