TARAWEEH 8 RAKA'AT HI SUNNAT HAI AHNAF KI GAWAHI

1- IMAM IBN HAMMAM AL HANAFI RH likhte hain

فَتَحْصُلُ مِنْ هَذَا كُلِّهِ أَنَّ قِيَامَ رَمَضَانَ سُنَّةٌ إحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً بِالْوِتْرِ فِي جَمَاعَةٍ
Ki is sab ka HAASIL (nateeja) ye hai ki QAYAM E RAMAZAN (TARAWEEH) 11 RAKA’AT MA’A WITR , JAMA’AT ke sath SUNNAT hai.
[[ FATAHUL QADEER SHARAH AL HIDAYAH JILD 1 SAFA 485,486]]

SCAN

2- IMAM SAYYAD AHMAD AL TAHTAWI HANAFI RH likhte hain

لأنّ النبي عليه الصلٰوة والسلام لم يصلها عشرين،بل ثماني
Kyonki NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne 20 (RAKA’AT) nahi padhi balki 8 RAKA’AT padhi.
[[ HAASHIYA AL TAHTAWI ALAL DURR AL MUKHTAR JILD 1 SAFA 295] ]

SCAN

3- IMAM IBN NUJAIM AL MISRI AL HANAFI RH ne IBN HAMMAM AL HANAFI RH se BATAUR E IQRAR NAQAL kiya

فَإِذَنْ يَكُونُ الْمَسْنُونُ عَلَى أُصُولِ مَشَايِخِنَا ثَمَانِيَةٌ مِنْهَا وَالْمُسْتَحَبُّ اثْنَا عَشَرَ
Ki pas is tarah hamare MASHAIKH ke USOOL par in me se 8 (RAKA’TEN) MASNOON aur 12 (RAKA’TEN) MUSTAHAB ho jati hain
[[ AL BAHAR UL RAAIQ SHARAH KANZ UL DAQAIQ JILD 2 SAFA 72] ]

SCAN

IMAM IBN HAMMAM WAGAIRAH KA 8 KE BAAD 12 RAKA’TON KO MUSTAHAB KEHNA HANAFIYON WA TAQLEEDIYON KE IS QAUL KE SARASAR KHILAF HAI KI “20 RAKA’AT TARAWEEH SUNNAT E MUAKKIDAH HAI AUR ISSE KAM YA ZYADA JAYEZ NAHI”

4- IMAM MULLA ALI QARI AL HANAFI RH likhte hain

فتحصل من هذا كله ان قيام رمضان سنة اِحدي عشرة بالوتر في جماعة فعله عليه الصلاة والسلام
Ki in sab ka HAASIL (NATEEJA) ye hai ki QYAM E RAMAZAN (TARAWEEH) 11 RAKA’AT MA’A WITR, JAMA’AT ke sath SUNNAT hai ye AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka AMAL hai.
[[ MIRQAT UL MAFATIH SHARAH MISHKAT UL MASABIH JILD 3 SAFA 345] ]

SCAN

5- MUHAMMAD AHSAN NANOTWI AL HANAFI likhte hain

لأن النبي صلى الله عليه وسلم لم يصلها عشرين بل ثمانياً
Kyonki NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne 20 RAKA’AT nahi padhi balki 8 RAKA’AT padhi.
[[ HASHIYA KANZUL DAQAIQ SAFA 36 HASHIYA 4] ]

SCAN NOT AVAILABLE

6- ABDUL SHAKOOR LAKHNAWI AL HANAFI likhte hain:
Ki agar cha NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM se 8 RAKA’AT TARAWEEH MASNOON hai aur ek ZA’EEF RIWAYAT me IBN ABBAS RZ se 20 RAKA’AT bhi magar….
[[ ILM UL FIQH SAFA 195 HASHIYA] ]

SCAN

7- ABDUL HAYY LAKHNAWI AL HANAFI RH likhte hain
Ki AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne TARAWEEH 2 tarah ADAA ki hai (1) 20 RAKA’ATEN BE JAMA’AT…lekin is RIWAYAT ki SANAD ZA’EEF hai …(2) 8 RAKA’ATEN aur 3 RAKA’AT WITR BA JAMA’AT
[[ FATAWA ABDUL HAYY JILD 1 SAFA 331,332] ]

SCAN NOT AVAILABLE

8- KHALEEL AHMAD SAHARANPURI AL HANAFI likhte hain
Ki ALBATTA BA’Z ULAMA ne jaise IBN HAMMAM RH ne 8 ko SUNNAT aur ZAAID ko MUSTAHAB likha hai so ye QAUL QABIL E TA’AN ke nahi

Ek doosre safa par likhte hain:
Ki aur SUNNAT E MUAKKIDAH hona TARAWEEH ka 8 RAKA’AT to BILITTEFAQ hai agar KHILAF hai to 12 me hai
[[ BARAHEEN UL QATIYA SAFA 8,195] ]

