Kya Hamare Liye Deen e Islam Kaafi Nahi ❓


Ibnatu Ali

Member
Kya Hamare Liye Deen e Islam Kaafi Nahi❓

Tehreer: Umar Asari
Kuch Aise Hi Swaal Mere Zehn o Dimaagh Ko Jhanjhood Kar Rakh Dete Hain.

“Kya Hamare Liye Islam Kaafi Nahi”❓
Ye Ek Chubhta Hua Swaal Hai.
Agar Aap Kisi Musalmaan Se Yahi Sawaal Karen To Wo Yahi Kahega Ki Bilkul Hamare Liye Islam Kaafi Hai.
Fir Usse Agar Aap Poochen Ki Jab Hamare Liye Islam Kaafi Hai To Fir Kiun Doosron Ki Tahzeeb Apnate Ho To Jawaab Sun Kar Pairon Tale Zameen Khisak Jaati Hai. Unka Jawaab Sirf Do Tok Hota Hai Ki Hamare Liye Islam Kaafi Hai Lekin Modern Daur (Era) Ka Taqaza Hai.

Afsoos Hai Aise Logon Par Jo Ye Excuse Karte Hain Ki Modern Zamane Ka Taqaza Hai Isliye Karna Padta Hai.

Haye Afsoos❕Goya Ki Deen e Islam Mukammal Nahi Hai❓
Ya Deen e Islaam Ki Taaleemat Daqyanoosi (Purani) Hain❓

Nauzubillah ❕Apne Aap Ko Musalmaan Kahne Walon Zara Allah Ka Farmaan To Sun Lo:
ٱلْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِى وَرَضِيتُ لَكُمُ ٱلْإِسْلَٰمَ دِينًا​
Tarjumah: Aaj Mein Ne Tumhare Liye Tumhare Deen Ko Mukammal Kar Diya or Tum Par Apna In'aam Bharpoor Kar Diya or Tumhare Liye Islam Ke Deen Hone Par Raazi Ho Gya.
(Surah Al Maidah: Surah Number: 5 Aayat Number: 3)

Is Aayat Se Hamein Do Batein Maaloom Hoti Hain:
Ek To Ye Ki Deen Mukammal Ho Chuka Hai or Ab Usmein Izafe Ki Gunjaish Nahi.
Doosri Baat Ye Maloom Hue Ki Allah Ta'ala Ne Deen e Islam Ko Deen Ke Taur Par Pasand Kar Liya or Deen e Islam Se Razi Ho Gaya.
Zara Gaur Karo Muslmaano❕ Kya Hamare Liye Ye Baat Kaafi Nahi Ki Allah Ne Hamare Deen Ko Pasand Kar Liya Hai❓

Zara Soocho Musalmaano Kya Hamare Liye Islam Ki Tahzeeb Kaafi Nhi Jo Ham Doosron Ki Tahzeeb Ko Apnane Ki Koshish Karte Hain❓

Musalmaano❕Kiun Tum Western Countries Ke Culture Ko Apnane Ki Koshish Krte Ho❓
Tum Kiun Birthday Or New Year Celebrate Karte Ho❓

Ek Waqt Tha Log Hamari Tahzeeb (Culture) Ko Apnate The Lekin Aaj Ye Hamein Kya Ho Gya Hai Ki Hum Ghairon Ke Culture Ko Apna Rhe Hain❓

Afsoos Ka Maqaam Hai Ki Aaj Musalmaano Mein Islami Tahzeeb (Culture) Dhondne se Bhi Nahi Milti Balki Aaj Musalmaan Western Culture Ke Deewane Ho Gaye Hain or Unki Koshish Yahi Rahti Hai Ki Western Culture Ke Rang Mein Rang Jayen or Iski Bharpoor Koshish Ab Bhi Jaari Hai Birthday Manana or New Year Celebrate Karna Unhi Ki Tahzeeb Hai Fir Kiun Musalmaano Unki Tahzeeb Ko Apna Rahe Ho❓