SCAN

9- MUHAMMAD YUSUF BANAWRI AL HANAFI likhte hain

فلا بد من تسليم أنه صلى الله عليه وسلم صلّى التراويح ايضاً ثماني ركعات
Ki pas ye TASLEEM karna ZAROORI hai ki AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne 8 RAKA’AT TARAWEEH bhi padhi hai.
[[ MA’ARIF UL SUNAN JILD 5 SAFA 543] ]

SCAN NOT AVAILABLE

10- MAULANA YUSUF LUDHYANWI AL HANAFI HAZARAT JABIR RZ ki 11 RAKA’AT se MUTA’ALLIQ ek RIWAYAT NAQAL karne ke baad kahte hain:
Ki is tarah AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki RAZAMANDI ki bina par ye SUNNAT hui
[[ HAYAT US SAHABA JILD 3 SAFA 165] ]

SCAN

11- MAULANA MUHAMMAD ZAKARIYAH KANDHALWI AL HANAFI farmate hain

لاشك في أنّ تحديد التراويح في عشرين ركعة لم يثبت مرفوعا عن النبيّ صلى الله عليه وسلم بطريق صحيح على أصول المحدثين وماورد فيه من رواية ابن عباس رضي الله عنهمامتكلّم فيها على أصولهم
Ki YAQEENAN MUHADDISEEN ke USOOLON ke MUTABIQ 20 RAKA’AT NAMAZ E TARAWEEH NABI KAREEM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM se MARFOOAN SABIT nahi balki IBN ABBAS WALI RIWAYAT MUHADDISEEN ke USOOLON ke MUTABIQ MAJROOH hai SABIT nahi.
[[ AUJAZ UL MASALIK ILA MUATTA IMAM MALIK JILD 2 SAFA 534] ]

SCAN

12- SHAH WALIULLAH MUHADDIS DEHLAWI AL HANAFI RH farmate hain

از فعل آنحضرت صلعم یازدہ رکعت ثابت شدہ و در قیام رمضان
Ki RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ke AMAL se 11 RAKA’AT ek SABIT SHUDA HAQEEQAT hai.
[[ AL MUSAFFA SHARAH AL MUATTA SAFA 175] ]

SCAN

13- AHMAD ALI SAHARANPURI AL HANAFI farmate hain

فتحصل من هذا كله ان قيام رمضان سنة احدي عشة ركعة بالوتر فى جماعة
Ki in sab ka HASIL (NATEEJA) ye hai ki WITR ke sath NAMAZ E TARAWEEH JAMA’AT ke sath sirf 11 RAKA’AT hi SABIT hai.
[[ HASHIYA BUKHARI SHAREEF JILD 1 SAFA 154] ]

SCAN

14- HASAN BIN AMMAR BIN ALI SHARNABLANI AL HANAFI farmate hain

وصلاتها بالجماعة سنة كفاية لما ثبت أنه صلى الله عليه وسلم صلى بالجماعة إحدى عشر ركعة بالوتر
(Ki aur iski BAJAMA’AT NAMAZ SUNNAT E KIFAYA hai) kyon ki ye SABIT hai ki AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne JAMA’AT ke sath 11 RAKA’ATEN MA’A WITR padhi hain.
[[ MARAQI UL FALAH SHARAH NOOR UL EEZAH SAFA 159] ]

SCAN

15- MAULANA ANWAR SHAH KASHMIRI AL HANAFI farmate hain

ولا مناص من تسليم أن تراويحه كانت ثمانية ركعات ولم يثبت في رواية من الروايات أنه صلى التراويح والتهجد على حدة في رمضان
Ki aur iske TASLEEM karne se koi CHUTKARA nahi hai ki AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki TARAWEEH 8 RAKA’AT thi aur RIWAYATON me kisi ek RIWAYAT me bhi ye SABIT nahi ki AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne RAMAZAN me TARAWEEH aur TAHAJJUD ALAHIDAH padhi hon

Aur thoda aage chal kar farmate hain

وأما النبي – صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – فصح عنه ثمان ركعات، وأما عشرون ركعة فهو عنه بسند ضعيف وعلى ضعفه اتفاق
Ki rahe NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM to AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM se 8 RAKA’ATEN SABIT hain aur rahi 20 RAKA’ATEN to wo AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM se ZA’EEF SANAD ke sath hai aur iske ZA’EEF hone par SAB ka ITTEFAQ hai.
[[ ARF US SHUZI SHARAH SUNAN TIRMIZI JILD 2 SAFA 208] ]

SCAN

ALHAMDULILLAH ULAMA E AHNAF KI GAWAHI SE YE SABIT HUA KI TARAWEEH 8 RAKA'AT HI SUNNAT HAI.
ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN.
FOR MORE DETAILS CLICK HERE>>ahlehadithhaq.wordpress.com
 

Similar threads


Top