Yaad Rakho Musalmaano❕ Islaam Iski Ijazat Nahi Deta Hai Ki Tum Islami Tahzeeb Ko Bhula Kar Western Culture Ke Rang Mein Rang Jao. Islam To Saaf Taur Se Isse Rokta Hai Or Kahta Hai:
عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ مَنْ تَشَبَّهَ بِقَوْمٍ فَهُوَ مِنْهُمْ ‏"‏ ‏.‏​
Tarjumah: Hazrat Ibne Umar RadhiAllah Anhuma Se Riwayat Hai Ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki Jisne Kisi Qaum Ki Mushabihat Ikhitiyar Ki To Wo Unhein Mein Se Hai.
(Sunan Abi Dawud 4031)
{Grade: Hasan Sahih (Al-Albani)}


Isliye Musalmaano❕Allah Ke Waste Allah Se Daro or Allah Ke Dushmano Ki Tahzeeb Ko Mat Apnao. Apne Kaan Khol Kar Sun Lo Musalmaano Allah Tumse Kya Kah Raha Hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَتَّخِذُوا الَّذِينَ اتَّخَذُوا دِينَكُمْ هُزُوًا وَلَعِبًا​
Tarjumah: Musalmano! Un Logon Ko Dost Na Banao Jo Tumharay Deen Ko Hansi Khel Banaye Huye Hain
(Surah Al Maidah: 5, Aayat No: 57)

Yaad Rakho Musalmaano❕Islaam Ke Apne Taur Tareeqe Hain Uski Apni Tahzeeb Hai.
Or Quran Ne Elaan Kiya Hai Ki Jo Waqaee Ghairat e Imaani Rakhne Wala Musalman Hai Aur Haqeeqi Iman Ki Daulat Se Malamaal Hai Us Ke Dil Mein Ghairon Ki Dosti Aur Mohabbat Parwaan Nahi Chadh Sakti:
لَا تَجِدُ قَوْمًا يُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ يُوَادُّونَ مَنْ حَادَّ اللَّهَ وَرَسُولَهُ وَلَوْ كَانُوا آبَاءَهُمْ أَوْ أَبْنَاءَهُمْ أَوْ إِخْوَانَهُمْ أَوْ عَشِيرَتَهُمْ أُولَئِكَ كَتَبَ فِي قُلُوبِهِمُ الْإِيمَانَ وَأَيَّدَهُمْ بِرُوحٍ مِنْهُ​
Tarjumah: Allah Ta'alaa Par aur Qayamat Ke Din Par Emaan Rakhne Walon Ko Aap Allah aur Us Ke Rasool Ki Mukhalifat Karne Walon Se Mohabbat Rakhte Hue Hargiz Na Payenge Go (Agarche) Woh Un Ke Baap Ya Un Ke Betey Ya Un Ke Bhai Ya Un Ke Kunbay (Qabeelay) Ke (Aziz) Hi Kiun Na Hon. Yhi Log Hain Jin Ke Dilon Mein Allah Ta'alaa Ne Emaan Likh Diya Hai aur Jin Ki Taeed Apni Rooh Se Ki Hai..
(Surah Al-Mujadalah: Surah No: 58, Ayat No:22)

Aaj Zaroorat Is Baat Ki Hai Ki Islami Tahzeeb Ko Aam Kiya Jaye (Failaya Jaye) or Maghribi Tahzeeb (Western Culture) Se Apna Rishta Bilkul Band Kar Diya Jaye or Ye Usi Waqt Hoga Jab Hum Apne Andar Aise Umdah or Achche Akhlaaq o Sifaat Paida Karenge Jo Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam, Sahaba e Kiraam, Tabieen e Izaam or Salaf e Saliheen Ke Andar The.

Aakhir Mein Allah Ta'ala Se Dua Karta Hun Ki Aye Hamare Parwardigaar Hamare Andar Emaani Jazba Paida Kar Or Hamein Islami Tahzeeb Ke Rang Mein Rangne Ki Taufeeq Ata Farma.
Aameen.
 

Similar threads


Top